SAHABA JAISA IMAN LANE KO KAHA GAYA HAI.*
*Pesh ki ja rahi ayat me Allah Ta'ala ne baad walo ke liye kaha ke aap SAHABA jaisa Iman laye to hi apka Iman qubul kiya jayega.*
فَإِنْ ءَامَنُوا۟ بِمِثْلِ مَآ ءَامَنتُم بِهِۦ فَقَدِ ٱهْتَدَوا۟ ۖ وَّإِن تَوَلَّوْا۟ فَإِنَّمَا هُمْ فِى شِقَاقٍۢ ۖ فَسَيَكْفِيكَهُمُ ٱللَّهُ ۚ وَهُوَ ٱلسَّمِيعُ ٱلْعَلِيمُ
*"Agar wo tum jaisa imaan laaye to hidaayat paaye aur agar muh mode to wo sarih (khule) ikhtilaf me hai, Allah Ta'ala unse anqareeb aap ki kifaayat karega aur wo khoob sunne aur jaanne wala hai"*.
(Surah 2 Baqarah: Ayat 137)
*Is ayat me Allah ne SAHABA ke liye "Tum" ka lafz istemaal kiya hai.*
Mufassirin ne likha hai ke yaha "Tum" se murad sahaba hai kyunke jab ye Nazil huyi us waqt Nabi (SallallahuA'layhiWaSallam) aur SAHABA Imanwale the.
Kahena ka matlab ye hai ke SAHABA ka Iman dusro ke liye KASOTI hai. Jiska bhi Iman SAHABA ke Iman se judta ho aise Imam wale ko Haqiqi MUMEEN kaha jayega warna uske Iman me kamzori aur Gumrahi hogi.
Isi tarah ki aur ek ayat Surah Nisa'a ki ayat number 115 hai. Is ayat me bhi Nabi aur Sahaba ke raaste ko HIDAYAT kaha gaya hai.
*Sahaba Jaisa Iman lane se kya MURAD hosakta hai❓*
Qur'an wa Hadees aur Sahaba ki Seerat ko padhne se pata chalta hai ke SAHABA JAISA IMAN LAANE se Murad ye ho sakta hai ke IMAN laane me SAHABA ke SUNNAT(TARIQE) ko apnaya jaaye.
Yani ....
1. Allah aur Rasool (SallallahuA'layhiWaSallam) ki itteba ko hi apne Zindagi ka maqsad banaye rakhna.
2. Jin chizo par Iman lane ko kaha gaya un chizo par waise hi Iman laya jaise ALLAH AUR RASOOL ko matloob hai.
3. Ikhtilaf ke waqt Quran Wa Sunnat ko apna Peshwa banaye rakhna.
4. Qur'an Wa Hadees ko waise hi samja jaye Jaisa Allah ke Nabi (SallallahuA'layhiWaSallam) Sahaba ko samjakar gaye. Yani Qur'an Wa Hadees ka ilm Sahaba ki sanad se le.
5. Akhlaq, siyasat aur digar mamlat me Rasool (SallallahuA'layhiWaSallam) ki pairawi ki jaaye jis tarah Sahaba ne Rasuloollah (SallallahuA'laihiWaSallam) ki pairawi ki thi.
Shortcut me aisa kaha jasakata hai ke DEEN ko SAMAJNE aur us par AMAL karne me SAHABA ke TARIQE ko apnaya jaaye yani jis tarah unone Allah aur Rasuloollah (SallallahuA'laihiWaSallam) ki pairawi ki thi usi tarah baad wale Musalman bhi Allah aur Rasool ki pairawi karne me Sahaba ki Pairawi kare.
Wallahu Alaam bis Sawab.
•············••●◆❁❁◆●••············•
No comments:
Post a Comment