*ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ*
*Apni tamam musibaton , pareshaniyon , bimariyon aur har zarurt mein srf Allah se dua mangni chahiye*
Hadees :-
إِذَا سَأَلْتَ فَاسْأَلِ اللَّهَ، وَإِذَا اسْتَعَنْتَ فَاسْتَعِنْ بِاللَّهِ
Rasulallah ﷺ ne Abdullah bin Abbas رضي الله عنه se farmaya :- *Jb tu sawal kare to Allah se sawal karo aur jab madad mange to Allah se maang*
*Ref:-* Tirmizi 2156 Hasan Abu isa at-tirmidhi
*Rasulallah sallallaho alayhe wassallam ka har ahem kaam me namaz ada karna*
Rasulallahﷺ ko jab kabhi bhi koi masla pesh ata ya ahem mauqa ya koi zarurriyat to us woh waqt woh namaz ke zariye se madad talab karte.
*كَانَ النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ إِذَا حَزَبَهُ أَمْرٌ صَلَّى*
Hadees :- Sunan abu dawood 1319 Hasan albani
Aur Allah سبحانه وتعالى quran me farmate hai. Surah baqra ayah 45
*وَ اسۡتَعِیۡنُوۡا بِالصَّبۡرِ وَ الصَّلٰوۃِ*
Aur sabar aur namaz kay sath madad talab kero.
*Wazahat :-* logo ko chahiye ke woh ma'amul bna le koi masla ya pareshani aaye to sabr ,Salat(namaz) aur dua se usko dur kare.
No comments:
Post a Comment