find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Ramadhan Ul Mubarak ke Kuchh Ahkaam O Mashail (Part 3)

*ꙮRamadhan ul Mubarak Ke Kuch Ahkaam o Masaailꙮ*

*Part-③*

*🖊 Tehreer: Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullah*

*🖋Romanised By: Umar Asari

*✪Sehri:✪*
Roze ki sehat (yani Roze ke sahih hone) ke liye sehri khana zaroori nahi hai lekin sehri khana masnoon hai is liye sehri khana chahiye. Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ka farmaan hai:
‏ تَسَحَّرُوا فَإِنَّ فِي السَّحُورِ بَرَكَةً ‏​
*◈Tarjumah:◈* Sehri khaao kiunki sehri mein barkat hoti hai.
*(Sahih Bukhari: 1923 and Sahih Muslim: 1095)*

Ek doosri hadees mein Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya:
السُّحورُ أكلةُ بركةٍ فلا تدعوهُ ولو أن يَجرعَ أحدُكم جرعةَ ماءٍ فإنَّ اللهَ وملائكتَهُ يُصلُّونَ على المتسحِّرينَ​
*◈Tarjumah:◈* Sehri tamam tar barkat hai lehaza is ko na choro chaahe tum mein se koi ek ghoont pani hi pi le kiunki Allah Taala aur us ke farishte sehri khaane waalon par rehmat bhejte hain.
*(Musnad Ahmad: 3/12 - 11101)*
❗Allama Albani Rahimahullah ne is Hadees ko *“Sahih al Jami’: 3683”* mein Hasan qarar diya hai.

*➤* Sehri ki barkat se sunnat ki pairwi, Ahl e Kitaab ki mukhalifat, ibadat par quwwat, chusti mein izafah, bhook ki wajah se badkhalqi se najaat, sehar ke waqt sayel ko sadqa, zikr o dua aur niyat e roza ke asbaab or mawaqe’ milte hain.
*(Hafiz Ibn e Hajar Rahimahullah ke Fatah ul Baari ke kalam ka ikhtesaar: 4/140)*

*➤* Sehri khaane ki koi khaas dua nahi hai, sehri se pehle bas Roze ki niyat karni hai agar raat mein niyat na ki ho to.

*➤* Kuch log sehri nahi khaate, kuch log raat ka khaana sehri samajh ke khaate hain aur kuch log aadhi raat mein uth ke khaa lene ko sehri samajhte hain. In tamam tareeqon mein sehri ki sunnat mafqood (khatm) hai.

*➤* Sehri ka waqt Fajr se kuch pehle hai. Daleel:
عَنْ زَيْدِ بْنِ ثَابِتٍ ـ رضى الله عنه ـ قَالَ تَسَحَّرْنَا مَعَ النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم ثُمَّ قَامَ إِلَى الصَّلاَةِ‏.‏ قُلْتُ كَمْ كَانَ بَيْنَ الأَذَانِ وَالسَّحُورِ قَالَ قَدْرُ خَمْسِينَ آيَةً‏.‏
*◈Tarjumah:◈* Sahabi e Rasool Zaid bin Sabit Radhiallahu Anhu bayan karte hain ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ke sath hum ne sehri khaayi, phir Aap Sallallahu Alaihi Wasallam subah ki Namaz ke liye khade huwe. Main ne poocha ke sehri aur azaan mein kitna faasla hota tha to unhon ne kaha ke pachaas (50) Ayatein (padhne) ke muwafiq faasla hota tha.
*(Sahih Bukhari: 1921)*

*➤* Agar kabhi sehri khaate khaate Fajr ki Azaan ho jaye to khaana na chore balki plate ka khaana saaf kar le. Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ka farmaan hai:
عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم ‏ "‏ إِذَا سَمِعَ أَحَدُكُمُ النِّدَاءَ وَالإِنَاءُ عَلَى يَدِهِ فَلاَ يَضَعْهُ حَتَّى يَقْضِيَ حَاجَتَهُ مِنْهُ​
*◈Tarjumah:◈* Tum mein se jab koi (Fajr) ki azaan sune aur bartan us ke haath mein ho to use rakhe nahi balki apni zaroorat poori kar le.
*(Sunan Abi Daud: 2350)*
❗Allama Albani Rahimahullah ne is Hadees ko *Sahih* kaha hai.

*✵Is mein do (2) baatein dhiyaan dene ke laiq hain.✵*
*Pehli:* Is tareeqe ko mamool na banayen.
*Doosri:* Is hadees mein us azaan ka zikr hai jo sahih waqt par ho. Jin Masajid mein Fajr ki azaan sahih waqt par nahi hoti balki takheer (late) se hoti hai wo is hukm mein daakhil nahi.

*➤* Sehri ke liye Taharat shart nahi is liye agar ehtelaam (wet dream) ho gaya ho ya jimaa’ (hambistri, sexual intercourse) kiya ho to us haalat mein sehri khaa sakte hain. Hazrat Aisha Radhiallahu Anha bayan karti hain:
قَالَتْ أَشْهَدُ عَلَى رَسُولِ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم إِنْ كَانَ لَيُصْبِحُ جُنُبًا مِنْ جِمَاعٍ غَيْرِ احْتِلاَمٍ، ثُمَّ يَصُومُهُ‏.‏ ثُمَّ دَخَلْنَا عَلَى أُمِّ سَلَمَةَ، فَقَالَتْ مِثْلَ ذَلِكَ​
*◈Tarjumah:◈* Mein gawaahi deti hun ki Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam subah junbi hone ki halat mein karte ehtelaam (wet dream) ki wajah se nahi balki jimaa’ (sexual intercourse) ki wajah se! Phir Aap Roze se rehte (yaani ghusl Fajr ki namaz se pahle sehri ka waqt nikal jaane ke baad karte). Uske baad hum Hazrat Umm e Salamah Radhiallahu Anha ki khidmat mein hazir huwe to Aap ne isi tarah Hadees bayan ki.
*(Sahih Bukhari: 1931 and 1932)*

*➤* Subah hi ghusl kar le taaki Fajr ki namaz jamaat se ada kare.

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS