Tarweeh Ki Namaj 8 Rakaat Ya 20 Rakaat
✔8 Ra'kaat Tarawih padhnewalo ko hakir nigaaho se dekha jaata jaisa ke wo log koi bada gunah kar rahe hai. Jis Masjid me 8 Ra'kaat Tarawih padhaayi jaati hai waha log Salaat (Namaz) padhna bhi pasand nahi karte hai. Aaj ham is galat fahemi ko Allah ke madad se dur karenge,
_Sabse pahle ye baat samaj le ke Ramzaan me Tahajjud, Qiyamul Lail aur Tarawih 1 hi ibaadat ke 3 naam hai jaisa ke : Lail aur Shab, Salaat aur Namaz, Saum aur Roza, Salaat aur Darood 1 hi chiz ke 2 mash’hoor naam hai._
✔Har Ramzaan me Tarawih ka masla sabse zyada HOT TOPIC aur Burning issue bane rahta hai. Beshak hamko Allah ki Ibaadat karna hai. Ham chahe 8 padhe ya 20 padhe ya 100 ra’kaat padhe lekin uski taadaat hamare Pyare Nabi SallallahuA'laihiWaSallam ke Sunnat ke mutabik aur Khulfa Raashedin ke amal ke mutabik ho jo SAHIH HADEES se sabit ho. Log 20 rakaat ko Sabit karne ke liye Zaeef Hadeese bayan karne me bilkul nahi sharamte nahi.
Lekin aaj yaha 2 Sahih Hadeese pesh kar rahe hai jis se sabit ho jayega ke Nabi SallallahuA'laihiWaSallam ki sunnat kya thi aur apne khilaafat ke daur me Umar (R) ne kitni Rakaat Tarawih padhaane ka hukm diya tha. Log Umar (R) naam par 20 raka’at Tarawih ka ilzaam thopte hai jo ZAEEF Riwayato se sabit hai.
Pahli Hadees hamne liya hai SAHIH BUKAHRI se.
Aur dusari Hadees hamne liya Hadees ki kitab “Muatta Maliki” jisko 4 Imamo me se 2nd Imam jinka naam Imam Malik bin Anas (Rahamullah) ne likha hai jinki Paidaeesha ur Maut madina me hi hui
HADEES No. 1 :
Abu Salma bin Abdur Rahman (Radhiyallahu Anhu) se riwayat hai ke unone Aisha (Radhiyallahu Anha) se puchha ke : “Allah ke Nabi SallallahuA'laihiWaSallams ki Ramzaan me Salaat(Namaz) kaisi huwa karti thi? Aisha (Radhiyallahu Anha) ne Jawab diya : “Ramzaan ho ya gair-e-Ramzaan, Allah ke Nabi SallallahuA'laihiWaSallam 11 Rakaa’at se zyada Salaat nahi adaa (padha) kiya karte the…………………”_
(Sahih Bukhari, 3/230, English Edition)
Is Hadees se ye sabit huwa ke
_✔1. Allah ke Pyare Nabi SallallahuA'laihiWaSallam, Ramzaan aur gair-Ramzaan me Tahajjud ki Salaat (Namaz) yaani Tarawih sirf 11 Raka’at adaa kiya karte the (jisme 8 Raka’at + 3 Raka’at Witr = 11 Raka’at)._
_✔2. Agar ham Ramzaan ke raato ke liye Tahajjud alag aur Taraweeh alag karenge to fir Allah ke Nabi SallallahuA'laihiWaSallam par ye ilzaam hoga ke wo Ramzaan me Taraweeh adaa nahi kiya karte the._
_✔3. Allah ke Pyare Nabi SallallahuA'laihiWaSallam, Maahe Ramzaan ke alawa dusare mahino ke aam raato me aur Ramzaan ke Raato me sirf aur 1 hi tarah ki Salaat (Namaz) adaa kiya karte the isiliye HADEES me Aisha (R) ne wazeh taur par Ramzaan aur Gair-e-Ramzaan ko zikr kiya._
HADEES No. 2 :
Yahya (Rahamullah) Riwayat karte hai Malik (Rahamullah) se aur Malik (Rahamullah) Riwayat karte hai Muhammad ibn Yusuf (Rahamullah) se ke Sa'ib ibn Yazid (Rahamullah) ne kaha ke : Umar bin Khattab (Radhiyallahu Anhu) ne Hukm diya tha “Ubayy ibn Kab” aur “Tamim ad-Dari” ko ke 11 Raka’at Salaat (Namaz) padhaaye Ramzaan ke raato me
(Muwatta Malik, Prayer in Ramadan,Book 6, Hadith 4, English Edition)
Is Hadees se ye sabit huwa ke :
✔1.Umar bin Khattab (R) ne apne khilaafat ke daur me unone 2 Sahabi jinka naam “Ubayy ibn Kab” aur “Tamim ad-Dari” tha in dono ko Ramzaan ke raato me 11 (8 + 3) Rakaa’at Tahajjud (Tarawih) padhaane ka hukm diya tha naake 20 Raka’at padhane ka._
Aaj se kam se kam 8 Raka'at Tarawih padhne walo ko hakir nigah se na dekha jaaye kyunke ye 8 Ra'aat Sunnat se sabit hai.
No comments:
Post a Comment