Deen Me NAyi Chij Izaad KArna Biddat HAi
أَخْبَرَنَا عُتْبَةُ بْنُ عَبْدِ اللَّهِ، قال: أَنْبَأَنَا ابْنُ الْمُبَارَكِ، عَنْ سُفْيَانَ، عَنْ جَعْفَرِ بْنِ مُحَمَّدٍ، عَنْ أَبِيهِ، عَنْ جَابِرِ بْنِ عَبْدِ اللَّهِ، قال: كَانَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يَقُولُ فِي خُطْبَتِهِ يَحْمَدُ اللَّهَ وَيُثْنِي عَلَيْهِ بِمَا هُوَ أَهْلُهُ، ثُمَّ يَقُولُ: مَنْ يَهْدِهِ اللَّهُ فَلَا مُضِلَّ لَهُ وَمَنْ يُضْلِلْهُ فَلَا هَادِيَ لَهُ، إِنَّ أَصْدَقَ الْحَدِيثِ كِتَابُ اللَّهِ، وَأَحْسَنَ الْهَدْيِ هَدْيُ مُحَمَّدٍ، وَشَرُّ الْأُمُورِ مُحْدَثَاتُهَا، وَكُلُّ مُحْدَثَةٍ بِدْعَةٌ وَكُلُّ بِدْعَةٍ ضَلَالَةٌ وَكُلُّ ضَلَالَةٍ فِي النَّارِ
Rasool Allah ﷺ Apne khutba mein Allah ki hamd o Sana bayan karte jo iski shaan hoti, phir aap farmatay: jisay Allah raah dikhaye to koi usay gumrah nahi kar sakta, aur jisay gumrah kar dey to usay koi hedayat nahi dey sakta, sab se sachhi baat Allah ki kitaab (Quran) hai, aur sab se behtar tareeqa Mohammad ﷺ ka tareeqa hai, aur bad tareen kaam naye kaam hain, aur har naya kaam bida'at hai aur har bidat gumrahi hai, aur har gumrahi jahannum mein le jane wali hai.
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم اپنے خطبہ میں اللہ کی حمد و ثنا بیان کرتے جو اس کی شان ہوتی، پھر آپ فرماتے: جسے اللہ راہ دکھائے تو کوئی اسے گمراہ نہیں کر سکتا، اور جسے گمراہ کر دے تو اسے کوئی ہدایت نہیں دے سکتا، سب سے سچی بات اللہ کی کتاب(قران) ہے، اور سب سے بہتر طریقہ محمد صلی اللہ علیہ وسلم کا طریقہ ہے، اور بدترین کام نئے کام ہیں، اور ہر نیا کام بدعت ہے اور ہر بدعت گمراہی ہے، اور ہر گمراہی جہنم میں لے جانے والی ہے
In his Khutbah the Messenger of Allah (ﷺ) used to praise Allah as He deserves to be praised, then he would say: 'Whomsoever Allah (SWT) guides, none can lead him astray, and whomsoever Allah sends astray, none can guide. The truest of word is the Book (Quran) of Allah and best of guidance is the guidance of Muhammad. The worst of things are those that are newly invented; every newly-invented thing is an innovation and every innovation is going astray, and every going astray is in the hell Fire.'
*wazahat:* Deen mein ijaad karda naya tariqa jis par amal karne se ajr o sawab aur Allah ka qurb hasil karna maqsad ho ye bidat kahlata hai. Jiss naye kaam ki asal Qura aur sunnat mein naa milti ho ya jis amal ka nabi kareem ﷺ ne hukm naa diya ho. Hadees mein wazeh hai, kisi shakhs ke jahannum mein jaane ke liye kaafi hai ki wo shakhs bidat mein mubtela ho jaye. Rasool Allah ﷺ ne farmaya *ahkam e deen meim koi aisi baat ijaad ki jo maine na batlayi ho to wo mardud aur na maqbul hai* [Bukhari: 2697]. Allah ne farmaya _...Aaj maine tumhare liye deen mukammal kar diya hai..._[Quran 5:3]. Isliye deen e islam mein kisi tarah ki na kami ki jaa sakti hai aur naa hi zeyadti.
Sunan nasa'i: jild-2, Kitab Salat Al-eidain 19, hadith no. 1579
Grade sahi.
Grade sahi.
No comments:
Post a Comment