Jayez aur Halal Mohabbat ka Izhar.
Insani Mua’ashre mein Mohabbat o Mawaddat, Ijtimaiyat aur Ham Aaahangi ki Targheeb Jitni Deen-e-Islam aur Paighambare Islam ﷺ ne di hai Dunya ke kisi aur Deen ne Nahin di.
✿ Nabi Akram ﷺ ne Irshad Farmaya: “Jab Tum Mein Se Koi Apne Bhai se Mohabbat kare to Use Chahiye ke Wo Apne Bhai ko Batade (Yani Mohabbat ke Talluq ka izhar Kare).” (Jami` at-Tirmidhi: 2392)
The Messenger of Allah ﷺ said: "When one of you loves his brother, then let him inform him of it." (Jami` at-Tirmidhi: 2392)
●◗► Izhare Mohabbat se Islam Mana Nahin karta Albatta Na’Mahram Mard o Aurat ke Darmiyan Na Jayez Mohabbat, Ikhtelat aur Be Hayayi ko Haram Qarar deta hai, Insan ko Chahiye ke Wo Biwi Bacchon, Waldain aur Bahen Bhaiyyon se Toot kar Mohabbat kare aur is ka Munasib Andaz mein izhar bhi Kare, Izhare Mohabbat ka khaas Tariqah ya Tareekh tai Karna Jaise 14 February ko Valentines day Manana Bhi Yahood o Nasara ki Naqqali aur Mushabihat ki Wajah se Mamnoo hai.
*●♧●---------☆---■---☆--
*لَآ اِلٰهَ اِلَّا اللّٰهُ مُحَمَّدٌ رَّسُوْلُ اللّٰهِؕ*
*"Main Gawahi deyta ho Allah k siwa koi Mabood nahi Aur Hazrat Muhammad Mustafa (ﷺ) Allah k Rasool hain"
*"lā ilaha illa Allahu, Muhammad ur-rasul Ullah"
*There is none worthy of worship but Allah, Muhammad [peace be upon him] is the messenger of Allah.
❤JazakAllahu Khair'n
❤JazakAllahu Khair'n
Masha allah
ReplyDeleteIslam ne har chij ka ek tarika Bataya hai jisse insan burai se bach jaye lekin Kuchh logo ko yahi batein samajh nahi aati ya fir wah apni zidd ki wajah se samajhna nahi chahate.
ReplyDeleteMuslim khawateen ke liye kuch behtareen aamal hain jo unki roohaniyat aur duniya dono ko behtar bana sakte hain:
ReplyDelete1. **Namaz**: Rozana paanch waqt ki namaz ada karna ek zaroori amal hai jo Allah ke saath ta'alluq ko mazboot karta hai.
2. **Quran ki Tilawat**: Rozana Quran ki tilawat karna aur uske ma'ani par ghor karna roohaniyat ko mazboot banata hai.
3. **Sadqa aur Khairat**: Zarooratmandon ki madad karna aur Allah ki raah mein maal kharch karna ek behtareen amal hai.
4. **Roza**: Ramzan ke mahine mein roza rakhna aur nafil roza rakhna bhi roohaniyat ko mazboot banata hai.
5. **Dua aur Zikr**: Allah ka zikr karna aur usse dua karna roohani sukoon aur tasalli deta hai.
6. **Ilm ka Talab**: Deeni aur duniyaawi ilm hasil karna aur usse doosron tak pahunchaana ek behtareen amal hai.
7. **Achhi Soch aur Amal**: Achhi soch rakhna aur achhe aamal karna, jaise ke sach bolna, imandari se kaam karna aur doosron ke saath achha bartao karna.
Yeh kuch aamal hain jo Muslim khawateen apni zindagi mein shamil kar sakti hain taake wo duniya aur aakhirat dono mein kamiyab ho sakein.
Islam mein pasand ki shadi ko ijazat hai, lekin kuch shartein aur adab hain jo follow karne chahiye. Islam mein shadi ek paak aur muqaddas bandhan hai, aur ismein dono taraf ki raza mandi aur khushi zaroori hai. Yahan kuch ahem baatein hain jo pasand ki shadi ke liye zaroori hain:
ReplyDeleteMAsha Allah