Jinsi Khawahish ( Sexualy Desire ) Se Kaise Bacha JAye?
حَدَّثَنَا آدَمُ، حَدَّثَنَا شُعْبَةُ، عَنْ سُلَيْمَانَ التَّيْمِيِّ، قَالَ: سَمِعْتُ أَبَا عُثْمَانَ النَّهْدِيَّ، عَنْ أُسَامَةَ بْنِ زَيْدٍ رَضِيَ اللَّهُ عَنِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، قَالَ: ""مَا تَرَكْتُ بَعْدِي فِتْنَةً أَضَرَّ عَلَى الرِّجَالِ مِنَ النِّسَاءِ"".
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: میں نے اپنے بعد مردوں کے لیے عورتوں کے فتنہ سے بڑھ کر نقصان دینے والا اور کوئی فتنہ نہیں چھوڑا ہے۔
Prophet ﷺ said: After me I have not left any affliction more harmful to men than women.
wazahat:* Aksar mard aurton ke husn wa ishq ka shikar ho kar apna deen wa duniya sab gawah baith te hain. Isi fitne ko istemal kar ke isai aur yahoodiyon ne millat ko tabah wa barbaad kar diya. Allah par imaan aur iski girift ka khauf ek insaan ko waqti khwahishat aur aarzi lazaton se mehfooz rakhne ka zabardast zariya hai. Allah ki nigrani ka ehsas haraam se bachne ke liye ek musalman mein hairat angez kirdaar ada karta hai. Kuch wasail wa zariye hain jinhe ikhteyar kar ke hum iss fitne se mehfuz rah sakte hain~ jaise nigaho ki hifazat, Allah swt ne mard/aurat ko [Quran 24:30] nigahen nichi rakhne ko hukm diya hai, dil se bure khayalat ko hatana, nikah karna, roza rakhna kyun ki roza jinsi khwahisho (sexual desire) ko kam karta hai [ibne majah: 1846], buri sohbat se parhez, fitne ki jagaho se duri, ghar mein tilawat aur nafali ibadat qayam karna, Akhirat ki nematon ko yaad rakhna wagera.
_*Sahih Bukhari: jild-7, kitab Al-Nikah 67, hadith no. 5096.
Aye imaan waalo Allah ki itaat karo aur uske Rasool ki itaat karo aur apne Amalo ko Baatil na karo
Jo Bhi Hadis Aapko Kam Samjh Me Aaye Aap Kisi Hadis Talibe Aaalim Se Rabta Kare !
JazakAllah Khaira Kaseera.
kisi Aurat ke pas Nukah Ka PAigaam kaise Bheje?
kisi Aurat ke pas Nukah Ka PAigaam kaise Bheje?
No comments:
Post a Comment