find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Safed Baal Ukharna Shakht Mna Hai.

🍂🍃ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ🍂🍃

🌺حَدَّثَنَا هَارُونُ بْنُ إِسْحَاق الْهَمْدَانِيُّ، حَدَّثَنَا عَبْدَةُ، عَنْ مُحَمَّدِ بْنِ إِسْحَاق، عَنْ عَمْرِو بْنِ شُعَيْبٍ، عَنْ أَبِيهِ، عَنْ جَدِّهِ، أَنّ النَّبِيَّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ:‏‏‏‏    نَهَى عَنْ نَتْفِ الشَّيْبِ، ‏‏‏‏‏‏وَقَالَ:‏‏‏‏ إِنَّهُ نُورُ الْمُسْلِم.

🌺रसूल अल्लाह ﷺ ने बुढ़ापे के सफेद बाल उखेड़ने (कुतुरने/काटने) से मना किया, और फ़रमाया है: "ये तो मुसलमानों का नूर है"।

🌺Rasool Allah ﷺ ne burhapay ke safed baal ukhedne (kuturne/katne) se mana kiya, aur farmaya hai: "ye toh musalmano ka noor hai".

🌺 رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے بڑھاپے کے ( سفید ) بال اکھیڑنے سے منع کیا، اور فرمایا ہے: ”یہ تو مسلمان کا نور ہے“۔

🌺The Messenger of Allah (ﷺ) prohibited plucking gray hair. And he said: It is the Muslim's light.'

📜 *wazahat:* jo shakhs haalat islam mein burhapay ki taraf qadam barhata hai ( jab kisi musalman ka ek baal safed hota hai ) to iski wajah se Allah taala iske liye ek neki likh dete hain aur iska ek gunah mita deta hai aur iska ek darja buland kar deta hai. [📗Abi dawud: 4202]. Safed balon ko rangna ya khezab karna bhi jayez hai, Nabi kareem ﷺ ne farmaya: baal ki safedi (khezab ke zariye) se badal dalo, aur yahudiyon ka tareeqa na ikhteyar karo [📗Tirmidhi: 1752]. Iss se ek aur baat wazeh hoti hai ki yahudi aur nasrani safed baalon ko nahi rangte isliye unki mukhalfat mein musalmano ko safed baal rangna chahiye [📗Bukhari: 5899].
🔹 *Note:* yaha khezab se muraad halal rang se hai jaise Mehendi/henna wagera, aam taur par bazaron mein jo readymade khezab maujood hain un mein aksar haram chize mili hoti hain isliye parhez karen, agar koi shakhs Mehendi/henna mein zard rang milana chahe toh ye jayez hai [📗Abu dawud: 4210]. Aur ek ahem baat, *Nabi kareem ﷺ ne siyah kaale rang ka khezab istemal karne se mana farmaya hai, aise log jannat ki khushbu se mehrum rahenge* [📗Abi Dawud: 4212].

📚 _*Jamiat Tirmidhi: jild 5, kitab Al-Adab 43, hadith no. 2821*_
*Grade Hasan*

●•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS