find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Ramadhan-Ul-Mubarak ke kuch Ahkaam o Mashail (Part 4)

Ramadhan ul Mubarak Ke Kuch Ahkaam o Masaail. 

*Part-④*

* Tehreer: Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullah*

*Romanised By: Umar Asari.

Iftaar:


Iftaar karna Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki sunnat hai:


عَنْ سَهْلِ بْنِ سَعْدٍ، أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم قَالَ: لاَ يَزَالُ النَّاسُ بِخَيْرٍ مَا عَجَّلُوا الْفِطْرَ​
*◈Tarjumah:◈* Hazrat Sahl bin Saad Radhiallahu Anhu se riwayat hai ke Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam ne irshad farmaya: Meri ummat ke logon mein us waqt tak khair baaqi rahega jab tak woh iftaar mein jaldi karte rahenge.
*(Sahih Bukhari: 1957)*

*➤* Iftaar mein jaldi karna chahiye yani Sooraj doobte hi fauran iftaar karna chahiye. Upar wali hadees is baat ki daleel hai.

*➤* Logon mein mashhoor iftaar ki dua “اللَّهُمَّ لَكَ صُمْتُ وَعَلَى رِزْقِكَ أَفْطَرْتُ” Mursal hone ki wajah se zaeef hai. *Sheikh Albani Rahimahullah ne Abu Dawood (2358) ki is Hadees ko Zaeef kaha hai.*
*(Dekhen {Zaeef ul Jami: 4349 or Zaeef Abu Dawood (Albani): 2358})*

*➤* Iftaar karte waqt Bismillah kahen aur iftaar ke baad yeh dua padhen:
ذَهَبَ الظَّمَأُ وَابْتَلَّتِ الْعُرُوقُ وَثَبَتَ الأَجْرُ إِنْ شَاءَ اللَّهُ​
*◈Tarjumah:◈* Piyaas khatm ho gayi, ragein tar ho gayein, aur agar Allah ne chaaha to sawaab (ajr) mil gya.
*(Sunan Abi Dawood: 2357)*
❗Allama Albani Rahimahullah ne is Hadees ko *Sahih* kaha hai

*➤* Iftaar karana bade ajr (sawaab) ka kaam hai. Hadees e Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam hai:
عَنْ زَيْدِ بْنِ خَالِدٍ الْجُهَنِيِّ، قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم: مَنْ فَطَّرَ صَائِمًا كَانَ لَهُ مِثْلُ أَجْرِهِ غَيْرَ أَنَّهُ لاَ يَنْقُصُ مِنْ أَجْرِ الصَّائِمِ شَيْئًا​
*◈Tarjumah:◈* Zaid bin Khalid Al-Juhani Radhiallahu Anhu se riwayat hai ki Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya: Jis shakhs ne kisi Rozedaar ko iftaar karaya to us shakhs ko bhi utna hi sawaab milega jitna sawab Rozedaar ke liye hoga, or Rozedaar ke apne sawaab main se kuch bhi kami nahi ki jayegi.
*(Tirmizi: 807)*
❗Allama Albani Rahimahullah ne *Sahih* kaha hai.

*➤* Jab koi kisi doosre ke yahan iftaar kare to yeh dua padhe:
أَفْطَرَ عِنْدَكُمُ الصَّائِمُونَ وَأَكَلَ طَعَامَكُمُ الأَبْرَارُ وَصَلَّتْ عَلَيْكُمُ الْمَلاَئِكَةُ​
*◈Tarjumah:◈* Tumhare paas Rozedaaron ne iftaari ki, nek logon ne tumhara khaana khaaya aur tum par firshton ne rehmat bheji.
*(Sunan Abi Dawood: 3854)*
❗Allama Albani Rahimahullah ne *Sahih* kaha hai.

*➤* Ghalati se waqt se pehle iftaar karne waalon ko chahiye ke jaise hi ghalati ka ilm ho fauran khaana chor den, is par koi gunah aur koi kaffara nahi hai. Jaisa ki Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ka farmaan hai:
مَنْ أَكَلَ نَاسِيًا وَهْوَ صَائِمٌ فَلْيُتِمَّ صَوْمَهُ، فَإِنَّمَا أَطْعَمَهُ اللَّهُ وَسَقَاهُ​
*◈Tarjumah:◈* Jis ne Roza rakha ho or bhool kar khaa liya ho to use apna Roza poora kar lena chahiye kiunki use Allah ne khilaya pilaya hai.
*(Sahih Bukhari: 6669)*

*➤* Lekin jaan boojh kar aisa karne waalon ke liye sakht wa’eed hai.

*➤* Ghair Muslim agar halal kamaayi se iftaar karaye to us ke khane mein koi harj nahi hai agar deeni Maslehat ho lekin agar Islam ke liye bura ho to bachna behtar hai, isi tarah jo log iftaar ko siyasat (politics) se jodte hain aur iftaar party karte hain us se bhi parhez behtar hai.

*➤* Airplane mein safar karne walon ko bhi us waqt tak iftaar nahi karna hai jab tak sooraj nazar aaye. Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ka farmaan hai:
إِذَا أَقْبَلَ اللَّيْلُ مِنْ هَا هُنَا، وَأَدْبَرَ النَّهَارُ مِنْ هَا هُنَا، وَغَرَبَتِ الشَّمْسُ، فَقَدْ أَفْطَرَ الصَّائِمُ​
*◈Tarjumah:◈* Jab raat us taraf (mashriq) se aaye or din idhar maghrib mein chala jaaye ki sooraj doob jaaye to Roze ke iftaar ka waqt aa gya.
*(Sahih Bukhari: 1954)*

*➤* Musalmanon ke baaz tabqaat mein iftaar ke liye paanch (5) se dus (10) minute tak ka ehtiyaat hota hai, usi hisaab se yeh log apne iftaar ka calender banaate hain. Is liye main aam musalmanon ko bakhabar karna chahta hun ke yeh sunnat ki mukhalifat hai balki iftaar mein ehtiyaat ko riwaaj dena bidat ka irtikaab hai. Sooraj doobte hi hamein baghair ehtiyaat kiye fauran iftaar karna chahiye.

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS