# *fiqh ahkaam*
*💐Paani k Maisel*
Paani ki do qismein hai
*1)Paak paani*
*Misaal - nadi ka paani, samandar ka paani, barish ka pani
*paak hai aur dusri cheez ko bhi paak krta hai
*2)napaak paani*
*aisa paani jis mai koi gandagi ho jiski wjh se uska rang, bu, aur maza ya in mai se ek badal jae
*agar khuch na bdle to paak hai
💐#Paak paani mai koi cheez mix hojae uska hukum
1)thodha sa asar.. Jaise kisi container mai Zang ho aur pani m Zang ka asar aagaya ho to yh paani he kehlae ga aur isse taharat jayez h
2)paani tbdeel hojae poora (yaani ab paani na raha)
Yaani Chae, juice, ink wagera.. To isse taharat jayez nhi
Wazahat - agar paani mai do teen boond ink daal dea ya juice daal dea jisse thodha sa frq aaya to yh paani he kehlae ga.. Lyken agr bht Zyada daal dea jisse paani na raha ur jo cheez mix ki hai us mai tbdeel hogaya to isse taharat jayez nhi
_Compiled by syed hummmad Ali_
No comments:
Post a Comment