find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Ek waswsa Shaitan Jab Har Har jagah Aakar Logon ko Bahka Sakta Hai to Nabi Sallallahu Alaihe Wassallam Har Jagah Haazir-O-Naazir Kyu nahi Ho Sakte Hai?

           *EK WASWASA : Shaytan Agar Har Jagah Aakar Logon Ko Behka Sakta Hai To Kya Nabi sallallaho Alayhi Wasallam Har Jagah Haazir O Nazir Nahi Ho Sakte❓*


*بِسْمِ اللهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ*


Al-jawab Tamam duniya ko behkane ke liye ek hi shaytan mutayyan nahi kiya gaya hai balke har insaan ke sath jinno mein se ek qareen ( saathi ) paida kiya jata hai jo usey zindagi bhar behkata aur gumraah karta hai .
*Abdullah bin Masood Razi Allah anhu bayan karte hain ke Rasool Allah sallallaho alaihi wasallam ne farmaya :-*
“Tum mein se har ek Aadmi ke sath uska jinn saathi muqarrar kiya gaya hai sahaba karaam ne arz Kya Aap sallallaho alaihi wasallam ke sath bhi Aye Allah ke Rasool ❓
Aapne farmaya haan mere sath bhi magar Allah ne mujhe is par madad farmai to woh musalman ho gaya pas woh mujhe neki hi ka hukum karta hai.
*( Sahih Muslim 7108 )*
Aur aisha Razi Allah anha ki rivayet mein hai ke har insaan ke sath shaytan hai. ”
*( Muslim aizan )*
*▪▫▪Quran kareem mein Allah Rab ul izzat ka irshad pak hai :*
▫▫”( qayamat ke din ) us shakhs ka saathi ( shaytan ) kahega “Aye hamare parvar-digaar maine usey sarkash nahi banaya tha balke yeh khud door ki gumraahi mein pada hua tha“
*Surah Qaaf Ayat No 27*
Shaytan Azam ( iblees ) akela yeh kaam nahi karta balke woh doosre shayateen ko us maqsad ke liye bhejta hai taake woh logon ko gumraah karen aur fitnah mein mubtila karen .
*Jabir Razi Allah anho bayan karte hain ke Rasool Allah sallallaho alaihi wasallam ne farmaya :*
“Iblees apna takht pani ke Oupar bichhata hai phir apni faujon ( shayateen ) ko hukum deta hai ke woh logon mein jaakar unhen gumraah karen aur fitnah daalen. Iblees ki is jamaat mein adna sa shaytan woh hai jo intehaa darjey ka fitnah purdaaz hota hai un mein se ek shaytan wapas Aakar iblees se kehta hai ke maine aisa aisa kaam
Kiya woh kehta hai tune kuch nahi kiya uske baad ek shaytan Aata hai aur kehta hai ke maine ek shakhs ka peecha us waqt tak nahi chhoda jab tak uske aur uski biwi ke darmiyan tafarraqa na daal diya.
*Aap sallallaho alaihi wasallam ne farmaya :*
Yeh sun kar iblees usko qareeb kar leta hai aur kehta hai ke tune bohat achcha kaam kiya .
*Aamish Rahimahullah kehte hain*
Ke mera khayaal hai ke Jabir Razi Allah anho ( hadees ke Ravi ) ne yeh alfaaz bhi kahe “ke iblees usey seene se laga leta hai.”
*( Sahih Muslim Aizan)*
Is wazahat se maloom hua ke akela iblees ( Azam ) yeh sara kaam nahi karta balke uske razakaar shaytan aur lashkar ye kaam sar-anjaam dete hain, lehaza sawal mein jo daawa kiya gaya hai woh ghalat hai.
*Raha yeh daawa ke Rasool sallallaho alaihi wasallam har jagah haazir o Nazir hain to yeh daawa bhi quran o ahadees ke sara sar khilaaf hai.*
Rasool Allah sallallaho alaihi wasallam na to Ghaib ka ilm jante the aur na hi hazir o nazir hain.
Allah Ta’ala ne Aap ko jab aur jis waqt chaha wahi ke zariye agaah farma diya aur jab tak wahi nazil na hoti to Aap us baat se bilkul be khabar rehte the .
*Allah taala ka irshad pak hai :*
▫▫”Aap ( sallallaho alaihi wasallam ) keh dejiye ke mein tum se yeh nahi kehta ke mere paas Allah ke khazane hain ( yani Allah ke khazanon ka maalik mai nahi hun ) aur na mai ghaib jaanta hun aur na mein tum se yeh kehta hun ke mai farishta hun. Mai to sirf us wahi ki ittebaa karta hun jo meri taraf ki jati hai.
*Surah Al-Anaam Ayat : 50*
Allah Ta’ala ne Aap sallallaho alaihi wasallam se ilm ghaib ki wahi farma di aur sath hi yeh bhi bayan kar diya ke Aap sirf wahi ke tabedaar rahen, wahi Aajane ke baad hi Aap ghaib ki khabren dete the.
La-ilm mazare ka Sigha hai yani mai ghaib nahi jaanta, mai ghaib nahi jaanunga ( matlab mein na to ab ghaib jaanta hun aur na aindah jaan sakoonga ) nez Allah ke khazanon ka bhi mai maalik nahi hun, mein ganj bakhsh nahi hun aur na hi mai noori ( farishta ) hun ilm Ghaib Sirf Aur Sirf khaasa Rab Aalameen hai .
*Allah taala ka farmaan hai :*
▫▫”Aap ( sallallaho alaihi wasallam ) keh dejiye ke Aasman walon aur zameen walon mein koi bhi ghaib nahi jaanta siwaye Allah Ta’ala ke aur inhen to yeh bhi maloom nahi ke woh kab uthaye jayenge.”
*Surah Namal : 65*
*❕❕Aqeedah Hazir o Nazir ke bare mein bhi chand ayaat mulahiza hon :*
▫▫”Aur jab humne Moosa ki taraf hukum bheja to tum ( toor ki ) gharb ki taraf nahi the aur na us waqiye ke dekhne walon mein the.
Lekin humne ( Moosa ke baad ) kayi ummaton ko paida kiya phir unpar muddat taweel guzar gayi aur na tum Madyan walon mein rehne wale they ke un ko hamari ayate padh padh kar sunaate the.
Haan hum hi to paighambar bhejne wale the. Aur na tum us waqt jab ke humne ( Moosa ko ) Aawaz di toor ke kinare the balke ( tumhara bheja jana ) tumahare parvar-digaar ki Rehmat hai Taake tum unn logon ko jin ke paas tum se pehle koi hidaayat karne wala nahi Aaya hidaayat karo taake woh naseehat pakden.
*Surah Qasas Ayat :44-46*
Aap Allah Ta’ala ke sachhey Nabi hain is liye Allah Ta’ala ney guzishta ke waqiyaat Aap ko ba-zariya wahi bata diye hain warna un waqiyaat ke zahoor ke waqt Aap un maqamaat par mojood nahi the.
Aur Allah Ta’ala aisa na karega Inn me Aap Ke Hote hue inko Azaab de aur Allah inko azaab na dega is halat me ke wo istighfaar bhi karte hon.
*Surah Anfaal : 33*
Maloom hua ke Nabi sallallaho alaihi wasallam ki maujoodgi ki wajah se logon par azaab nahi Aa sakta. Ab chunke Aap maujood nahi hain is liye tarah tarah ke Azaab nazil Aa rahe Hain.
▫▫Jab tum inme ho aur inke liye namaz khadi karo………..
*Surah Nisa : 102*
is Aayaat se maloom hua ke Nabi sallallaho alaihi wasallam jab maujood hon to Aap hi logon Ko Namaz padhayenge aur ab chunke Aap maujood nahi hain is liye doosre imam logon ko Namaz padha rahe Hain.
*is silsila mein mazeed hawalaat ke liye mulaheza farmayen,*
*Surah Yousuf Ayat 102,*
*Hood Ayat 49,*
*Al Imran Ayat 44,*
Waghera agar Rasool Allah sallallaho alaihi wasallam ko haazir o nazir maan liya jaye to phir meraaj aur hijrat ke tamam waqiyat baatil qarar paate hain.
Meraaj mein Nabi sallallaho alaihi wasallam Macca se baytul muqdas tashreef le gaye ( dekhiye Surah Bani israeel Aayat 1 ) aur Phir Aap Zameen Se Aasman aur sidratul muntaha tak tashreef le Gaye.
*( Dekhiye Surah Najam ayaat 13 – 18 )*
Yani jab Aap masjid aqsa tashreef le Gaye to Phir Aap Macca Mein maujood na they aur jab Aap Aasmano par tashreef le gaye to zameen par maujood na they isi tarah jab Aap madinah tashreef le gaye to Aap Macca mein mojood na they halaan ki mushrikeen Macca Aap ko sargarmi se talaash kar rahe they.
To maloom hua ke hazir o nazir ka aqeedah ahel islam ka nahi balke chaudhween sadi ke mushrikeen ka ijaad kardah hai.
*( ⚠Tanbeeh :* Shaytan mardood ke ilm waghairah ka zikar, Nabi sallallaho alaihi wasallam ke sath karna Aap sallallaho alaihi wasallam ki Gustaakhi hai.

          Allah Ta’ala apne pyare Nabi sallallaho alaihi wasallam Ki Gustaakhi Se Har Musalman Ko Bachaaye. Ameeen )


〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS