find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Biddati ki Pehchan Kaise Kare? Biddati Kaun?

Biddat Ki Pehchan.

Imaam Ibn Seereen (rahimahullaah) said:
‘Indeed, This knowledge Is Deen, So Look To The One You Take Your Deen From'.
(Muqadama Sahih Muslim_26)
 
Ek baar Imam Muhammad bin sireen (Tabi) (Rahimaullah) ke paas do log Ahle biddat me se aapke paas aaye aur kahne lage-
-
“Ae Abu Bakr ! Hum aapko ek hadees bayan karte hai.”
-
▶Imam Ibn Sirin (Rahimahullah) ne kaha-
-
“Nahi.mujhe hadees bayan na karo.
-
▶Unlogo ne kaha-
-
“Achcha tab hum Quran ki koi aayat padhte hai.
-
▶Aap (Rahamahullah) ne un biddatio se kaha ke –
-
“Tum dono mujhse door hojao ya fir mai khud ooth kar chala jata hu”
-
▶Jab wo dono chale gaye to logo ne aapse kaha-
-
“Agar wo aapke saamne Quran ki koi aayat padh dete to isme kaun si harj waali baat thi ??”
-
▶Aap (Rahimahullah) ne farmaya-
-
“MUJHE YE DARR THA KE WO AYAT PESH KARKE USKI TAHRIF (galat taweel) KARENGE AUR YE BAAT MERE DIL ME JAGAH PAKAD LEGI.
-
⚡(Yaani mujhe darr tha kahi ye biddati log tumhe bhi biddati na banade).
-
(Sunan Ad Darmi-hadees :403,sanad Sahih).
 
Is asar(rawayat) me awaam un naas ke liye ek behtreen ibrat hai.
-
Maalum hua ke har shaqs ko ahle biddat se door bhagna chahiye siwaye un ahle ilm ke jo unka radd karne aur unko lajawab karne ki taqat rakhta ho.
-
Taken from- TAHQIQI WA ISLAHI MAQALAT OF ZUBAIR ALI ZAI (ru).Vol-2, page:559)
-
✒Note –
-Jin ahle hadees bhai ka ye manna hai ke wo har ahle hadees aur ghair ahle hadees aalim ki speeches soonenge aur unki kitaabe padhenge ,uske baad jo Kitaab o Sunnat se milega lelenge aur jo galat hoga chordenge to unka ye mauqaf salaf us salehin ke manhaj ke khilaaf hai.
-
▶Imam Ibn Sirin (Rahimahullah) jaise bade tabeyin ahle biddat ki biddat se aur unki baatil tahrif se darte the k kahi unke dil me shaq paida na hojaaye ,to unke saamne humara kiya muqaam hai .
-
Mere Bhai ,Sirf aur sirf sahih ul aqaid ulama se hi ilm haasil kare.
-
▶Imam Ibn Sireen (Rahimahullah) ne farmaya-
-
“Ye Ilm hi deen hai , to tum dekho ye ilm kisse haasil kar rahe ho.”
(Sahih muslim-26)
✒✒Allah hum sabko Kitab o Sunnat ko Salaf us Salehin ke faham par samajhne ki taufeeq de aur apna khud ka baatil faham ko istemal karne se bachaye.
Aameen
Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS