find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Manasik-E-Hajj Aur Mukhalifat-E-Hanafiyyah Wa Barailwiyah. (Part 1)

*🔘Manasik e Hajj Aur Mukhaalifat e Hanafiyyah wa Barelwiyyah🔘*

*Part-1*

*🖊 Tehreer: Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullah*

*🖋 Romanised By: Umar Asari ​*

*➊ Ehraam Ki Makhsoos Namaz:*
Ehraam ki koi makhsoos (khas) namaz Ahadees se saabit nahi hai magar Ahnaaf mein yeh namaz Umrah aur Hajj karney walon ke liye bohot ahem maani jaati hai, Paanch (5) waqt ki namazon se koi unkey yahan kitna hi ghaafil kiyun na ho magar yeh (Ehraam ki) Namaz nahi chor sakta. Mera tajurbah (experience) hai logon ke saath. Meqaat pe Deobandi hazraat Umrah ki gaadi (گاڑی) chor detey hain magar yeh namaz nahi chortey.

*➋ Hajj Aur Umrah Ki Niyat:*
Ahadees se Umrah ke liye Labbaika Umratan (لَبَّيْك عُمْرَةً) aur Hajj ke liye Labbaika Hajjan (لَبَّيْك حَجًّا) ke alfaaz niyat ke taur par saabit hain magar Ahnaaf ke yahan apni banawati niyat hai jis ki taleem wo logon ko detey hain. Durr e Mukhtaar mein Hajj ki niyat is tarah sikhaai gai hai:
اَللّٰهُمَّ إِنِّي أُرِيْدُ الْحَجَّ، فَيَسِّرْه لِي، وَتَقَبَّلْه مِنِّی، وَأَعِنِّي عَلَيْه، وَبَارِکْ لِي فِيْه، نَوَيْتُ الْحَجَّ، وَأَحْرَمْتُ بِهﷲِ تَعَالٰي
*(حصکفی، الدر المختار، کتاب الحج، 2 : 482)​*
*Tarjumah:* Aye Allah! Main Hajj ka iradah karta hun, pas is ko mere liye aasaan kar de, aur isey mujh se qabool kar le, aur is mein meri madad farma, aur is mein mere liye barkat farma, main ne hajj ki niyat ki, aur is ke saath Allah Taala ke liye Ehraam baandha.

*➌ Makkah Mein Dakhil Honay Ki Dua:*
Ahnaaf ke yahan Makkah mein dakhil honay ki yeh dua bataai jaati hai:
اَللّٰهُمَّ إِنَّ هٰذَا حَرَمُکَ وَحَرَمُ رَسُوْلِکَ، فَحَرِّمْ لَحْمِي وَدَمِي وَعَظْمِي عَلَی النَّارِ، الَلّٰهُمَّ اٰمِنِّي مِنْ عَذَابِکَ يَوْمَ تَبْعَثُ عِبَادَکَ، وَاجْعَلْنِي مِنْ أُوْلِيآئِکَ وَأَهْلِ طَاعَتِکَ، وَتُبْ عَلَيَّ، إِنَّکَ أَنْتَ التَّوَّابُ الرَّحِيْمُ​
Yeh dua Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam se saabit nahi hai,Albatta Masjid e Haram mein daakhil hongey to yeh dua padhengey (waisay yeh kisi bhi masjid mein daakhil hotey waqt padh saktey hain):
أَعُوذُ بِاللَّهِ الْعَظِيمِ، وَبِوَجْهِهِ الْكَرِيمِ، وَسُلْطَانِهِ الْقَدِيمِ، مِنَ الشَّيْطَانِ الرَّجِيمِ، بِسْمِ اللَّهِ، وَالسَّلَامُ عَلَى رَسُولِ اللَّهِ، اللَّهُمَّ اغْفِرْ لِي ذُنُوبِي وَافْتَحْ لِي أَبْوَابَ رَحْمَتِكَ​
*(Abu Dawood: 466 and Ibn e Majah: 771)*

*➍ Baab us Salam Se Dakhil Honay Ki Dua:*
اللّٰهُمَّ أَنْتَ السَّلَامُ، وَمِنْکَ السَّلَامُ، فَحَيِّنَا رَبَّنَا بِالسَّلَامِ، وَأَدْخِلْنَا الْجَنَّةَ دَارَ السَّلَامِ، تَباَرَکْتَ وَتَعَالَيْتَ يَا ذَا الْجَلَالِ وَالْإِکْرَامِ​
Yeh dua Baab us Salam se dakhil hotey waqt padhi jaati hai jabki Baab us Salam ya aur kisi baab se dakhil honay ki koi khaas dua Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam se saabit nahi hai.

*➎ Ka’ba Ko Pehli Nazar Dekhnay Ki Dua:*
Aik dua naqal ki gai hai jo Ka’ba par nazar padney ke waqt padhney ka zikr milta hai, woh dua kuch is tarah hai:
اللَّهُمَّ زِدْ هَذَا الْبَيْتَ تَشْرِيفًا وَتَعْظِيمًا وَتَكْرِيمًا وَمَهَابَةً ، وَزِدْ مِنْ شَرَّفَهُ وَكَرَّمَهُ مِمَّنْ حَجَّهُ وَاعْتَمَرَهُ تَشْرِيفًا وَتَكْرِيمًا وَتَعْظِيمًا وَبِرًّا​
*Yeh dua kai Turuq se marwi hai magar tamam ke tamam Tareeq Zaeef hain.*
Isi tarah yeh bhi aiteqaad rakha jaata hai ke Ka’ba ko pehli baar dekhney ke waqt jo dua ki jati hai woh qabool hoti hai. Is qism ki kuch duayen marwi hain lekin koi bhi saabit nahi hai.

*➏ Tawaf Ki Niyat:*
Niyat dil ke iradey ka naam hai, kisi bhi amal se pehlay woh niyat dil mein paida ho jaati hai usey zabaan se zahir karney ki waisey bhi zaroorat nahi kiyunki Allah Taala Samee Aur Baseer (sab kuch sun-ney aur dekhnay wala) hai. Mazeed Tawaaf ke liye zabaan se zahir kar ke koi niyat karney ka suboot nahi milta magar Ahnaaf ke yahan is ki taleem di jati hai.

*➐ Ka’ba Ke Har Rukn Ki Makhsoos Duayen:*
Khana e Ka’ba ke charon Rukn (Rukn e Shaami, Rukn e Iraqi, Rukn e Yamaani aur Hajr e Aswad) ki makhsoos duayen un ki kitabon mein milti hain jo ki sabit nahi hain. Sahih Hadees se Rukn e Yamaani aur Hajr e Aswad ke darmiyan yeh dua padhney ka suboot milta hai:
رَبَّنَا آتِنَا فِي الدُّنْيَا حَسَنَةً وَفِي الْآخِرَةِ حَسَنَةً، وَقِنَا عَذَابَ النَّارِ​
*Tarjumah:* Aye hamarey Rab! Hamein dunyan mein bhalaai ata farma, aur aakhirat mein bhi, aur hamein jahannum ke Azaab se bacha ley.
*(Abu Dawood: 1892)*

*➑ Tawaf Ke Har Chakkar Ki Makhsoos Duayen:*
Tawaf ke har chakkar ki duayen un ke yahan bataai jaati hain, yeh tafseel ka mauqa nahi ki saari duayen zikr karun albatta yeh kehna chahta hun ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam se kisi chakkar ki koi makhsoos dua saabit nahi hai, (Rukn e Yamaani aur Hajr e Aswad ke darmiyan “رَبَّنَا” wali dua saabit hai) is liye Tawaf ke saaton chakkron mein baghair ta’een ke koi bhi dua padh saktey hain.

*➒ Sa’ee (سعی) Ki Niyat:*
Ahnaaf ke yahan Sa’ee ki in alfaaz ke saath niyat ki jaati hai:
اَللّٰهُمَّ إِنِِّي أُرِيْدُ السَّعْيَ بَيْنَ الصَّفَا وَالْمَرْوَةَ سَبْعَةَ أَشْوَاطٍ لِّوَجْهِکَ الْکَرِيْمِ فَيَسِّرْه لِي وَتَقَبَّلْه مِنِّي​
Niyat ke talluq se main ne upar kaha hai ke Hajj ya Umrah ka Ehraam bandhtey waqt hi niyat ki jati hai, baad mein Tawaf ya Sa’ee ke liye makhsoos alfaaz mein koi niyat saabit nahi hai.

*➓ Sa’ee Ki Makhsoos Duayen:*
Safa aur Marwah par yeh dua karna saabit hai:
لَا إِلَهَ إِلَّا اللهُ وَحْدَهُ لَا شَرِيكَ لَهُ، لَهُ الْمُلْكُ وَلَهُ الْحَمْدُ وَهُوَ عَلَى كُلِّ شَيْءٍ قَدِيرٌ، لَا إِلَهَ إِلَّا اللهُ وَحْدَهُ، أَنْجَزَ وَعْدَهُ، وَنَصَرَ عَبْدَهُ، وَهَزَمَ الْأَحْزَابَ وَحْدَهُ​
*Tarjumah:* Allah ke alawah koi sachcha Ma’bood nahi wo akela hai uska koi shareek nahi, uskey liye baadshaahat hai aur usi ke liye tamaam ta’reefat hain aur wo har cheez par qaadir hai, uskey alawah koi sachcha Ma'bood nahi wo akela hai, usney apna wada poora kar diya, apney bandey ki madad ki aur akeley hi tamaam lashkaron ko shikast di.
*(Sahih Muslim: 1298)*

Baqi chakkron mein koi bhi dua kar saktey hain. Ahnaaf ke nazdeek Sa’ee ki bohot saari masnoo’ee (banawti) duayen chalti hain un se apney aapko bacha kar rakhen.

*⓫ Mina Mein Mukammal Namaz:*
Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne Mina mein Qasr kar ke namaz padhi thi lehaza hamein bhi Qasr kar ke Mina mein namaz padhni chahiye magar Ahnaaf ke yahan is sunnat ki mukhalifat ki jaati hai aur woh mukammal namaz padhtey hain. Safar wali Ahadees se istedlaal kartey hain (means daleel pakadtey hain) halaanki Manasik e Hajj (ceremonies of Hajj) ki kaifiyat bilkul wazahat se saabit hai, tamam Sahaba chahey wo muqeem hon ya musafir Hajj mein sab ne Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ke saath Mina mein Qasr kiya tha. Is liye yahan safar wali hadees fit karna sahih nahi hai. Is talluq se Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ke tareeqe ko dekhna hoga aur us par chalna hoga. Aur Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ka tareeqa yeh tha ki Aap ne Qasr kiya tha.

*⓬ Arafat Mein Mukammal Namaz:*
Sunnat ke mutabiq Arafat mein Zohr ke waqt Zohr aur Asr ki namaz “Jama Taqdeem” ke saath Qasr kar ke padhna hai magar Hanfi Fiqah ki roshni mein yeh dono namazein apney apney waqt mein mukammal (bagair qasr ke) padhni hai. Yeh Sareeh (wazeh) sunnat ki mukhalifat hai.

*☘To be continued☘*

*🌹Please Share with Our Muslims Brother and Sister.🌹*
-------------------

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS