find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Ulemao Se Man-Gharat Masla Puchhna.

*ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ*

*Ulemao se Man-gharat Masai'l puchna*

كُنْتُ أَمْشِي مَعَ أُبَيِّ بْنِ كَعْبٍ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ، فَقَالَ فَتًى : مَا تَقُولُ يَا عَمَّاهْ كَذَا وَكَذَا ؟ قَالَ : يَا ابْنَ أَخِي، أَكَانَ هَذَا ؟ قَالَ : لَا. قَالَ : فَأَعْفِنَا حَتَّى يَكُونَ

Ubay bin Ka'ab رضي الله عنه se ek nojawan ne pucha ke .. Aey Chacha !!!

*Fala Fala Baat(muamla,masail) ke bare me aap kya kehte hai*

Ubay bin Ka'ab رضي الله عنه ne usse pucha ..Aey Bhatije.!!

*Kya yeh (Mas'la , Muamla ) Ro'numa ho chuka hai ?*

Usne kaha Nahi..

Ubay bin ka'ab رضي الله عنه ne jawab diya *tum hume mua'af karo hatta ke woh(haqeeqat mein) Ro'numa ho jaye (tab puchna)*.

*Ref:-* Sunan Darimi 152 isnad Hasan

Mafhum:- *Bewajah aur fijul sawal karne se bacho*

Hadees:-

""إِنَّ أَعْظَمَ الْمُسْلِمِينَ جُرْمًا مَنْ سَأَلَ عَنْ شَيْءٍ لَمْ يُحَرَّمْ، ‏‏‏‏‏‏فَحُرِّمَ مِنْ أَجْلِ مَسْأَلَتِهِ"".

Rasulallahﷺ ne farmaya  *Musalamano ke haq me sabse bada mujrim woh Musalaman hai jo esi chij ke bare me sawal kare jo haram nhi ki gayi thi lekin uske sawal karne ki wajah se us par haram kardi gayi*

Source :- Bukhari 7289

(Muttafiq Alayhe)

Al khattabi Ne kaha :- *Yeh rivayat un logo ke liye hai jo bewajah aur befijul sawal karte hai jinki unko deen me zarurt hi nhi*

aur unke liye koi gunah nhi jo zarurt wale masail puchte hai balqe unhe puchna chahiye .

قال الخطابي وغيره : هذا الحديث فيمن سأل تكلفا أو تعنتا فيما لا حاجة به إليه ، فأما من سأل لضرورة ، بأن وقعت له مسألة فسأل عنها فلا إثم عليه ، ولا عتب

Sharah al nawawi muslim 2358

Aaj kal ba'az log ulemao se beja sawal karte hai unke ilm ka imtihaan lete hai maslan Adam aur hawwa ki shadi kisne karwayi kya zulekha ka aur yusuf ka nikah hua is trh ke sawal karte hai un logo ko darna chahiye.

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS