*🌼9 Aur 10 Muharram ka Roza🌼*
☘Hazrat Ibn Abbas Radi Allahu anhu se rivayat hai ki *Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam* jab madina me tashreef laye to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne yahudiyo ko dekha ki wo Ashura ke din "10 Muharram" ka roza rakhte hain
*Aap Sallallahu Alaihi Wasallam* ne unse iska sabab pucha to unhone kaha ki ye ek achcha din hai is din Allah susbhanhu ne bani israeel ko unke dusman firaun se nijat dilwayee thi isliye Musa Alaihi salam ne us din ka roza rakha tha To Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Musa Alaihi salam par tumse zyada haq hamara hai,
Phir *Aap Sallallahu Alaihi Wasallam* ne bhi us din roza rakha aur Sahaba Radi Allahu Anhuma ko bhi iska hukm diya.
*🍂Sahi Bukhari, jild 3, 2004. Sunan Abu Dawood Hadith 2445*
☘Hazrat Abdullah Bin Abbas Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Jab Roza rakha Rasool Allah Sallallahu Alaihi wasallam Ne Aashure ke din "10 Muharram" ka aur Hukm Kiya is Roze ka, to logo ne Arz ki
Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ye din to aisa hai ki iski Taazim karte hain Yahud aur Nasara
To Aap Sallallahu Alaihi wasallam Ne farmaya Ki Jab Agla Saal aayega to Insha Allah Hum 9 ka Roza Rakhege
Aakhir Agla Saal na aane paya ki Aap Sallallahu Alaihi wasallam Duniya se wafat pa gaye
Isliye hum musalman 9 muharram aur 10 muharram dono ka roza rakhte hain.
*🍂Sahih Muslim, jild 3, 2666.*
☘Aap sallallahu alaihi wasallam se Aashurah (10 Muharram) ke din ke roze ke baare mein poocha gaya. Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya " woh peechle saal ke gunaho ka kaffarah ban jaata hai.
*🍂Sahih Muslim Hadith : 2747*
┅┅┅━━═۞═━━┅┅┅
*Jazaakumullahu khair'an Wa-Ahsanul Jazaa.*
🍀🍀🍀🍀🍀🍀🍀🍀🍀🍀🍀
No comments:
Post a Comment