KYA SIRF “SHIA” AUR “SUNNI” HI HAI MUSALMANO ME…❓
BismillahirRahmanNirRaheem
Agar “Haqq” ko achhe se samjna ho to “Baatil” ko bhi samjana zaruri hota hai taake ham “Baatil” ki GUMRAHYO se bach sake.
Aaj ham yaha 1 Naya Majmoon lekar aarahe hai.
Aam taur par saari duniya yah samajti hai ISLAM me SHIA aur SUNNI sirf yahi 2 groups hai balke aisa nahi hai. Aam taur par Duniya me Shia ke alaawa jitney bhi MUSALMAN paaye hai in sab ko SUNNI kaha jata hai lekin hakikat me aisa nahi hai.
Islam ke naam par Shia ki tarah bahot saare GUMRAH FIRKE wajood me aaye hai.
Islam ke naam par GUMRAH FIRKE Allah ke Rasool s.a.w ne pahle hi in GUMRAH firko ke bareme peshangoyi ki thi…
✔Abdullah bin Amr (R) farmate hai ke Rasoolullah Sallallahu A’laihiWaSallam ne farmaya…
Meri UMMAT 73 firko me bategi, un me se har ek firka JAHANNAM me jayega siway 1 firke ke. Sahaba R ne puchha : Ya Rasolullah s.a.w wah (jannat me jaane wale) kaun hoge …??? Aap s.a.w ne kaha :
“Jo koi MERE aur mere SAHABA ke raste par hoga”.
(Tirmizi – 2641, Al-Albaani (Rh) ne is Sahih Tirmizi me bayan kiya)
GUMRAH FIRKO ke naam ❓❓❓
Ham yaha kuchh firko ke naam ginwana chahte hai jo “Aqeedah” aur “Usool” ke bigad ki buniyad par wajud me hai jaise.
1. KHAWARIJ
2. SHIA
3. JABRIA
4. QADARIA
5. MURJIA
6. MUTEZILA
7. JAHAMIA (Jaham bin Safwan ke naam par)
8. MATURIDI (“Imam Abu Mansoor Maturidi” ke naam par bana)
9. ASHAARI (“Imam Abu Hasan Ashari” ke naam par bana)
10. SUFI (Sufi ke 4 silsile Qadari, Chisti, Suharwardi, Nakshbandi)
✔Yaad rahe,
❓DEOBANDI HANAFI aur BARELI HANAFI aqeedah aur usool me MATURIDI aur ASHAARI hai aur TASWWUF (Nafs ki islah) me SUFI hai. Aur sirf “FIQH” (masle masail) me “HANAFI” hai.
(Darul Uloom Deoband ke Mash’hoor MUFTI jinka naam “Khalil Ahmed Sahalanpuri” hai wah apni kitab “Aqeedah Ahle Sunnat Jamaat Deoband” jo kitab “Sarfaraz Academy, Deoband” se chhapi hai.
Is kitab ke Page No. 33 par Deoband ki tarif me aisa likha hai aur “FATAWA RAHMIYAH” me bhi yah baat aayi hai)
Zyada malumat ke liye padhiye Dars : 57 (01/11/2015)
”SUNNI” kaun ❓❓❓
“Ahlul Sunnat wal Jamaat” wah Jamaat jo Nabi s.a.w ne KHALIS ISLAM chhodkar gaye us par qaayam hai.
Yahi “Haqq Jamaat” hai. Yah Jamaat saari duniya me kai naamo se jaani jaati hai jaisa ke “Muhammadi, Ahlul Hadees, Ahlul Sunaah, Ansar Al Sunnah, Ashaabul Hadees, Ahlul Athar, Tayafa Mansoora”,
“Ahlul Sunnat wal Jamaat” ko muksar alfaz (short) me “SUNNI” kahte.
Sahaba aur Tabi’in ke daur me jab “KHAWARIJ” aur “SHIA” paida huye tab in firko se alag batane ke liye SAHABA aur Tabi’in ne apne Aap ko “Ahlul Sunnat wal Jamaat” kaha hai jo Nabi Sallallahu A’laihiWaSallam ke Sunnat par chalne wale the jo har gumrahi se paak the.
Yaha “SUNNAT” se kya muraad hai ❓❓❓
Yaha “Ahle Sunnat Wal Jamaat” me “Sunnat” ka lafz Nabi s.a.w ke “Aqeedah”, “Ibaadat ka tarika”, “Usool” aur “Akhlaq” ke mayne (meaning) me aaya hai na ke sirf Nabi s.a.w ki Khane-pine ki Sunnato ke bareme.
Islam me SABSE PAHLA FIRKA kaunsa …❓❓❓
”Khawarij” Arabic lafz “Kharij” se bana hai jiska matlab “baher nikalna” yaani “Khawarij” wah “Jamaat” hai jo Isalm se sab se pahle baher nikali yani Isalm se alag ho gayi yaani “Ahle Sunnat wal jamaat” se alag ho gayi.
“Khawarij” ne pahle siyasat (khilafat) ko buniyad bana kar SAHABA se alag ho gaye lekin baad me inke “Aqeedah aur Usool” me gumrahi aagayi aur yaha tak ke yah log Sahaba ko KAFIR kahene lage.
Hazrat Usman (R) aur Hazrat Ali (R) ka “katl” inone hi kiya hai.
“KHAWARIJ” ki pahechan … ❓❓❓
“KHAWARIJ” abi bhi maujud hai jaisa ke Arab mulk “Oman” me “Khawarij” paaye jaate hai. Aur jaisa ke ISIS bhi KHAWARIJ hai.
“KHAWARIJ” ki pahechan yah hai ke yah log sirf “Musalmano” aur “Musalman Hukmaran” ko apna nishana banate hai. Yah log kabhi Kafiro se “Jihad” nahi ki balke musalmano ka khoon bahaya.
Inki dusari pahechan yah ke “Ulamao ki be-izzati karte hai aur Akkal-parast (logical-minded) hote hai”.
”Shia” Kaun …❓❓❓
Dusari taraf “Shia” wo dusara baatil firka hai jiska baani (founder) Abdullah bin Saba hai jo “Ahle Bait” (Nabi ke Gharana) ki MUHABBAT ka masal utha kar “Islami Mashra aur Siyasat” me 1 bahot bada FITNA paida kiya.
Shia aur Sunni me BUNIYADI IKHTELAAF …❓❓❓
1. Shia aur Sunni me sab se bada ikhtelaaf yah ke Shia kahte hai abhi jo MAUJUDA QURAN hai yah assal Quran nahi hai.
Assal Quran me 40 paare the magar Nauzbillah Sahaba (R) ne 10 paare gayeb kar diye hai. Aur Assal Quran ko unka Imam-e- Gayb (unseen) lekar kisi gufa me chhupa huwa hai aur Qiyamat ke kharib inks wah Imam assal Quran ko lekar wapas ayega.
2. Shia ke yaha Quran wa Hadees haqq nahi hai balke Shia ke paas yah 4 kitabien Haqq hai ….
Kitab al-Kafi
(Muhammad ibn Ya’qub al-Kulayni al-Razi (329 AH))
Man la yahduruhu al-Faqih
(Muhammad ibn Babawayh)
Tahdhib al-Ahkam
(Shaykh Muhammad Tusi)
Al-Istibsar
(Shaykh Muhammad Tusi)
3. Inone “Ahle Bait” me itna GULU kiya ke Ali (R) aur Husaain (R) ko Allah ke barabar bana diya.
Jab bhi Shia madad mangate hai to Ali (R) aur Hussain (R) ko pukarte hai.
4. Shia Hazrat Ali (R) aur dusare 4 Sahaba ke alawa saare Sahaba ko KAFIR wa MURTAD samjte hai.
5. Hazrat Abu Bakr, Umar aur Osamn (R) ki khilafat ko taslim nahi karte balke unko KAFIR samjte hai.
6. Sunni “Ahle Bait” me Nabi s ke saare Khandan ko shamil karte hai lein Shia “Ahle Bait” me sirf “Muhammad (s.a w) , Ali, Fatima, Hasan, Husain” in 5 ko shamil karte hai halanke Nabi s.a.w ko 11 ki biwiya thi aur Nabi s ke bahot sare chacha aur chachere Bhai the. In 5 ko “Panchtan” kahte hai.
Isi “Panchtan” se “Pakistani Pach Surah” Shia ki hi “ijaat” hai.
Afsoos ki baat yah hai ki “SUNNI” bhi is “Pakistani Pach Surah” ko padhte hai halanke usme bahot sare “bad-aqaaeed” maujud hai.
“Shia” ne Islam ko KAFIRO se zyada nuksan pahunchaya hai. Islam me naye naye Bid’aat ijaat ki hai.
Shia ne jab bhi mauka paya hai SUNNI musalmano ko nuksan pahuchaya hai.
⭐⭐⭐⭐⭐⭐⭐⭐
Wallahu Alam Sawab
Ya Allah, Hamare niyyat me IKHLAAS paida farma aur Hame Sahih Ulamao se ilm hasil karnewala bana de aur Hamare is mehnat ko qubul farma.
Ya Allah, Hamare niyyat me IKHLAAS paida farma aur Hame Sahih Ulamao se ilm hasil karnewala bana de aur Hamare is mehnat ko qubul farma.
No comments:
Post a Comment