find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Apni Biwi ka Dil Dukhana KAisa HAi?

Ek Bade Aalim Ka Apni Bivi Se Ravayya

 Farmate  Hain Ke Awlaad Na Hone Ki Wajah Se Dusri  Shaadi Karni Padi To Biviyo'N  Ke Andar Ek Dusre  Ke Saath Aapas Me Mamla Chalta Hee Hai Kabhi Ye Naraaz  To Kabhi Wo Naraaz  Farmate  Hain Ke Kayi Martaba  Aisa Hota Ke Me Ek Ghar Jata To Darwaze  Ko Kundi Lagi Hui Hoti Wo Kholti Hee Nahi Thi To Me Wahi Darwaze Par Musalla Bicha Kar Namaz  Padh Leta Or Wapas  Aajata Tha Ye Hakeem Ul Ummat Rh..  Hain Jinko Allah Rabbul Izzat  Ne Ilm Ka Samandar Banaya Tha,
Farmate  Hain Ke Ek Martaba  Meri Badi Ghar Waali Kahin Jaane Lagi Or Mujhe  Keh Gayi Ke Ghar Me Murghiyan Paali Hui Hain To Unko Apne Waqt  Par Dana Paani Daal Dijyega  Mene Kaha Bahut  Accha,
Farmate Hain Mein Ye Baat Hee Bhool Gaya Ab Me Tafseer Bayanul Qur'Aan  Likhne Betha To Koi Mazmoon  Warid Nahi Ho Raha Badi Allah Rabbul Izzat  Se Toba Ki Duayen Mangi Magar Tabiyat Me Koi Insharah Hi Nahi Ho Raha Aamd Ka Silsila Bilkul  Band Tha Kaafi Der Ke Baad Faramane Lage Ke Ho Na Ho Mujhse Aisi Koi Kotaahi Hui Gunaah Hua Jis Ki Wajah Se Jo Roz Mujhpar Ilm Aata Tha Allah Rabbul Izzat  Ne Mujhe Us Marifat Se Mehroom Kar Diya Kehne Lage Me Beth Kar Sochne Laga To Achanak Mujhe Khayaal  Aaya Oh Mene To Murghiyon Ko Aaj Dana Hee Nahi Dala Unko Paani Diya Jab Murghiyon  Ne Wo Paani Piya Or Dana Khaya Allah Rabbul Izzat  Ne Mazameen Phir Warid Karne Shuru Kar Diye Or Phir Mene Aakar Allah Rabbul Izzat  Ke Qur'Aan  Shareef Ki Tafseer  Likhi.
Agar Murghiyon  Ko Takleef  Pohche To Allah Rabbul Izzat  Apni Marifat  Ke Ilm Rok Lete Hain To Jo Apni Bivi  Ka Dil Dukhaayega Allah Rabbul Izzat  Ki Marifat  Kaise Paayega?? To Deendaar Logon Ko Is Baat Ka Khayaal  Rakhna Chahiye.
______________________________
Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS