find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Aalam-E-Barzakh ( Part 1 )

*♻ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ♻*

*♻السَّلاَمُ عَلَيكُم وَرَحمَةُ اللّٰهِ وَبَرَكَاتُه♻ُ*

 *AALAM E BARZAKH - Part 1

*WAMIVWWARAIHIM BARZAKHUN ILAA YAWMI YUB'ASHUN*
_*UNKE PICHE EK AAD HAI UNKE UTHAYE JAANE TAK*_
_*[SURAH MOMINUN]*_
 ISKA MATLAB HAI KI INSAN KE DUNIYA KO CHOD KE JANE SE LEKAR QAYAMAT KE AANE TAK KE WAKT KE MAQAAM KA NAAM *BARZAKH* HAI.
➡ MARNE KE BAAD AADMI ISI AALAM ME REHTA HAI.
➡ *BARZAKH* KE MATLAB HAI *GAIR MAR'AI EK AAD* MATLAB *NAA DIKHAYI DENE WALA PARDA* KYUKI YE AALAM DUNIYA AUR AAKHIRAT KE BICH ME EK AAD HAI ISLIYE ISKO *BARZAKH* KAHA JATA HAI.
❓ AAP EK SAWAL KAR SAKTE HAI KI AGAR YE AALAM AGAR MOJUD HAI TO FIR YE DIKHAYI KYU NAHI DETA ???
✅ JAWAB ISKA YE HAI KI YE AALAM MOJUD HAI PAR YE DIKHAYI NAHI DE SAKTA, KYUKI DUNIYA ME BHI KAHI - KAHI *BARZAKH* HAI AUR WO BHI DIKHAYI NAHI DETA.
☑ QURAN ME FARMAYA GAYA, *"MARAJAL BAHRAYNI YALTAKIYAAN, BAYNAHUMAA BARZAKHUNLLAYABGIYAN* _ISNE DO DARIYA JARI KAR DIYE JO EK DUSRE SE MIL JATE HAI, IN DONO ME EK AAD HAI KE ISSE BADH NAHI SAKTE_ *[SURAH RAHMAN - 19, 20]*
➡ YAHA IN AAYATO KO BATAYA GAYA HAI KI ALLAH NE 2 DARIYA JARI KIYE AUR AAGE CHAL KAR WO MIL JATE HAI PAR IN DONO KE DARMIYAAN EK *GAIR MARA'I AAD* HAI EK *UNSEEN PARDA* HAI, JISSE UN DONO KA PANI EK DUSRE SE MILTA NAHI ALAG ALAG REHTA HAI.
AAP SABHI LOGO NE IN DARIYAO KE VIDEOS DEKHE HONGE.
➡ YAHA IN DONO DARIYAO KE BICH ME EK AAD HAI PAR KYA KOI ISKO DEKH SAKTA HAI ?? KYA KISI KO WO DIKHAYI DETA HAI ?? TO SAME ISI TARIKE SE YE AALAM E BARZAKH TO MOJUD HAI PAR ISKA DIKHAYI DENA AUR ISKO DEKHNA INSAN KE LIYE MUMKIN NAHI AUR NA KOI MACHINE AB TAK AISE IJAAD HUI JO IS AALAM KO DEKH SAKE.
LIHAZA KHULASA YE NIKLA KE YE AALAM MOJUD HAI PAR USKO DEKHA NAHI JAA SAKTA.
Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS