find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Kisi Aurat ke Pas Nikaah ka Paigham kis Tarah Bheje.

Kisi Aurat Ke Paas Nikah Ka Paighaam Kaise Bheje?

Mafhoom-e-Hadees: Ibn Umar(RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki RasoolAllah(Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
“Koi Shakhs Kisi Aurat Ke Paas Nikah Ka Paighaam Na Bheje Agar Uss Shakhs Ka Bhai Uss Hi Aurat Ke Paas Pehle Se Hi Shaadi Ka Paighaam Bhej Chuka Ho.”
– (Sunan Ibn Majah: Hadith no.1868)
» Takhreej: Agar Ye Maaloom Ho Jaaye Ki Uss Aurat Ne Abhi Tak Pehla Waala Paighaam Qubool Nahi Kiya Hai Aur Na Hi Wo Uss Paighaam Ki Taraf Koi Khaas Jhukaao Rakhti Hai Tou Doosra Shakhs Paighaam Bhej Sakta Hai. Aisa Hone Par Uss Aurat Ko Un Dono Me Se Apne Liye Zyada Behtar Shauhar Talaash Karne Ka Mauka Mil Jaayega Aur Waaledain Bhi Apni Beti Ke Liye Is Maamle Me Zyada Behtar Soch Paayenge
Uska Sara Waqt Namaz Me Shumar Hoga
♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurairah (Razi’Allahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
“Koi Shakhs Namaz Ki Wajah Se Jab Tak Kahi Par Ruka Rahega
Uska Ye Sara Waqt Namaz Me Shumar Hoga
Aur Farishte Uske Liye Dua Karte Rahenge Ki –
Aye ALLAH! Iski Magfirat Farma Aur Iss Par Apni Rehmat Nazil Kar
(Farishte Tab Tak Ye Dua Karte Hain) Jab Tak Wo
Namaz Se Farig Hokar Apni Jagah Se Na Uth Jaye”.
– (Sahih Bukhari, Vol-4, Hadith no. 3229)
Har Haal Me Sabr Aur Shukr Se Kaam Liya Kare
♥ Mafhoom-e-Hadees: Abdullah Bin Masood (Razi’Allah Anhu) Se Riwayat Hai Ki,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya…
“Jo Shakhs Gham Wo Matam Me Apne Rukhsaar (Chicks/Gaal) Ko Pitey (Slapping).
Aur Girebaan Phadey Aur Jahalat Ke Logon Ki Tarha Guftagu Kare Wo Hum Me Se Nahi..”
– (Sahi Bukhari. Vol-2 Hadith no.m)
♥ Insha’Allah-Ul-Azeez !!!
Allah Rabbul Izzat Hume Har Kism Ki Jahalat Se Bachaye ,..
*Aameen .. Summa Ameen !!!
☆▬▬▬▬เฎœ۩۞۩เฎœ▬▬▬▬☆
Aye imaan waalo Allah ki itaat karo aur uske Rasool ki itaat karo aur apne Amalo ko Baatil na karo.
Jo Bhi Hadis Aapko Kam Samjh Me Aaye Aap Kisi  Hadis Talibe Aaalim Se Rabta Kare !
Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS