Suraj Garhan Aur Chand Garhan kya Hai?
Suraj Garhan Aur Chand Garhan kyu hote hai?
Iske Aane ki kya Alamat hai?
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
👉Sooraj aur chaand mein Grahan (eclipse) dekho to
Namaz Parha karo aur Dua karte raho
📚Abu Bakra Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Sooraj aur chaand dono Allah Subhanahu ki nishaniyaan hain aur Kisi ki wajah se inn mein Grahan (eclipse) nahi lagta balki Allah subhanahu uske zariye apney bando ko darata hai
📚Sahih Bukhari, Vol2, 1048
📚Abu Bakra Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki hum Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ki khidmat mein haazir they ki Sooraj ko grahan lagna shuru ho gaya Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam masjid mein gaye, saath mein hum bhi gaye, Aapne humein Do rakaat namaz parhayee yahan tak ki sooraj saaf ho gaya, phir Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Sooraj aur chaand mein Kisi ki maut ki wajah se grahan (eclipse) nahi lagta, jab tum grahan dekho to Namaz parho aur Dua kartey raho jab tak Grahan chala na jaaye
📚Sahih Bukhari, Vol2, 1040
No comments:
Post a Comment