find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Islam Me Nikaah ka Hukm Kiske Liye Hai?

 Hadith: *Nikah meri sunnat hain aur jo koi meri sunnat par aamaal na karen uska mujhse koi talluq nahi*
 *Aisha Radhiallaahu anhu se rivayat hai ki Rasoolullaah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Nikah meri sunnat hain aur jo koi meri sunnat par aamaal na kare uska mujhse koi talluq nahi, Nikah kiya karo isliye ki tumhari zyada tadad par main dusri ummato ke samne fakhr karunga, jismein istitaat (capacity) ho wo toh nikah kar le aur jismein istitaat na ho wo roze rakhe , wo isliye ki roza uski shahwat ( nafsani khwahishat) ko tod dega.*
 *Sunan Ibn majah, Vol 2, Hadith 2-Hasan*
 *Abdullah ibn Masood RadhiAllaahu Anhu se rivayat hai ki Rasoolullaah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Eh Naujawano ki jamaat tum mein jise bhi Nikah karne ki maali taqat ho usey Nikaah kar Lena chahiye kyunki ye nazar ko neechi rakhne wala aur Sharamgaah ki hifazat karney wala aamaal hai aur jo nikaah ki taqat na rakhta ho usey chahiye ki roza rakhey kyunki Roza uski nafsani khwahishat ko todh dega.*
 *Sahih Bukhari, Vol 6, 5066*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Share:

2 comments:

  1. Mera ye sawal hai mai ak larki hon meray face pr hair hain treatment koi krwaun medicine suite ni krti dil ghabrny lgta hai taklif hoti to rang b kala hai r sehat b bhttt kamzor hai kbi tkh hoti hon kbi ni mai shohar ka hak ada na kr skti hon to mai janat mai ni ja skti kia plzz rahnumai Farma dain

    ReplyDelete
    Replies
    1. Assalamu Alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barkatuh
      Rang Se Koi Bahes Nahi Hai , Islam Ne Akhlaq Ke Bena Par Nikah Karne Ko Kaha Hai. Khud Se Kisi chij Ko Na Sochen,
      Allah Se Dua Karen Wo Jaroor Hal Talsh Kar Dega.

      https://www.youtube.com/watch?v=ed7Oahef88Q

      Delete

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS