find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Banda Allah Se Jaisa Gumaan Rakhta Hai Allah Usko waisa Hi Ata Karta Hai.

Banda Allah se jaisa guman rakhta hai Allah use waisa hi ata karta hai? 

 Cricket Match me Kamyab hone ke bad Playground me Namaj padhna kaisa hai? 

Palestine ka Masla Sirf Palestine ya Arab ka nahi Pure Ummat ka Masla hai. 



ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 

        *السَّلاَمُ عَلَيكُم وَرَحمَةُ اللّٰهِ وَبَرَكَاتُهُ* 
     
       ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆                 
: Banda Allah Ta'ala Se Jaisa Gumaan Rakhta Hai Allah Usko Waisa Hi Ata Karta Hai:

Hadith:
Hazrat Abu Hurraira رضي الله تعالى عنه Se Riwayat Hai, Huzoor Nabi E Kareem صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ Ne Farmaya: "Allah Ta'ala Farmata Hai Ki Mera Banda Mere Mutalliq Jaisa Khayaal Rakhta Hai Mein Uske Saath Waisa Hi Maamla Karta Hu. Jab Woh Mera Zikr Karta Hai, Mein Uske Saath Hota Hu. Agar Woh Apne Dil Mein Mera Zikr (Yaani Zikr E Khafi) Kare To Mein Bhi (Apni Shaan Ke Laaiq) Apne Dil Mein Uska Zikr Karta Hu. Aur Agar Woh Jamat Mein Mera Zikr (Yaani Zikr E Jali) Kare, To Mein Uski Jamat Se Behtar Jamat (Yaani Farishton) Mein Uska Zikr Karta Hu. Agar Woh Ek Baalisht Mere Nazdeek Aaye To Mein Ek Baazu Ke Barabar Uske Nazdeek Ho Jaata Hu. Agar Woh Ek Baazu Ke Barabar Mere Nazdeek Aaye, To Mein Do Baazuo Ke Barabar Uske Nazdeek Ho Jata Hu. Aur Agar Woh Meri Taraf Chal Kar Aaye To Mein Uski Taraf Daud Kar Aata Hu."
[Sahih Bukhari, Kitab Ul Tawheed]
[Sahih Muslim, Kitab Ul Zikr Wa Dua Wa Tauba Wa Istigfaar]

[Sunan Tirmizi, Kitab Ul Zohd An Rasulallah  صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ]

[Sunan Ibne Majah, Kitab Ul Adab]
[06/07, 8:01 am] ‪: 

▫  *Aaj Ki Hadees*  ▫  
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
 Hazrat Sahal bin Saad Raziyallahu 'anhu riwaayat karte hain ke Rasullulah ﷺ ne irshaad farmaaya: Do waqton ki duaaein rad nahin ki jaati. Ek azaan ke waqt, dusri us waqt jab ghamasaan ki ladayee shuru ho jaye. (Abu Dawud: 2540)
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

Agar tum mein se kisi ko (khaane ki) daawat di jaaye to daawat qubool kar leni chaahiye.
(Abu Dawood: 2460)
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
      ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆

*Aye imaan waalo Allah ki itaat karo aur uske Rasool ki itaat karo aur apne Amalo ko Baatil na karo*

Jo Bhi Hadis Aapko Kam Samjh Me Aaye Aap Kisi  Hadis Talibe Aaalim Se Rabta Kare !

  JazakAllah  Khaira Kaseera

   ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆

☪ Share karey … Sawab ka Haqdaar baney… In Shaa Allah Ta’ala.

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS