find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Witr Ki Namaj Kaise Padhe?

Ramadhan ul Mubarak Ke Kuch Ahkaam o Masaail

Part-8
Tehreer: Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullah
Romanised By: Umar Asari
Namaz e Witr:
Witr ki fazeelat

Ibadat qurb e ilaahi ka zariya hai aur witr ibadaton mein se qurb e ilaahi ka azeem zariya hai. Yeh ek mustaqil namaz hai jo raat mein Isha aur Fajr ke darmiyan padhi jaati hai. Is ki fazeelat mein kayi Ahadees milti hain:
عَنْ جَابِرٍ، قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم: مَنْ خَافَ أَنْ لاَ يَقُومَ مِنْ آخِرِ اللَّيْلِ فَلْيُوتِرْ أَوَّلَهُ وَمَنْ طَمِعَ أَنْ يَقُومَ آخِرَهُ فَلْيُوتِرْ آخِرَ اللَّيْلِ فَإِنَّ صَلاَةَ آخِرِ اللَّيْلِ مَشْهُودَةٌ وَذَلِكَ أَفْضَلُ​
Tarjumah: Jabir Radhiallahu Anhu se riwayat hai ki Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya: Jise darr ho ki wo raat ke aakhiri hisse mein nahi uth sakega to woh raat ke shuru mein witr padh le. Aur jise ummed ho ki wo raat ke aakhir mein uth jaayega, woh raat ke aakhir mein witr padhe kiunki raat ke aakhiri hisse ki namaz ka mushahda kiya jaata hai aur yeh afzal hai.
(Sahih Muslim: 755)
Doosri Hadees mein Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya:
وَإِنَّ اللَّهَ وِتْرٌ يُحِبُّ الْوِتْرَ​
*◈Tarjumah:◈* Aur Allah witr (taaq) hai aur witr ko pasand karta hai.
*(Sahih Muslim: 2677)
*✫Witr ki namaz ka hukm.
Yeh namaz hanafiyah ke nazdeek wajib hai jabki sahih baat yeh hai ke yeh sunnat e mo'akkadah hai. Daleel:
عَنْ عَلِيٍّ، قَالَ الْوِتْرُ لَيْسَ بِحَتْمٍ كَهَيْئَةِ الصَّلاَةِ الْمَكْتُوبَةِ وَلَكِنْ سُنَّةٌ سَنَّهَا رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم​
*◈Tarjumah:◈* Hazrat Ali Radhiallahu Anhu se marwi hai ki Witr farz namaz ki tarah hatmi (wajib) nahi hai balki yeh to sunnat hai jise Rasoolallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne jaari farmaya tha.
*(Tirmizi: 454)*
*✫Witr ki namaz ka waqt:
Is ka waqt Isha ki namaz ke baad se le kar Fajr ki namaz tak hai. Daleel:
إنَّ اللَّهَ زَادَكُمْ صَلَاةً وَهِيَ الْوِتْرُ فَصَلُّوهَا بَيْنَ صَلَاةِ الْعِشَاءِ إلَى صَلَاةِ الْفَجْر​
Tarjumah:◈* Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya: Beshak Allah Taala ne tumhare upar ek namaz ziyadah ki hai jis ka naam witr hai. Is witr ko Isha aur Fajr ki namaz ke darmiyan padho.
*{Silsila as Saheehah (Albani): 108}
*✫Witr ka Afzal waqt:✫*
Is namaz ko takheer se ada karna ziyadah afzal hai jis ko jaagne par aitmaad ho:
عَنْ جَابِرٍ، قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم: مَنْ خَافَ أَنْ لاَ يَقُومَ مِنْ آخِرِ اللَّيْلِ فَلْيُوتِرْ أَوَّلَهُ وَمَنْ طَمِعَ أَنْ يَقُومَ آخِرَهُ فَلْيُوتِرْ آخِرَ اللَّيْلِ فَإِنَّ صَلاَةَ آخِرِ اللَّيْلِ مَشْهُودَةٌ وَذَلِكَ أَفْضَلُ​
*◈Tarjumah:◈* Jabir Radhiallahu Anhu se riwayat hai ki Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya: Jise darr ho ki wo raat ke aakhiri hisse mein nahi uth sakega to woh raat ke shuru mein witr padh le. Aur jise ummed ho ki wo raat ke aakhir mein uth jaayega, woh raat ke aakhir mein witr padhe kiunki raat ke aakhiri hisse ki namaz ka mushahda kiya jaata hai aur yeh afzal hai.
*(Sahih Muslim: 755)*
*✫Witr ki rak'aat:✫*
Witr ki namaz kam se kam ek rakat hai aur Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam se giyarah (11) rak’aat tak padhna saabit hai. Jo log ek rakat witr ka inkaar karte hain woh sunnat ka inkaar karte hain.
Ek rakat witr padhne ke bahut se dalail hain un mein se kuch dekhen:
عَنِ ابْنِ عُمَرَ، قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم: الْوِتْرُ رَكْعَةٌ مِنْ آخِرِ اللَّيْلِ ‏​
*◈Tarjumah:◈* Ibn e Umar Radhiallahu Anhuma se riwayat hai ki Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya: Witr ek rakat hai raat ke aakhri hisse mein se.
*(Sahih Muslim: 752)*
Ek doosri Hadees hai:
عَنْ أَبِي أَيُّوبَ، أَنَّ النَّبِيَّ صلى الله عليه وسلم قَالَ: الْوِتْرُ حَقٌّ فَمَنْ شَاءَ أَوْتَرَ بِسَبْعٍ وَمَنْ شَاءَ أَوْتَرَ بِخَمْسٍ وَمَنْ شَاءَ أَوْتَرَ بِثَلاَثٍ وَمَنْ شَاءَ أَوْتَرَ بِوَاحِدَةٍ​
*◈Tarjumah:◈* Abu Ayyub Radhiallahu Anhu se riwayat hai ki Rasoolallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya: Witr haq hai, jo chaahe saat (7) padh le, Jo chaahe paanch (5) padh le, jo chahe teen (3) padh le, Jo chahe ek (1) padh le.
*(Nasai: 1710)*
*Kai Sahaba e Kiraam se bhi ek rakat padhne ka suboot milta hai, un mein Abu Musa Al-Ash’ari Radhiallahu Anhu, Abdullah bin Umar Radhiallahu Anhuma, Mu’aawiya Radhiallahu Anhu, Sa’ad Ibn e Abi Waqqas Radhiallahu Anhu aur Uthman Radhiallahu Anhu hain.*
Ek Hadees mein hai:
عَنْ عَائِشَةَ، زَوْجِ النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم قَالَتْ كَانَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم يُصَلِّي فِيمَا بَيْنَ أَنْ يَفْرُغَ مِنْ صَلاَةِ الْعِشَاءِ - وَهِيَ الَّتِي يَدْعُو النَّاسُ الْعَتَمَةَ - إِلَى الْفَجْرِ إِحْدَى عَشْرَةَ رَكْعَةً يُسَلِّمُ بَيْنَ كُلِّ رَكْعَتَيْنِ وَيُوتِرُ بِوَاحِدَةٍ​
Tarjumah:◈* Hazrat Aisha Radhiallahu Anha se riwayat hai wo kehti hain ki Rasoolallah Sallallahu Alaihi Wasallam Isha ki namaz se (jise log atamah kehte hain) farigh hone ke baad se subah tak giyarah (11) rak’aat padhte the, Aap har do rakat par salam pherte the aur witr ek padhte the.
*(Sahih Muslim: 736)*
Raat ki namaz do do rakat hai agar kisi ko taaqat ho to jitna chahe do do kar ke padh sakta hai, Aakhir mein ek rakat witr padh le:
صَلاَةُ اللَّيْلِ مَثْنَى مَثْنَى، فَإِذَا خَشِيَ أَحَدُكُمُ الصُّبْحَ صَلَّى رَكْعَةً وَاحِدَةً، تُوتِرُ لَهُ مَا قَدْ صَلَّى​
*◈Tarjumah:◈* Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ka farman hai: Raat ki namaz do do rakat hai, fir jab koi subah ho jaane se dare to ek rakat padh le, wo uski saari namaz ko taaq bana degi.
*(Sahih Bukhari: 990 and Sahih Muslim: 749)
*✫Teen (3) rakat witr padhne ka tareeqa:✫*
Is ke do (2) tareeqe hain:
*Pehla tareeqa:* Teen (3) rakat ek tashahhud se padhe. Daleel:
عَنْ أَبِي أَيُّوبَ، أَنَّ النَّبِيَّ صلى الله عليه وسلم قَالَ: الْوِتْرُ حَقٌّ فَمَنْ شَاءَ أَوْتَرَ بِسَبْعٍ وَمَنْ شَاءَ أَوْتَرَ بِخَمْسٍ وَمَنْ شَاءَ أَوْتَرَ بِثَلاَثٍ وَمَنْ شَاءَ أَوْتَرَ بِوَاحِدَةٍ​
*◈Tarjumah:◈* Abu Ayyub Radhiallahu Anhu se riwayat hai ki Rasoolallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya: Witr haq hai, jo chaahe saat (7) padh le, Jo chaahe paanch (5) padh le, jo chahe teen (3) padh le, Jo chahe ek (1) padh le.
*(Nasai: 1710)*
Musalsal (continously) teen (3) rakat ada kare yani do rakat par tashahhud ke liye na baithe. Daleel:
لَا تُوتِرُوا بِثَلَاثٍ، وَلَا تُشَبِّهُوا بِصَلَاةِ الْمَغْرِبِ​
*◈Tarjumah:◈* Teen (3) rakat witr na padho aur witr ko (maghrib ki) teen (3) rakat se mushabihat na karo.
*(Awnul Ma’bood: 4/176)*
❗Is Hadees ko sahib e Awn ul Ma’bood (Azeemabadi Rahimahullah) ne Shaikhen ki shart par batlaya hai.
*Maghrib ki mushabihat se do tareeqon se bacha jaa sakta hai,* *ek yeh ke teen rakat ikaththi (ek saath) padhi jaayen, beech mein tashahhud na kiya jaaye. *Doosra tareeqa yeh hai ki Do rakat alag padh kar salam pher diya jaaye, phir ek rakat alag padhi jaaye.* Is ki Daleel neeche zikr ki jaa rahi hai.
*Doosra tareeqa:* Do rakat ek salam se padh kar phir ek salam se ek rakat padhi jaaye. Daleel:
كان يُوتِرُ بركعةٍ، وكان يتكلَّمُ بين الرَّكعتَيْن والرَّكعةِ​
*◈Tarjumah:◈* Rasoolallah Sallallahu Alaihi Wasallam ek rakat witr padhte (aakhri) do rakaaton aur ek rakat ke darmiyan (salam pher kar) baat cheet bhi karte.
*{Silsila as Saheehah (Albani): 2962}*
*✫Witr ki qirat:✫*
Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam witr ki pehli rakat mein «سَبِّحِ اسْمَ رَبِّكَ الأَعْلَى» doosri rakat mein «قُلْ يَا أَيُّهَا الْكَافِرُونَ» teesri rakat mein «قُلْ هُوَ اللَّهُ أَحَدٌ» padhte the. Daleel:
عَنْ أُبَىِّ بْنِ كَعْبٍ، قَالَ كَانَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم يَقْرَأُ فِي الْوَتْرِ بِـ ‏{‏ سَبِّحِ اسْمَ رَبِّكَ الأَعْلَى ‏}‏ وَفِي الرَّكْعَةِ الثَّانِيَةِ بِـ ‏{‏ قُلْ يَا أَيُّهَا الْكَافِرُونَ ‏}‏ وَفِي الثَّالِثَةِ بِـ ‏{‏ قُلْ هُوَ اللَّهُ أَحَدٌ ‏}‏ وَلاَ يُسَلِّمُ إِلاَّ فِي آخِرِهِنَّ وَيَقُولُ يَعْنِي بَعْدَ التَّسْلِيمِ ‏"‏ سُبْحَانَ الْمَلِكِ الْقُدُّوسِ "‏‏.‏ ثَلاَثًا ‏.‏​
Tarjumah: Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam witr (ki pehli rakat) mein «سَبِّحِ اسْمَ رَبِّكَ الأَعْلَى» doosri rakat mein «قُلْ يَا أَيُّهَا الْكَافِرُونَ» aur teesri mein «قُلْ هُوَ اللَّهُ أَحَدٌ» padhte the aur sab se akheer mein salam pherte the. Aur salam ke baad teen baar «سُبْحَانَ الْمَلِكِ الْقُدُّوسِ» kehte.
*(Nasai: 1701)
❗Allama Albani Rahimahullah ne isko *Sahih* kaha hai.
*✫Dua e Qunoot ka hukm:✫*
Qunoot e witr wajib nahi, mashroo’ hai. Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ki Qunoot e witr ke mutalliq Hadees mein hai:
عَنْ أُبَىِّ بْنِ كَعْبٍ، أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ ـ صلى الله عليه وسلم ـ كَانَ يُوتِرُ فَيَقْنُتُ قَبْلَ الرُّكُوعِ ‏​
Tarjumah Ubai bin Ka’ab Radhiallahu Anhu se riwayat hai ki Rasoolallah Sallallahu Alaihi Wasallam witr padhte the to ruku se pehle Qunoot karte the.
*(Ibn e Majah: 1182)
*✫Dua e Qunoot ke seeghe (means alfaaz).
اللَّهُمَّ اهْدِنِي فِيمَنْ هَدَيْتَ وَعَافِنِي فِيمَنْ عَافَيْتَ وَتَوَلَّنِي فِيمَنْ تَوَلَّيْتَ وَبَارِكْ لِي فِيمَا أَعْطَيْتَ وَقِنِي شَرَّ مَا قَضَيْتَ فَإِنَّكَ تَقْضِي وَلاَ يُقْضَى عَلَيْكَ وَإِنَّهُ لاَ يَذِلُّ مَنْ وَالَيْتَ تَبَارَكْتَ رَبَّنَا وَتَعَالَيْتَ​
*(Tirmidhi: 464)
*➤* Dua e Qunoot jama ke seeghe (means plural ke alfaaz) ke saath bhi hadees mein aaya hai.
*➤* Dua e Qunoot mein ziyadti karna bhi jaaiz hai. Allama Albani Rahimahullah likhte hain:
ولا بأس من الزيادة عليه بلعن الكفرة ومن الصلاة على النبي صلى الله عليه وسلم، والدعاء للمسلمين​
Tarjumah, Dua mein ziyadti karne mein koi harj nahi hai kafiroon par la’nat, Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam par darood aur musalmanoon ke liye dua ki gharz se.
*{Qiyaam e Ramadhan (Albani): 31}
*➤* Qunoot e witr ruku se pehle aur baad mein dono tarah jaaiz hai.
*➤* Dua e Qunoot mein haath uthaya jaa sakta hai jaise aam duaon mein uthaya jaata hai. Kuch logon ne kaha ke Ahadees mein haath uthane ka zikr nahi is liye haath uthana khilaaf e sunnat hai. Yeh baat sahih nahi hai. Kayi Sahaba aur Taba’een se witr ki dua mein haath uthana saabit hai jin mein Abdullah bin Mas’ood Radhiallahu Anhuma, Umar Radhiallahu Anhu, Abu Hurairah Radhiallahu Anhu, Abu Qilabah aur Imam Mak-hool wagera hain.
*➤* Abdur Rehman Mubarakpoori Rahimahullah likhte hain ke zahiri taur par dua ki tarah is mein bhi haath uthane ka suboot milta hai.
*(Tohfatul Ahwazi: 1/343)*
*➤* Witr ki Namaz akele aur ba-jama’at aur safar o hazar dono mein padhi jaa sakti hai jaisa ki sunnat se saabit hai.
*✫Ek raat mein do witr:✫*
Ek raat mein ek martaba hi witr padhna chahiye kiunkay Nabi kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya:
‏ لاَ وِتْرَانِ فِي لَيْلَةٍ ‏‏​
*◈Tarjumah:◈* Ek raat mein do baar witr nahi hai.
*{Abu Dawood: 1439, Sahih (Al-Albani)}*
⚠ Agar koi shakhs ek martaba witr padh kar so jaaye aur dobara qiyam karna chaahe to kar sakta hai magar baad mein witr nahi padhega jaisa ki mazkoorah (upar zikr ki gayi) hadees se wazeh hai.
Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya:
اجْعَلُوا آخِرَ صَلاَتِكُمْ بِاللَّيْلِ وِتْرًا​
*◈Tarjumah:◈* Raat ki apni aakhri namaz witr ko banaao.
*(Sahih Bukhari: 998 and Sahih Muslim: 751)*
⚠ Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ka yeh farmaan wujoob ke liye nahi hai.
*✫Witr ki qaza:✫*
Agar kabhi neend ki wajah se witr ki namaz na padh saken to jab bedaar ho Witr padh len. Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ka farmaan hai:
مَنْ نَامَ عَنْ وِتْرِهِ أَوْ نَسِيَهُ فَلْيُصَلِّهِ إِذَا ذَكَرَهُ​
*◈Tarjumah:◈* Jo witr ki namaz padhe bagair so jaaye ya use padhna bhool jaaye to jab yaad aaye use padh le.
*(Abu Dawood: 1431)*
*✫Witr ki namaz chorna:✫*
Witr aur Fajr ki do sunnat bahut ahem hain jinhein Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne safar o hazar mein hamesha padhne ka ehtimaam kiya. Is liye hamein bhi hamesha is ka ehtimaam karna chahiye. Kabhi kabhar witr chootne ka masla nahi hai kiunki yeh sunnat e mu’akkadah hai magar barabar chorne waala bahut se ulama ke nazdeek na qabil e shahadat hai.
Sheikh ul Islam Ibn e Taimiyah Rahimahullah likhte hain:
الوتر سنة مؤكدة باتفاق المسلمين، ومن أصر على تركه فإنه ترد شهادته​
Tarjumah.Witr tamam musalmanon ke nazdeek muttafaqa taur par sunnat e mu’akkadah hai aur jo lagataar (continuously) ise chorta hai us ki gawahi qubool nahi ki jayegi.
(Al-Fatawa Al-Kubra)
Agli Post Ka Intizaar Karen
                                               Taraweeh Ki NAmaj Kitni Rakaat HAi 8 ya 20 ?
Share:

3 comments:

  1. Masha Allah bahut ilm mein izafah hua
    Jazakallahu khair

    ReplyDelete
  2. Masha Allah bahut ilm mein izafah hua
    Jazakallahu khair

    ReplyDelete
  3. Masha Allah bahut ilm mein izafah hua
    Jazakallahu khair

    ReplyDelete

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS