find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Aashura ke Roze ki Fazilat.

✨💖اَلسَّلَامُ عَلَیّکُمٌ وَرَحٔمَتُہ اللهِ وَبَرَکَاتَه ✨💖

A͓̽A͓̽S͓̽H͓̽U͓̽R͓̽A͓̽ K͓̽A͓̽ R͓̽O͓̽Z͓̽A͓̽‼

✨💖  ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ✨💖

★ Sab Rozo Main Afzal Ramadan ka roza, aur oskey Baad Muharram Ka Roza hain…
Abu Hurairah (Razi Allahu Ta’ala Anhu) Say Riwayat Hain Ke, Rasool Allah ﷺ  Ne Farmaya👇

*Sab Rozo Main Afzal Ramadan ka roza, aur uskey baad Muharram Ka Roza Hain, Jo Allah Ka Mahina Hai Aur Baad Namaz-e-Farz Ke Tahajjud Ki Namaz Hain*💖✨

Sahih Muslim , Vol 3, 2755📚

 Abu Hurairah (Razi Allahu Ta’ala Anhu) Se Riwayat Hain Ke, Ek Sahib Rasool’Allah ﷺ Ki Khidmat Main Hazir Hokar Arz Karney Lage Ke, “Ramadan Ke Baad Sabsey Ziyada Fazilat Kaun Se Rozey Ki Hain, To Aap ﷺ  Ne Farmaya, “Allah ta'la Ka Mahina Jise Tum Muharram Kehte Ho💖✨                                                     Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 1742  Saheh📚

★ Muharram Ke Roze ki shuruat aur iski Taarikhi pasmanzar💖✨

Abdullah Bin Abbas(Radiallahu Taala Anhu) Se Riwayat Hai Ke Jab Rasool’Allah ﷺ  Madine Main tashreef Laye To Yahudiyon Ko Dekha Ke Aashurey Ke Din Ka Roza Rakhtey Hain, Logo Ne Unn Se Pucha Ki Kyon Roza rakhte Hain, To Unhone Kaha Ki Ye Wo Din Hain Jab Allah Ta’ala Ne Musa (Alaihi Salaam) Aur Bani Israeel Ko Firoun Par Galba (Victory) Diya Isliye Aaj Hum Rozedar Hain‼

Iski Taazeem Ke Liye, To Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya: “Hum Tum Se ziyada Dost Hain Aur Kareeb Hain Musa (Alaihi Salam) Ke, Phir Hukum Diya Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Iss (10 Muharram) Rozey Ka💖✨

Sahih-Muslim, Vol-No: 3, Book:6 (Roze Ka Masayel), Hadees-No:2656📚

A͓̽a͓̽s͓̽h͓̽u͓̽r͓̽a͓̽ k͓̽e͓̽ R͓̽o͓̽z͓̽e͓̽ k͓̽i͓̽ f͓̽a͓̽z͓̽i͓̽l͓̽a͓̽t͓̽…͓̽  ͓̽  ͓̽                                                                                                                                                       Abu Qatada al-Ansari radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Nabi Sallallahu Alaihi wasallam se Ashura (10 Muharram) ke din ke roze ke bare mein pucha to Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya ye Guzrey huye saal ke gunahon ka kaffara hai💖✨                                                                                                                        Sahih-Muslim, Vol-no: 3, Book: 6(Roze ka Masayel), Hadees-no: 2747📚

★  Akser Logon ko ye Doubt rehta hai k Kiya 10 muharram ka ek hi Roza rakhna chahiye ya Do rakhna hai ❓

Iska Jawab Hadees k mafhoom se maloom karte hain💖✨
👇

Hazrath Abdullah Bin Abbas Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Jab Roza rakha Rasoolallah Sallallahu Alaihi wasallam Ne Aashure ke din (10 Muharram) ka aur Huqm (Order) Kiya is Rozey ka, to logo ne Arz ki : “Ya Rasoolallah Sallallahu Alaihi wasallam ye din to aisa hai ki iski Taazim karte hain Yahud aur Nasara❓

To Aap Sallallahu Alaihi wasallam Ne farmaya Ki : “Jab Agla Saal aayega to Inshallah Hum 9 ka Roza Rakhege” Aakhir Agla Saal na aane paya ki Aap Sallallahu Alaihi wasallam Ne Duniya se    rukhsat ho gaye 💖✨

Sahih Muslim, Vol 3, 2666📚

Wallahu alam..........

*Allah se dua h k wo hame kehne sunne se zyada Amal ki taufeeq ata farmaye ameen ya rabbul alameen*

🌹🍂🌹🍂🌹🍂🌹🌹🍂🌹🍂🌹🍂🌹🍂🌹🍂🌹

D͓̽a͓̽n͓̽i͓̽s͓̽h͓̽ A͓̽n͓̽s͓̽a͓̽r͓̽i͓̽

*

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS