find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Jume ke Din ki Ahmiyat O Fazilat.

*☘JUMAH KI AHMIYAT AUR FAZAILAT QURAN AUR HADEES KI ROSHNI MEIN☘*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

*بِسْمِ الْلّٰهِ الْرَّحْمٰنِ الرَّحِيْم*

*يَٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُوٓا۟ إِذَا نُودِىَ لِلصَّلَوٰةِ مِن يَوْمِ ٱلْجُمُعَةِ فَٱسْعَوْا۟ إِلَىٰ ذِكْرِ ٱللَّهِ وَذَرُوا۟ ٱلْبَيْعَ ۚ ذَٰلِكُمْ خَيْرٌۭ لَّكُمْ إِن كُنتُمْ تَعْلَمُونَ*

1⃣Al Quran : Aye Imaan Walon ! Jab Jumaa Ke Din Namaz Ke Liye Azaan Di Jaye to Allah ke Zikr Ki Taraf Jaldi Se Aa Jao Aur Kharid Wa Farokht (Business) Chhodh Do, Tumhare Liye Yahi Baat Behtar Hai Agar Tum ilm Rakhte Ho.

*📕Al Quran [Surah Al Jumah (62), Ayat : 9]*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

*2⃣Rasoollallah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Ne farmaya:-*

" Tumharey Tamam Dino Mein Jumaa Ka Din Sabse Afzal Hai Ki is Din Hazarat Aadam αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Ko Paida kiya Gaya  Aur usi Din unki Rooh qabz ki Gayee Aur isi Din Soor Phunka Jayega Aur isi din Sab Behosh hongey isliye is Roz (Juma ko) mujh par Ziyada se Ziyada Durood Bheja Karo Kyun Ki Tumhara Durud Padhna Mujh Par Pesh Kiya Jata Hai,

Logon ne Kaha Ya Rasoollallah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Hamara Durood Padhna Aap Par kis Tarah Se Pesh Hoga Jab ki Aap to Mitti ho Gaye Hongey ❓

To Aap ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya Allah ta'ala ne Anbiya Karam ke Jism (Body) ko Mitti Par Haram kar Diya Hai.

*📚[Sunan Abu Dawud, Vol 1, Hadees: 1035 (Sahih)]*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

*3⃣Hazrat Abu Hurairah radiAllahu anhu Se  Riwayat hai ki Rasool'Allah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Ne Farmaya:-*

"Jab Jumaa ka Din Aata Hai To Farishtey Masjid Ke Darwazey Par Aaney Walon Ka Naam Likhtey Hain Sab Se Pahley Aane Wala Oont (camel)🐪 ki Qurbani Dene Waley Ki Tarah Likha Jata Hai, uskey Baad Aaney Wala Gaay (cow) 🐄ki Qurbani deney Waley ki Tarah Phir Maindey (sheep) 🐑 ki Qurbani ka Sawab Milta Hai, uskey Baad Murgi🐓 (chicken) ka, uskey Baad Andey (egg) ka Lekin Jab Imam (khutba Dene ke liye) Bahar Aa Jata Hai to ye Farishtey Apne Daftar Band kar dete hain aur khutba sunney mein mashgul ho jatey hain.

*📚[Sahih Bukhari, Vol 2, Hadees: 929]*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

*4⃣Hazrat Salman Farsi radi Allahu anhu Se  Riwayat hai ki Rasool'Allah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya:-*

"Jisney Jumaa Ke Din Ghusal Kiya  aur Khub Paki Hasil ki aur Tel (oil) Ya khushbu istemal ki Phir jumaa ke liye chala Aur Do Aadmiyon 👥 ke beech mein (Saff) Na Ghusa aur jitni uski kismat mein thi Namaz Padhi Phir  jab Imaam bahar Aaya aur Khutbah Shuru kiya to khamosh ho gaya, uskey is Jumah Se guzrey (past) Jumaa tak ke tamam gunaah bakhsh diye jayengey.

*📚[Sahih Bukhari, Vol 2, Hadees: 910]*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

*5⃣Hazrat Ibn Abbas radiAllahu Anhu Se Riwayat  hai ki Rasool'Allah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Ne farmaya:-*

Ye din (Jumaa) Eid ka din hai jo Allah ne musalmano ko Aata farmaya hai, isliye jo Jumaa ke liye Aaye to ghusal kar le aur khushbu mil jaye to laga le aur tum Par Miswak bhi hai.

*📚[Sunan ibn Majah, Vol 1, Hadees : 1098-Hasan]*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

*6⃣Hazrat Abdullah bin Umar radiAllahu Anhu Se  Riwayat hai ki Rasool'Allah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne apney minbar par se irshaad farmaya:-*

Logon ko Namaz Jumaa tark karney (Chhodh deney) se baaz rahna chahiye nahi to Allah ta'ala unkey Dilon par Muhar laga dega phir wo Ghafeeleen Mein ho Jayengey.

*📚[Sunan An Nasai, Vol 1, Hadees : 1373 (Sahih)]*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

*7⃣Hazrat Anas bin Malik radiAllahu Anhu se Riwayat  hai ki asool'Allah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya:-*

"Jo Shaksh Mujh Par Ek Martaba Durood Bhejega To Allah Subhanahu Us Par 10 Martaba Rahmat Bhejega Aur Uskey 10 Gunaah Maaf Hongey Aur 10 Darajaat Buland Hongey."

*📚[Sunan An Nasaii, Vol1, Hadees : 1300 (Sahih)]*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

*8⃣RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya:-*

"Jumah Ke Din Mujh Par Zyada Se Zyada Darood Bhejo, Kyu Ki Tumhara Darood Mujh Tak Pahunchaaya Jata Hai."

*📚[ Sunan e Abu Dawood : 1047 ]*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

*إِنَّ اللَّهَ وَمَلَائِكَتَهُ يُصَلُّونَ عَلَى النَّبِيِّ ۚ يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا صَلُّوا عَلَيْهِ وَسَلِّمُوا تَسْلِيمًا*

_*```👉TARJUMAH*_```
Beshak ! Allah Aur uske Farishte Rasool Par Durood Bhejte Hain, Monino ! Tum bhi Rasool Par Durood Aur Salaam bhejte Raha karo.

*📕Al-Quran Surah Ahzab No : 33 Ayat  No : 56*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

_*📌DUROOD IBRAHIM*_

*👈🏿اللَّهُمَّ صَلِّ عَلَى مُحَمَّدٍ وَعَلَى آلِ مُحَمَّدٍ كَمَا صَلَّيْتَ عَلَى إِبْرَاهِيمَ وَعَلَى آلِ إِبْرَاهِيمَ .إِنَّكَ حَمِيدٌ مَجِيدٌ*

*_👉Alla Huma Salli Ala Muhammadiw Wa Ala Aali Muhammadin Kamaa Sallaita Ala Ibrahima Wa Ala Aali Ibrahima Innaka Hamidum Majid._*

_*👉TARJUMAH*_
Aye Allah ! Muhammad ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Aur Muhammad ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Ki Aal Par Rahmatein Naazil Farma Jis Tarha Tune Ibraheem αℓαyнє ѕαℓℓαм Aur Ibrahim αℓαyнє ѕαℓℓαм Ki Aal Par Rahmaten Nazil Keen, Yaqeenan Tu Buzrugi Waala Qabil-e-Ta'reef Hai.

*👈اللَّهُمَّ بَارِكْ عَلَى مُحَمَّدٍ، وَعَلَى آلِ مُحَمَّدٍ كَمَا بَارَكْتَ عَلَى إِبْرَاهِيمَ وَعَلَى آلِ إِبْرَاهِيمَ .إِنَّكَ حَمِيدٌ مَجِيدٌ*
*👉Allahumma Baarik Ala Muhammadiw Wa Ala Aali Muhammadin Kamaa Baarakta Ala Ibrahima Wa Ala Aali Ibrahima Innaka Hamidum Majid.*

_*👉🏾TARJUMAH*_
Aye Allah ! Muhammad ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Aur Muhammad ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Ki Aal Par Barkaten Nazil Farma Jis Tarha Tune Ibraheem αℓαyнє ѕαℓℓαм Aur Ibrahim αℓαyнє ѕαℓℓαм Ki Aal Par Barkatein Nazil Keen, Yaqeenan Tu Buzrugi Waala Qabil-e-Ta'reef Hai.
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

