मॉडर्न शिक्षा के साथ साथ नैतिक शिक्षा की कितनी जरूरी है आज हमारे मुआशरे के लिए?
तालीम और तरबियत क्या है ?
तरबियत के बगैर तालीम और अखलाक के बगैर इल्म किस काम का?
(تعلیم و تربیت) ko hm Mani Samajhna Bari Galati hai.Balke Wah juda-juda do chijen hai.jo kuwatein khuda Tala ne Insaan me Rakhi hai unko Tahreek dena Aur Shagufta-O-Shadab karna Insaan ki Talim hai,Aur usko kisi bat ka Mukhajin aur Munba janna Tarbiyat hai.Insaan ko Talim dena Dar Haqeeqat Kisi Chij ko Baher se Usme Dalna Nahi hai.Balke uske Dil ke Soto (سوتوں) Ka kholna aur Ander ke Sarjai Chashma ke Pani ko Baher Nikalna hai,Jo sirf Anduruni Kauwa ko Harket me Lane,Aur Shagufta-O-Shadab karne se Nikalta hai,Aur Insaan ko Tarbiyat karna,uske liye saman Muhaiya karna,aur usse kam lena hai,jaise Jahaz taiyar hone ke bad usper Bojh ladna uper hauj Bnane ke bad Usme pani ka Bharna. Ps Tarbiyat pane se talim ka Pana bhi jaruri nahi hai, Tarbiyat chaho jitni karo aur uske Dil ko Tarbiyat karte karte Mooh tak bher Do,Mager usse Dil ki Sarjai (سرجی) sotein nahi khulti aur Bilkul Bnd Ho Jati Hai.
Anduruni Kauwa ko Harket diye Bagair Tarbiyat to ho jati hai Mager Talim kabhi Nahi Hoti.isliye Mumkin hai ke Ek Shakhs ki Tarbiyat to Bahut achhi ho,Aur Talim Bahut Buri. Yahi hal thik-thik Hmare Tarbiyat yafta Logo ka hai,ke Tarbiyat to Nehayat Achi hai,Aur Talim kuchh nahi,jahir me dekho,to Tamtrak bahut kuchh,Mager jb Asliyat Dhoondho to kuchh Nahi Malbusat aur waja katah (وضع قطع) se bahut kuchh Mager Dil ki Anduruni Kauwa ko dekho to kuchh bhi nahi.Nehayat Umda kaul hai ke kitabo ka Padha dena to Talim ka Nehayat Adna aur sbse jyada Hakeer Jazu hai,Balke Is kism ke bahut se Mjamin Padhne se jisme Anduruni Kauwa ki Tahreek aur Shaguftagi n ho,Jis kader Dil ke Kauwa kamjor aur Na kara ho jate hai aeise aur kisi chij se nahi Hote.
Hm Apne yha ke Bahuton ka hal yahi dekhte hai ke inke Ruhani Kauwa Bilkul Nest-O-Nabood ho jate hai aur jubani Bak-Bak ya Takabbur o Guroor aur apne aap ko be Masla w be Najir,Kabil Adab Samajhne ke Aur kuchh baki nahi rahta. Jinda hote hai Mager Dili Aur Ruhani Kauwa ki Shaguftagi ke Etbaar se bilkul Murdar hote hai, kitaben padhate aur jis kader umda kitaben Ifrat se wahem Pahunche un ko aur jyada Padhte hai,aur unse Tarbiyat hasil karte hai aur aeise Bail (بیل) ke manind ho jate hai jo Braber charta hai,aur fir bhi charagah me hi Rahne ki khawahish karta hai.Ps kitaben padhne se insaaniyat Nahi Aajati,Balke Wah kitabi Ilm khud un per bojh ho jata hai.
Hmara Mtlb ye hai ke Tamam kharabiyon ki Jar jo hmper najil hai yahi ke Hmne apne Dil aur Apne Anduruni Kauwa ko bilkul kharab kar diya hai.jo hasil karte hai,Wah bhi Baj usi ke Ruhani Kauwa ko Sarsabj-O-Shadab kare,unko Shar Murda kar deta hai,aur Hmare Kauwa ko jo dar Haqeeqat Sar Chashma Tamam Nekiyon ke hai, Bilkul kamjor aur Na kara kar deta hai,aur Hmari Halat Tamam Mamlat me,kya din ke kya Duniya ke, kharab hoti hui chali jati hai.
Ps Hmko apne par Rahem karna chahiye aur Aeisi talim ko Ikhtiyar karna chahiye jo Anduruni Kauwa ko Shagufta-O-Shadab kre aur Dil ki Soto ko khol kar Sarjai Chashma se Pani baher Nikale jisse Hmari Zindagi Sarsabj-O-Shadab Ho.
Sar Saiyad Ahmed Khan
(سر سید احمد خان)
No comments:
Post a Comment