find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Jume Ke Din Khaas Roza Rakhna kaisa Hai?

*📮JUME KE DIN KHAAS ROZA RAKHNA KAISA HAI❓*

_________________________________

          *🍃بسم اللہ الرحمٰن الرحیم 🍃*

Abu Hurairah Radiallahu Anhu se hadees hai ke woh bayan karte hain ke maine Nabi sallalaho alaihi wasallam ko ye farmate hue suna : tum mein se koi bhi sirf jume ka roza na rakhe illah ye ke ek din is se pahle ya ek din is se baad.

*📚Sahih Bukhari Hadees Number : (1849)*
*📚Sahih Muslim Hadees Number. (1929)*
_________________________________

*🍃▫Aur Imaam Muslim Rahimullah ne apni Sahih muslim mein Abu Hurairah Radiallahu anhu se bayan kiya hai ke woh farmate hain ke nabi sallalaho alaihi wasallam ne farmaya :-*

jume ki raat(thursday) ko baaqi raton se qiyam(praying) ke liye khaas na karo aur jume ko baaqi dino se roze(fast) ke liye khaas na karo illah(unless) ye ke woh tumahre rozon ke darmiyan Aajaye .

*📚Sahih Muslim Hadees Number (Al Siyam : 1930 )*
___________________________________

*🍃▫Aur sahi bukhari mein hai ke Juwairia Bint Haris Radiallahu anha bayan karti hain ke*

Jume Ke din Nabi sallalllaho alaihi wasallam mere paas Aaye to mein roze se thi to Nabi sallallaho alaihi wasallam ne farmaya kya tune kal roza rakha tha❓

to woh kehne lagi nahi to Nabi sallallaho alaihi wasallam ne farmaya to achha kya kal roza rakhne ka iradah hai ❓

to woh kehne lagi nahi to Nabi sallallaho alaihi wasallam ne farmaya : roza tod do. Aur woh kehti hain ke Hammad bin jaad ne Qatadah se suna inhone kaha ke mujhe Abu Ayub ne hadees bayan ki ke Juwairia Radiallahu anha ne bataya ke nabi sallallaho alahi wasallam ne inhen hukum diya to inhone roza tod diya.

*📚Sahih Bukhari Hadees Al-Siyaam :  1930 )*
___________________________________

*🍃🛑Ibn Qudaima Rahimullah bayan karte hain ke :*

Akela jume ka roza rakhna makrooh hai illah (unless) ye ke agr koyi roza rakhta ho to ye is ke mawafiq Aajay maslan : 1 shakhs ek din roza rakhta aur ek nahi rakhta hai (means alternate days) to iska roza wala din jume ke mawafiq Aajaye .

aur is tarah agar kisi ki yeh aadat ho ke woh har mahine ke pehle ya akhiri din aur ya fir mahine ke darmiyan mein roza rakhta ho .

*📗Al-Mughni Ibn Qudaima Jild No : 3 Safa Number : 53*
___________________________________

*🍃▫Khulasa▫🍃*

Malum hua ke jume ko khas roza rakhna mana hai.Lekin usse ek din pahle ya ek din baad sath me milakar rakhe to wo roza jayez hoga .

Ya agar wo kinhi dino me hamesha roza rakhta ho maslan mahine ke pahle din wo rakhta ho aur juma usi din pad jaye to bhi ye roza jayez hoga lekin khaskar ke jume ko roza rakhna Nabi Sallallaho alaihi wasallam ne mana kiya hai.

🚸🚸🚸🚸🚸🚸🚸🚸🚸🚸🚸
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS