find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Jiska Padosi usse Naraaz aur Na khush ho O Musalman Nahi.


 
   🍂🍃ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 🍂🍃

        *السَّلاَمُ عَلَيكُم وَرَحمَةُ اللّٰهِ وَبَرَكَاتُهُ* 
     
         ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆ 

Allah Ki Qasam Woh Shakhs Musalman Nahee

Mahfum-e-Hadees: Ek Roz Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne Sahaba-e-Kiraam Se Farmaya –
"Allah Ki Qasam Woh Shakhs Musalman Nahi!"
"Allah Ki Qasam Woh Kabhi Musalman Kehlaane Ke Laayaq Nahi!"
"Allah Ki Qasam Aise Insan Ka Imaan Kaamil Nahi!”
Yeh Sunkar Sahaba-e-Ikraam Hairaan Reh Gaye Aur Aapse Darkhwast Karne Lage Ke,
Aakhir Wo Koun Shakhs Hoga Jiski Muslman Naa Hone Ki Gawaahi Allah Ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) Teen-Teen Baar Qasam Kha Ker De Rahe Hai?
☆Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya:
“Wohi Shakhs Jiska Padosi Uski Ezzaon se Mehfooz Nahi”.
– (Bukhari & Muslim Sharif)

#SABAQ : Yaad Rahe Ke Padosi Sirf Woh Nahi Jiska Ghar Humare Ghar Se Laga Hua Ho. Balki Padosi Dukaan Ka Bhi Hota Hai, Company me Aur Bus, Train Me Safar Ke Douraan Bhi Koi Naa Koi Hota Hai ,.. Unn Sabke Jazbatao Ka Khayal Rakhna Humare Liye Intyehayi zaroori Hai.
– Warna Pyare Nabi (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ko Teen-Teen Baar khasam Kha Kar Ailaan Karne Ki zaroorat  Hi Kya Thi !
Dusri Baat Yeh Hai Ke Iss Hadees-e-Mubarak Me Padosi Kaha Gaya Hai, Jo
Hindu,
Isaayi,
Yahudi
Koi Bhi Ho Sakta Hai. Sabke Sath Me Reham dili Aur Husn-e-Sulukhi Se Bartao Karna Yahi Rasool-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Sunnat Hai.

     ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆

*🌴Aye imaan waalo Allah ki itaat karo aur uske Rasool ki itaat karo aur apne Amalo ko Baatil na karo🌴*

Jo Bhi Hadis Aapko Kam Samjh Me Aaye Aap Kisi  Hadis Talibe Aaalim Se Rabta Kare !

  🌹JazakAllah  Khaira Kaseera🌹

   ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS