find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Zaeef Hadeeth ki Pahchan Aur Usool Kya Hai?

ZAEEF HADEES ke USOOl?

Ulma-e-MUHADDISIN, Zaeef HADEES ke 6 USOOL bayaan kiye hai.
1 Hadees ki sanad(chain of narrators) mutassil na ho yani Zaeef Hadees ki Sanad bich me kahi na kahi tuti hui hoti hai. Yani Sanad Nabi tak nahi pahunch paati hai.
   Hadees ki sanad kab tut'ti hai ❓
◼Jab Do raawiyo ke bich zamaane ka farq paaye
in wazuhat se sanad Nabi tak nahi pahunch paati hai.
2 Hadees ki sanad me har-ek raawi ki ek-dusare ke sath Mulakhat saabit na ho.
◼Jaisa ke koi raawi kisi raawi ki WAFAAT (maut) ke baad paida huwa ho lekin wo marne wale raawi ke naam se HADEES bayan kar raha ho.
✔ Misaal ke taur par,
◼Raawi "B" kahe raha hai ke maine raawi "A" se Nabi s ki fala  HADEES li hai lekin tahqiq ke baad pata chala ke "B" to "A" ki wafat ke baad paida huwa tha. Isliye "B" aur "A" ki mulakhat hona mumkin nahi tha. Isliye "B" ne bayan ki hui HADEES ko ZAEEF HADEES kahenge.
3 RAAWI ki dimaagi yad’daasht bahot hi kamzor ho.
✔ Misaal ke taur par,
◼Raawi "B" ne apne ustaad "A" se HADEES to li thi lekin "B" ki yaad'dasht bahot hi kamzor thi isliye wo suni hui baat ko exactly yaad nahi rakh paataa tha.
◼Jaisa ke aap kisi "Deeni Ijtema" me sharik huye the aur waha kisi Aalim ka bayaan (lecture) suna tha.Ghar laut aaane ke baad agar apko aapki  "biwi" kahe ke "Aaalim sahab ne jo jo baatein bayan ki hai unko zara mujhe waise hi suna dijiye jaisa Aalim Sahab ne bayan diya tha". Agar aap aapke "biwi" ke samne exactly waise hi saare batein bayan karne Dimaagi taqat rakhte ho jaisa Aalim sahab ne bayan ki thi to aap Muhaddisin ke paas "Sahih Raawi" kahelayenge warna aap "Zaeef raawi" kahelayenge halanke mashre me aapko bahot Deendar samja jata hai. Yaha apke Deendaari me koi shak nahi hai lekin apke "yaad'dasht" me kamzori paayi gayi isliye aap se Nabi ki koi Hadees nahi li jayegi kyunke aap Yaad'dasht ke lihaz se Kamzor (Zaeef) raawi ho.
4⃣  *Raawi, Hadees lene me aur bayaan karne me la’parwaaahi aur kotahi barat’ta ho.
5⃣  *SANAD me ka koi raawi JHOOT bolne me mashoor ho.
6⃣  *RAAWI Biddati ho aur apne Biddat ke support me Hadees bayan kar raha ho.
*RAAWIYO ka BIOADATA kaha se milega?
◼Aap kahenge ke Sanad me jitne raawiyo ke naam aye hai unke bareme hamko kaise pata chale ke fala raawi zaeef tha ya bidati tha? Iska jawab ye hai ke, Alhamdulillah, Ulama-e-MUHADDISIN ka kamaal hai ke unone Rasoolullah SallallahuA'layhiWaSallam ki HADEESEIN ko sirf Jama nahi kiya balke sath sath me Sanad me aaye huye har ek raawi ka "Biodata" bhi likh kar rakha hai. Jaisa ke, fala raawi ka naam kya tha, uski kuniyat kya thi, wo kaha paida huwa tha, us ne kin kin se ilm hasil kiya tha, us se kin kin logo ne ilm liya, uski yaad'dasht kaisi thi, uska kirdaar kaisa tha, uski wafat kaha huyi wagaira wagaira.
◼Rawiyo ke is Biodata ke ilm ko "ASMA Ar-RIJAAL" ka ilm kahte hai.
ASMA Ar-RIJAAL ki kitabo ke naam:
1⃣ Imam Bukhari(R) ki "Taarikh-e-Kabir"
is kitab me 50,000 RAAWIYO ke BIODATAs likhe huye hai.
2⃣ Imam Zahabi (R)  ki  "Siyaru A'lam An-Nubala"
 Yeh DARS :
Abu Zaid Zameer Hafizullah, Pune ke -
"HADEES ke baaz USOOL" se liya gaya hai.
Wallahu Alam Sawab.
Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS