KYA SHAB-E-BARAAT FAISLON KI RAAT HAI I...??"
* Shab-e-baraat manane walo ka nazariya hai ki yeh raat faislon ki raat hai. aur daleel me surah dukhan ki yeh aayaat pesh karte hain- _"Yaqinan humne ise ba barkat raat m utaara hai, beshak hum darane wale hain, is rat me har mazboot kaam ka faisla kiya jata hai"_ -Surah Dukhan 44, ayat-3, 4. Allah taala ke is farman me ba barkat raat ka zikr aaya hai jisme Quran majid ko utaara gaya aur jisme saal bhar me hone wale waaqiyaat ka faisla kiya jata hai. kuch log is ba barkat raat se muraad shaban ki 15vi raat lete hain. ab dekhna yeh hai ki kya haqeeqat me ba barkat raat se muraad shaban ki 15vi raat hai ya koi aur raat muraad hai. agar hum is ayat ki tafsir apni raay aur mansha ke mutaabiq karne ke bajaye khud Quran majid hi se talaash kare to is sawal ka jawab hame mil jata hai jaisa ki dusre muqaam par Allah taala ne quran majid ke nuzool ke mutalliq saraahat se farmaya hai- " _Ramadhan ke mahine me Quran nazil kiya gaya hai"_ (Surah Baqarah 2, ayat-185.) Aur jis raat me naazil kiya gaya iski saraahat bhi farma di ke- " _Beshak humne ise lailatul qadr me naazil kiya"_ (Surah Qadr 97, ayat-1.) jo ki ramadhanul mabarak ke akhiri ashre ki ek raat hai, yahan Allah taala ne nuzool quran ka mahina aur is mahine ki khaas raat jisme nabi Sallallahu alaihi wa sallam par quran ka nuzool shuru hua, iski wazahat bhi farma di hai jise surah dukhan ki ayat me lailatul mubarakah bhi kaha gaya hai. lailatul mubarakah ki qurani tafsir se pata chalta hai ki yeh lailatul qadr hi hai jisme quran utaara gaya aur isi me saal bhar ke haadsaat wa waaqiyaat ka faisla bhi kiya jata hai. jamhoor ulama ka yahi moqif hai. qurani tafsir ke muqable me zaeef riwayaat se lailatul mubarakah ki tafsir 15vi shaban ki raat se karna jaiz nahi balki baatil hai. -----------------------
No comments:
Post a Comment