find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Ulema Se NAfrat Dilane KA Fitna Aur Uska illaj (Part 2)

Ulama-e-Kiraam se tanfeer (Nafrat dilaane) ka fitnah—Asbaab-o-ilaaj

 Part- ⓶
Tehreer: Umar Asari bin Ashiq Ali Asari​
Ulama-e-haqq ke fazaail mein waarid nusoos (dalaail) se airaaz (ijtinaab):
Ulama ki tahqeer-o-tauheen aur un par la’n ta’an karne waalon ko yeh aur is tarah ke be-shumaar dalaail jin mein ulama-e-haqq ke fazaail waarid huwe hain, hazam nahi hote ya shayad woh jaan boojh kar un dalaail ko ignore karte hain, lehaza unhein sirf woh dalaail nazar aate hain jin mein ulama-e-soo (bure ulama) ki mazammat waarid hai aur unhien dalaail ko bunyaad bana kar woh tamaam ulama, chaahe woh Ulama-e-haqq hon ya ulama-e-soo, sab ko ek hi laathi se haankna shuru kar dete hain. Halaanki yeh rawish aur tareeqa to khawaarij ka hai jo wa’eed ke nusoos (dalaail) ko lete hain aur wa’d ke nusoos ka inkaar kar dete hain. Ya yeh tareeqa ahl-e-hawa (khwahish paraston) ka hai jo apne nafs ki ittebaa’ mein apne matlab ki baaton ko lete hain jabki mukhalif baaton ko chhod dete hain.
*❀Ulama par fatwon ki barish:❀*
Un ke qadam yahein tak ruke rehte to kuch ghaneemat bhi tha lekin un logon ne ulama-e-kiraam ki tazleel-o-ihaanat mein chaar qadam aage badh kar un par fatwe baazi shuru kar di, lehaza kabhi woh ulama-e-kiraam ko Allah ke darr aur khauf se aari (khaali) qaraar dete hain. Halaanki agar koi haqeeqi ma’non mein Allah se darta hai to Ulama-e-haqq hi hain. Allah ﷻ ka farman hai:
إِنَّمَا يَخْشَى اللَّهَ مِنْ عِبَادِهِ الْعُلَمَاءُ​
Tarjumah: Allah se us ke wahi bande darte hain jo ilm rakhte hain.
(Surah Faatir: 28)
Bhala bataiye! Kya ulama-e-kiraam ke alawah Allah se koi nahi darta? Nahi aisa nahi hai balki Allah se darne waale to bahut saare log ho sakte hain lekin ulama ke darr aur khauf ki baat hi kuch aur hoti hai isi liye Allah Rabb-ul-Aalameen ne un ke darne aur khauf khaane ki misaal di hai.
*Kabhi woh ulama-e-kiraam ko mazhabi munafarat (nafrat) phailaane ka zimmedaar thehraate huwe unhein firqa parast qaraar dete hain aur wajah yeh bataate hain ke ulama rafa-ul-yadain aur Fatiha khalf-ul-Imam waghera ki Ahadees bayan karte hain.* Un ki bayan ki hui wujoohaat (reasons) se yeh zahir hota hai ke woh log chaahte hain ke *ulama sahih ko sahih aur ghalat ko ghalat* kehna chhod kar *“Yeh bhi sahih aur woh bhi sahih”* ka na’ra lagaana shuru kar den. *Halaanki yeh Quran-o-Hadees ki ta’leemaat ke khilaaf hai.* Quran-o-Hadees to hamein yeh hukm dete hain ke hum Quran-o-Hadees ke muqaabile mein kisi ko tarjeeh na den. Ab agar is se kisi ko lagta hai ke mazhabi munafarat (nafrat) phailti hai aur log firqon mein taqseem hote hain to us ko apni soch badalne ki zaroorat hai. Kiunki Quran-o-Hadees bayan karne se hi ittihad hota hai na ke logon ke afkaar-o-aaraa bayan karne se. Kiunki yeh dono cheezein Allah ki wahi hain.
*Isi tarah kabhi woh ulama ko buzdili aur maslihat parasti ka ta’na dete hain.* Halaanki haqeeqat mein aisa nahi hai. *Ulama-e-kiraam bawaqt-e-zaroorat (zaroorat ke waqt) aur baqadr-e-zaroorat (zaroorat ke jitna) apna haqq ada karte rehte hain. Albattah woh waqti maslihat ko saamne rakhte huwe apna kaam karte hain. Unhein mu’aasharati aur hukumati maslihaton aur mafaasid (kharabiyon) ka bakhoobi (achchi tarah) ilm hota hai isi liye woh ehtiyaat barat’te hain.
Hasan basari Rahimahullah farmaate hain:
الفتنةُ إذا أقبلت عرفها كل عالم، وإذا أدبرت عرفها كل جاهل​
Tarjumah: Jab fitnah aata hai to har alim use pehchaan leta hai, aur jab chala jaata hai to jahil ko pata chalta hai ke yeh fitnah tha.
*(At-Tareekh-ul-Kabeer Lil-Bukhari: 4/322, Tabaqaat Ibn-e-Sa’d: 9/166)
Shayad isi ki tarjumani karte huwe kisi shayar ne kaha tha:
Hum kaise tairaak rahe hain jaa kar poocho sahil waalon se
Khud to doob gaye lekin rukh mod diya toofano ka
*❀Ulama ki tahqeer aur un par ta’an ka nuqsaan:
Ulama-e-kiraam ka mazaaq udaana aur un par ta’an-o-tashnee’ koi nai (new) baat nahi. Sadyon se yeh khel khela jaa raha hai. Albattah is zamaane mein khaas taur se Social Media ke zariye yeh amal kuch ziyadah hi badh gaya hai. Chunanche is ke asraat pehle se kahein ziyadah mehsoos kiye jaate hain. Lehaza ulama ko tamaskhuraana (mazaq udaane waale) andaaz mein *“Mulla”* aur *“Jaahil Molvi”* waghera jaise alqaab se pukaara jaata hai. Halaanki ulama-e-kiraam ki tauheen-o-tahqeer par sakht wa’eeden waarid hain. *Chunanche ulama se dushmani Allah se jung hai.* Hadees-e-Qudsi mein Allah ﷻ ka farman hai:
مَنْ عَادَى لِي وَلِيًّا فَقَدْ آذَنْتُهُ بِالْحَرْبِ​
*Tarjumah:* Jis ne mere kisi wali se dushmani ki use meri taraf se elaan-e-jung hai.
*(Sahih Bukhari, Hadees No: 6502)*
*Iski tashreeh (explanation) mein Hafiz Ibn-e-Hajar Rahimahullah likhte hain:*
الْمُرَادُ بِوَلِيِّ اللَّهِ الْعَالِمُ بِاللَّهِ الْمُوَاظِبُ عَلَى طَاعَتِهِ الْمُخْلِصُ فِي عِبَادَتِهِ​
*Tarjumah:* Allah ke wali se muraad alim billah (jo Allah ki ma’rifat rakhta ho) hai, jo uski ita’at mein hameshgi barat’ta hai aur uski ibadat mein mukhlis hai.
*(Fatah-ul-Baari: 11/342)*
*Is ke alawah jo ulama ke haqq ko nahi pehchaanta aur un ki tauheen karta hai woh Nabi ﷺ ke tareeqe par nahi.* Farmaan-e-Nabwi hai:
ليس من أُمتي من لم يُجِلَّ كبيرَنا، ويَرحَمْ صغيرَنا، ويعرِفْ لعالمِنا​
*Tarjumah:* Jo shakhs hamaare badon ki ta’zeem nahi karta, hamaare chhoton par shafqat nahi karta aur hamaare ulama ki qadr nahi karta woh meri ummat mein se nahi.
*(Sahih-ut-Targheeb Lil-Albani, Hadees No: 101)
*Ulama-e-Salaf ne bhi ulama ki tauheen-o-tahqeer aur un par ta’an-o-tashnee’ se daraaya hai. Chunanche Imam Tahawi Rahimahullah farmaate hain:
وعلماء السلف من السابقين، ومن بعدهم من التابعين – أهل الخير والأثر، وأهل الفقه والنظر – لا يذكرون إلا بالجميل، ومن ذكرهم بسوء، فهو على غير السبيل​
*Tarjumah:* Saabiqeen ulama-e-Salaf aur un ke baad Tabi’een ahl-e-khair aur ilm-o-fiqh waale hain, un ka sirf achche andaaz mein zikr kiya jaayega aur jo unka zikr bure tareeqe se karta hai woh seedhe raaste se bhatka huwa hai.
*(Sharah Al-Aqeedah At-Tahawiyyah: 740)
*Aur Imam Ibn-e-Mubarak Rahimahullah farmaate hain:
من استخف بالعلماء ذهبت آخرته، ومن استخف بالأمراء ذهبت دنياه، ومن استخف بالإخوان ذهبت مروءته​
*Tarjumah: Jis ne ulama ki tauheen ki uski aakhirat barbaad ho gayi aur jis ne umaraa ki ihaanat ki uski duniya chali gayi aur jis ne bhaiyon ki na-qadri ki uski muruwwat khatm ho gayi.
*(Siyar-o-A’laam An-Nubalaa Liz-Zahbi: 8/408)
*Imam Ahmad bin Azra’ee Rahimahullah farmaate hain:
الوقيعة في أهل العلم ولا سيما أكابرهم من كبائر الذنوب​
*Tarjumah:* Ahl-e-ilm ki mazammat aur tauheen khaas taur se unke akaabir (badon) ki, kabeerah gunaahon mein se hai.
*(Ar-Radd-ul-Wafar Li-Ibn-e-Nasir-ud-Deen Ad-Dimashqi: 283)
Upar zikr ki gayi Ahadees aur aqwaal-e-Salaf se hamein ibrat haasil karna chahiye, ulama-e-kiraam ki izzat karni chahiye aur un ke baare mein apni zabaano ko rok dena chahiye. Ikhtilaaf-e-raaye rakhne ka haqq sab ko hai lekin us ke kuch hudood-o-quyood hain, lihaaza achche andaaz mein ikhtilaaf rakhne mein koi harj nahi lekin be-adbi, satahiyyat aur tazleel-o-hiqaarat kisi soorat mein jaaiz nahi. Yaad rakhen! Ulama par bohtaan lagaana, suni sunaayi baaton ko un ki taraf mansoob karna aur har mehfil mein zabaan daraazi kar ke apni ilmiyat zahir karna jihaalat ke siwa aur kuch nahi.
Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS