Nikah Ki Ahmiyat Islam Me
Hadith: Nikah meri sunnat hai aur jo koi meri sunnat par amal na kare uska mujhse koi talluq nahi
Aisha Radhi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya Nikah meri sunnat hai aur jo koi meri sunnat par amal na kare uska mujhse koi talluq nahi, Nikah kiya karo isliye ki tumhari zyada tadad par main dusri ummato ke samne fakhr karunga, jismein istitaat (capacity) ho wo to nikah kar le aur jismein istitaat na ho wo roze rakhe , wo isliye ki roza uski shahwat ( nafsani khwahishat) ko tod dega.
Sunan Ibn majah, Vol 2, Hadith 2-Hasan
Sunan Ibn majah, Vol 2, Hadith 2-Hasan
Abdullah ibn Masood Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Eh Naujawano ki jamaat tum mein jise bhi Nikah karne ki maali taqat ho use Nikaah kar Lena chahiye kyunki ye nazar ko neechi rakhne wala aur Sharamgaah ki hifazat karney wala amal hai aur jo nikaah ki taqat na rakhta ho usey chahiye ki roza rakhey kyunki Roza uski nafsani khwahishat ko tod dega.
Sahih Bukhari, Vol 6, 5066
☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆
Aye imaan waalo Allah ki itaat karo aur uske Rasool ki itaat karo aur apne Amalo ko Baatil na karo
Jo Bhi Hadis Aapko Kam Samjh Me Aaye Aap Kisi Hadis Talibe Aaalim Se Rabta Kare !
JazakAllah Khaira Kaseera
No comments:
Post a Comment