find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Islam me Hya ( Parda ) ki Ahmiyat.


ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ

حَدَّثَنَا عَبْدُ اللَّهِ بْنُ مُحَمَّدٍ، ‏‏‏‏‏‏قَالَ:‏‏‏‏ حَدَّثَنَا أَبُو عَامِرٍ الْعَقَدِيُّ، ‏‏‏‏‏‏قَالَ:‏‏‏‏ حَدَّثَنَا سُلَيْمَانُ بْنُ بِلَالٍ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ دِينَارٍ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ أَبِي صَالِحٍ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ رَضِيَ اللَّهُ عَنْه، ‏‏‏‏‏‏عَنِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، ‏‏‏‏‏‏قَالَ:‏‏‏‏ ""الْإِيمَانُ بِضْعٌ وَسِتُّونَ شُعْبَةً، ‏‏‏‏‏‏وَالْحَيَاءُ شُعْبَةٌ مِنَ الْإِيمَانِ"".

Nabi kareem ﷺ ne farmaya: imaan ki saath (60) se kuch upar shaakhen (branch) hain. aur Haya (sharam) bhi imaan ki ek shaakh hai.

نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا، ایمان کی ساٹھ سے کچھ اوپر شاخیں ہیں۔ اور حیاء ( شرم ) بھی ایمان کی ایک شاخ ہے۔

Prophet ﷺ said: Faith (Belief) consists of more than sixty branches (i.e. parts). And Haya (This term Haya covers a large number of concepts which are to be taken together; amongst them are self respect, modesty, bashfulness, and scruple, etc.) is a part of faith.
 *wazahat:* islam mein haya par bohat zor diya gaya, aur haya wali talemaat ko barre ehtimaam se bayan kiya gaya hai, aur jo cheeze be hayai ko farogh dene wali hongi, aur jo log be hayai ko phelane ki koshish karenge unke liye sakht wa'eed bayan ki hain. haya ko insaan ka qeemti zewar qarar diya gaya hai, haya insaan ke nek aur pakbaaz aur Sa'adat mand hone ki alamat hai. nabi kareem ﷺ ne farmaya: haya imaan se hai aur imaan ka badla jannat hai, fehesh hoi zulm hai jiska badla jahannam hai [ibne majah: 4184]. Ek dusri hadees mein aap ﷺ ne farmaya: tum mein do (2) khaslatein jo Allah taala ko mehboob hain; ek sabr aur dusra haya [ibne majah: 4188]. Aur jo log behayai ko farogh dene ki koshish karte hain unke baare mein Quran kareem mein sakht wa'eed bayan farmayi hai; _*Jo log musalmano mein be hayaee phelaney kay aarzoo mand rehtay hain unn kay liye duniya aur aakhirat mein dard-naak azaab hai Allah sab kuch janta hai aur tum kuch bhi nahi jantay._ [Quran 24:19].
Bukhari sharif: jild 1, kitab ul Imaan 2, hadith no. 9
Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS