find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Waleema karne Ke Liye Nikah Ke Din Apni Biwi Se Mubashirat Karna Jaruri Hai?

*ꙮWaleema karne ke liye Nikah ke din Hambistari karna zaroori hai?ꙮ

*❀Sawaal:❀*
Assalamualaikum Warehmatullahi Wabarkatahu
Mera Sawal yeh hai kya valima karne k liye Nikah wale din hambistari karna zaroori hota hai yah phir bina hambistari k bhi valima kar sakte hai yah nahi ? Maine suna hai valima karne k liye Nikah k din hambistari karna zaroori hota hai warna valima ka khana jayez nahi hoga ? Islaah aur jawab ka muntazir hon...
*✿Jawaab:✿*
Walaikum Assalam Warahmatullahi Wabarakatuhu
Is masle mein ulama ka ikhtilaaf hai.
Afzal to yahi hai ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki iqtida aur pairwi karte huwe waleema rukhsati aur dukhool (hambistri) ke baad kiya jaaye, lekin agar aisa karna mayassar na ho to phir dukhool se pehle ya phir aqd e nikah ke waqt ya aqd e nikah ke baad bhi waleema karne mein koi harj nahi.
Wallahu Alam.
*Please Share with Our Muslims Brother and Sister.*
-------------------
Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS