find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Kya Aaj Ke Musalman 'Musalman' Kahlane Ke Layek Hai? Musalman Aur Momeen KAun?

             Momeen Kaun? Musalman Kaun Hai? Kya Aaj ke Musalman Musalman Kahlane ka Layek Hai?

  Aasaan Deen 
                   ❥ Part - 03
​Kaamil wa mukammal Musalmaan wahi hai jis ki poori zindagi shariat ke mutaabiq guzre aur jin ke Imaan wa aqaaid, ibaadat wa bandagi, tijaarat wa len den, aapsi taalluqaat, akhlaaq wa aadaat sab kuchh Ahkaam-e-Shariat ke muwaafiq ho, agar koi insaan Deen ke kisi shobe mein Islaami Ahkaam par amal nahin karta hai, to woh kaamil momin nahin ho sakta.
Maslan ek shakhs hai jis ka aqeeda to durust hai, ibaadatein bhi khoob karta hai magar logon ko dhoka deta hai, waada khilaafi karta hai, doosron ko takleef pahonchaata hai, us ke akhlaaq-o-kirdaar gande hain, to aisa shakhs pasandeeda aur kaamil musalmaan nahin ho sakta; balke qayaamat ke din us ki yeh ibaadatein bhi kuchh kaam na deingi aur woh apni bad kirdaariyon ki bunyaad par Azaab-e-ilaahi mein giraftaar ho jaayega, isi liye Allah Ta'ala ne musalmaanon se mutaalba kiya hai ke woh apne aap ko poore taur par Islaam ke taabe kar de aur apni zindagi us ke mutaabiq guzaare.


❧ Allah Ta'ala ka irshaad hai: Aye Imaan waalo! Islaam mein poore ke poore daakhil ho jaao.
[Sura-e-Baqarah: 208]
❧ Ek doosri jagah irshaad hai: Aur tum hargiz jaan na dena magar musalmaan hone ki haalat mein.
[Sura-e-Aale Imraan: 102]
  (..Next - 04, Soon In Sha Allah.)


Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS