find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Fazail-E-Ashabun (Part 2)

Fazail e Ashabun Nabi ﷺ Part-2"
*2.Fazail e Ashabun Nabi ﷺ Qur'an Se
1.Allah {ﷻ} Ka Farmaan Hai:-
❝Tum Bahtareen Ummat ho Jo Logou k liye Paida ki Gayi hai k tum Nek Batou ka Hukm Karte Ho Aur Boori Batou se Rokte Ho, Aur Allah Ta'la Per Imaan Rakhte Ho...❞
(Surah Al-Imran Surah No.3 Ayat No.110)
Ye Ayat me Ummat Muslimah Ko Khair Ummat Kaha Gaya hai Ummat e Muslimah me Sahaba Aala Darja Rakhte hai.
2.Allah {ﷻ} Ka Farmaan Hai:-
❝Agar Wo Tum Jaisa Imaan Laaye To Hidayat Paaye...❞
(Surah Al-Baqrah Surah No.2 Ayat No.137)
Ye Ayat me Sahaba Jaisa Imaan Laaye Waisa Imaan Laane Wale Ko Hidayat Wala kaha Gaya Hai.
3.Allah {ﷻ} Ka Farmaan Hai:-
❝Humne Is Tarha Tumhe Aadil Ummat Banaya...❞
(Surah Al-Baqrah Surah No.2 Ayat No.143)
Is Ayat me Ummat e Muslimah Ko Aadil Ummat Kaha hai.
4.Allah {ﷻ} Ka Farmaan Hai:-
❝Jin logou Ne Allah Aur Uske Rasool ﷺ k Hukm Ko Qubool Kiya Uske Baad k Unhe Poore Zakham Lag chuke the, Un me se Jinhone Neki ki Aur Parhezgaari Barti Unke liye bahut Zyada Ajr hai. Wo log k jab unse logou ne kaha k Kaferou ne Tumhare Muqable per Lashkar Jama Karliye hai tum Unse khouf Khao to us baat ne Unhe Imaan me Aur Badha diya Aur Kahne Lage Hame Allah Kaafi Hai Aur Wo Bahut Achi Kaar saaz Wala hai.❞
(Surah Al-Imran Surah No.3 Ayat No.172-173)
Is Ayat me Sahaba k Imaan k Baare me Bataya Gaya.
5.Allah {ﷻ} Ka Farmaan Hai:-
❝Jo Shaqs Bawajood Rahe Hidayat k Wazeh hojane k bhi Rasool ﷺ k Khilaf Kare Aur Tamaam Mominou ki Rah Chodkar Chale hum use Uder hi  Mutawajjeh kardenge Jidhar Wo khud Mutawajjeh ho Aur dozaq Me Daal denge Wo Pahunchne ki Bahut Boori Jagah hai.❞
(Surah An-Nisaa Surah No.4 Ayat No.115)
Mominou se Muraad Sahaba Hai Jo Sahaba ki Rah chod dega wo Gumrah Hojayega.
6.Allah {ﷻ} Ka Farmaan Hai:-
❝Aye Nabi ﷺ! Tumhe Allah Kaafi Hai Aur In Mominou Ko Jo Aapki Pairvi Kar Rahe hai.❞
(Surah Al-Anfaal Surah No.8 Ayat No.64)
Is Ayat me Nabi ﷺ Aur Sahaba k Liye Allah Kaafi Hai Kaha Gaya hai.
In Shaa ALLAH Next Part me bhi *Fazail e Ashabun Nabi ﷺ Qur'an se* per Post Hogi..
Aap Tamaam se Guzarish Hai k Pls is Post Ko Zyada se Zyada Share Kare.
Pls Share to All Groups Friends Family & Relatives etc
Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS