Dhage, Neembu Aur TAweej me YAkeen Rakhne Ki HAqeeqat
Hadith Qudsi: RAB ka irshad hua ki Subah huvi to mere kuch bande momeen rahe aur kuch kafir ho gaye
Hazrat Zaid bin khalid jahni Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki
Rasool Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne hamen Hudebiya me subah ki namaz padhayee aur raat ko barish ho chuki thi
Namaz se farig hone ke baad Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne logo ki taraf muh kiya aur farmaya
malum hai tumhare RAB ne kya farmaya hai ?
logon ne kaha ki Allah aur uske Rasool Sallallahu Alaihi wasallam khoob jante hain
Aap ne farmaya ki tumhare RAB ka irshad hai ki subah huvi to mere kuch bande momeen rahe aur kuch kafir ho gaye
Jisne kaha ki Allah ke fazal aur rahmat se hamare liye barish huvi to wo mera momeen hai aur sitaro ka munkir hai
Aur jisne kaha ki falah sitare ki falah jagah par aane se barish huvi to wo mera munkir hai "yani mujhse kufr kiya" aur sitaro ka momeen hai "yani sitaro par iman rakhne wala hai"
Sahih Bukhari, Jil1, 846,
Comment:
Aaj Aise logo ki koi kami nahi hai Mirag lagne par kehte hai barish ki shuruat par machli fish khana zaruri hai ye kafiro ka aqida hai
Amawas ki Raat se Thand khatam ho jayegi
Aaj Musalmano me aur bhi bahot se badd Aqide aur badd gumaniya paayee jati hai
Nazre Badd se bachne ke liye Ghar me Naariyal neembu Numbers ki taqtiya latkane walo kya Tum ko Allah par yaqeen Nahi Raha?
No comments:
Post a Comment