*9⃣RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya :-*

Behtareen din, Jis per suraj nikal ker chamke, Jumah ka din hai, Isi din Adam αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Paida hue, Isi din Jannat me dakhil kiye gaye, isi din Jannat se zameen Par Utaare Gaye, or Qayamat bhi Juma ke din qayam hogi"

*📚[ Sahih Muslim : 854 ]*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

*🔟RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya:-*

Jo shaks Jumah ka din khub achi tarah ghusul kare, or Paidal masjid me Jaye, imam ke Najdiq hokar Dil laga ker khutba sune aur koi bekar baat na kare, to usko her qadam per ek saal ke roze aur uski Raato ke Qiyaam ka sawaab milega

*📚[ Jam e Tirmizi : 495 ]*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

*1⃣1⃣RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Jumah ka khutba de rahe the ki*

Ek shaks (Salik Gitfani R.Z) masjid me Aye, aur do rakat (Nafil) namaz padhe bina baith gaye, Nabi e Kareem (sallallahu alaihi wa sallam) ne pucha Kya tumne do rakat Nafil (Tahiyatul Masjid) namaz padhi hai ❓

Usne arz kiya Nahi Ya RasoolAllah ﷺ Aap Sallallahu álayhi wa sallam ne farmaya Khade ho jao or do rakat nafil (Tahiyatul Masjid) namaz padhker baitho"

*📚[ Sahih Bukhari : 930-931 ]*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

*1⃣2⃣ RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαмJumah ka khutba de rahe the ki*

Ek shaks Logon ki Gardane falaangta huwe (logon ko hata ker unke upar se) hua Aage Aane laga, to Aap ne yeh dekhker farmaya: 'Baith Jao ❗ Tumne logon ko takleef di aur der lagai hai"

*📚[Sunan e Abu Dawood : 1118 ]*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

*1⃣3⃣ RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya:-*

Jumah ke din Mujh Par zyada se zyada darood bhejo, kyu ki tumhara darood mujhtak Pahunchaaya jata hai

*📚[ Sunan e Abu Dawood : 1047 ]*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

*1⃣4⃣RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya:-*

Jab tum Jumah ke baad Namaz Padhna chaho to 4 rakat (2-2 se) sunnat ada karo (masjid me)

*📚[ Sahih Muslim : 881 ]*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

*1⃣5⃣RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм*

Jumah ki namaz ke baad koi namaz nahi padhte the, yahan tak ki apne ghar Aate aur do rakat (Sunnat) padhte"

*📚[ Sahih Bukhari : 937 ]*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

*1⃣6⃣Rasool ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Ne farmaya:-*

Juma ke din har balig ke leye ghusl zarori hai.

*📚[ Sahih al-Bukhari 879 ]*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

*1⃣7⃣Abu hurairah radhiyallahu anhu se riwayat hain ke Rasool ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Ne farmaya:-*

Ke jab tone apni sati se juma ke din kaha ke khamoos reh, Aur imaam khutba padh raha ho to tone lagu kaam kiya.

*📚[ Sahih al-bukhari : 934 ]*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

*1⃣8⃣Rasool ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Ne Farmaya:-*

Jo musalmaan juma ke din ya juma ke raat inteqaal karjaye, Allah subhana watala ose Azaab e qabar se mahfooz rakeh ga.

*📚[Jami` at-Tirmidhi 1074 ]*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
*👉Jumuah ki Raat Surah Al-kahaf Padhni ki Fazilat*

*1⃣9⃣Abu Saeed Khudri radi Allahu anhu se rivayat hai ki Rasool Allah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya:-*

Jis Ne Jumah ki raat Surah kahaf Padhi uske Aur baitullah ke darmiyan noor ki roshni ho jati hai.

*📌NOTE* : Jumerat ko Magrib ke baad se Juma ki raat shuru ho jati hai)

*📚Saheeh Al-Jaami, 6471,*
*📚 Sunan Al-Daarimi, 3407*
*📚Sahih Al Baihiqi, Subbul Iman, 2231-Hasan*

*🤲Allah Ta'ala Se Dua Hum Sab Ko Haq Baat Sune Aur Samaj Kar Amal Ki Taufeeq De Aameen Summa Aameen !*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS