find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Banda Apne Rab se sbse jyada Sajde Me kareeb hota hai.

🍂🍃ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ🍂🍃

🌺أَخْبَرَنَا مُحَمَّدُ بْنُ سَلَمَةَ، ‏‏‏‏‏‏قال:‏‏‏‏ حَدَّثَنَا ابْنُ وَهْبٍ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ عَمْرٍو يَعْنِي ابْنَ الْحَارِثِ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ عُمَارَةَ بْنِ غَزِيَّةَ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ سُمَيٍّ أَنَّهُ سَمِعَ أَبَا صَالِحٍ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، ‏‏‏‏‏‏أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ:‏‏‏‏  أَقْرَبُ مَا يَكُونُ الْعَبْدُ مِنْ رَبِّهِ عَزَّ وَجَلَّ وَهُوَ سَاجِدٌ فَأَكْثِرُوا الدُّعَاءَ .

🌺नबी करीम ﷺ ने फ़रमाया: बंदा अपने रब से सबसे ज़्यादा क़रीब सजदे की हालत में होता है, लिहाज़ा ( सज्दे में ) तुम लोग बकसरत दुआ किया करो।

🌺Nabi kareem ﷺ ne farmaya: bandah apne rab se sab se zeyada qareeb sajde ki halat mein hota hai, lehaza ( sajde mein )  tum log bakasrat dua kiya karo.

🌺نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا، بندہ اپنے رب سے سب سے زیادہ قریب سجدہ کی حالت میں ہوتا ہے، لہٰذا ( سجدے میں )  تم لوگ بکثرت دعا کیا کرو ۔

🌺Allah's Apostle ﷺ said, The closest that a person can be to his Lord, the Mighty and Sublime, is when he is prostrating, so increase in supplication then.

📜 *wazahat:* sajdah namaz ka ek hissa hai aur iski adaigi zameen par naak aur peshani rakhne se hoti hai chunancha jab namazi yeh amal karta hai to is waqt woh apne Rab ke qareeb tareen hota hai. Quran Majeed se is ki taeed is tarha hoti hai: _"..aur sajda kar aur qareeb hoja"_ [📖 Quran 96:19].
Kasrat sujood Allah taala ko bohat pasand hai kyun ke is mein Allah taala ke samnay inteha darje ki aajzi, inkisari aur bandagi ka izhaar hota hai, isliye momin ko chahiye ki sajde ki halat mein qasrat se dua kiya karen.

📚 _*Sunan Nasai: jild 2, kitab At-Tatbiq 12, hadith no. 1138*_
*Grade: Sahih*

●•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●

●•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●

Share:

3 comments:

  1. Kia farz sajday may dua ki ja skti hay....is say koi related hadees hay

    ReplyDelete
  2. G aap isake mutalliq yaha padh sakte hai.
    https://findmrf.blogspot.com/2020/06/kya-sajde-me-dua-mangna-jayez-hai.html

    ReplyDelete
  3. Majeed malumat ke liye yah tahreer padhe.
    https://findmrf.blogspot.com/2019/11/har-farz-namaj-ke-bad-hath-utha-kar-dua.html

    ReplyDelete

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS