find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Niyat Ke BAgair Amal Qabul NAhi.

Saare Aamalo Ka Daaromadar Niyyato Par Hai

Ahadees "e" Nabvi Sallallahu Alahiwa Sallam
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَـٰنِ الرَّحِيم​
حدثنا يحيى بن قزعة ،‏‏‏‏ ‏‏‏‏ حدثنا مالك ،‏‏‏‏ ‏‏‏‏ عن يحيى بن سعيد ،‏‏‏‏ ‏‏‏‏ عن محمد بن إبراهيم بن الحارث ،‏‏‏‏ ‏‏‏‏ عن علقمة بن وقاص ،‏‏‏‏ ‏‏‏‏ عن عمر بن الخطاب ـ رضى الله عنه ـ قال قال النبي صلى الله عليه وسلم ‏  ‏ العمل بالنية ،‏‏‏‏ ‏‏‏‏ وإنما لامرئ ما نوى ،‏‏‏‏ ‏‏‏‏ فمن كانت هجرته إلى الله ورسوله فهجرته إلى الله ورسوله صلى الله عليه وسلم ومن كانت هجرته إلى دنيا يصيبها أو امرأة ينكحها ،‏‏‏‏ ‏‏‏‏ فهجرته إلى ما هاجر إليه*
Umar bin Al-Khattab Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki
Rasoollallah SallallahuAlaihi Wasallam  ne farmaya
Aamal ka daromadar Niyat par hai
Aur har shaksh ko wohi milta hai jiski wo niyat kare isliye jiski hijrat (emigration) ALLAH aur uske Rasool ki Raza hasil karne ke liye ho to usko ALLAH aur uske Rasool ki Raza hasil hogi
Lekin jiski hijrat dunya hassil karne ke liye ho ya kisi aurat se shaadi karne ke irade se ho to uski hijrat uske liye hai jiske liye usne hijrat ki
 *نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ عمل کا دارومدار نیت پر ہے اور ہر شخص کو وہی ملتا ہے جس کی وہ نیت کرے۔ اس لیے جس کی ہجرت اللہ اور اس کے رسول کی رضا حاصل کرنے کے لیے ہو، اسے اللہ اور اس کے رسول کی رضا حاصل ہو گی لیکن جس کی ہجرت دنیا حاصل کرنے کی نیت سے یا کسی عورت سے شادی کرنے کے ارادہ سے ہو، اس کی ہجرت اسی کے لیے ہے جس کے لیے اس نے ہجرت کی*
 *Sahih Bukhari, vol 6, 5070,*
*Comment*
*Insan Uper se kuch bhi kahe Lekin Allah Subhanahu Wata"ala Uske dil ki Niyyat ko Baqoobi Janta hai jo jaisi Niyyat karta hai Behsak Allah usko waisa ajr o Sawab ata karne wala hai*
*Aise logo ke liye Badi Kharabi hai Ki Jo Dunya ke Dikhawe Ke liye Koi kaam  kare*
*Is Hadees se ye pata chalta hai ki Har Amal ka darmadar Niyyat par hai*
*Koi shakhs Namaz ki Niyyat se wazu karta hai phir usko zarurat nahi ki wo Zuban se kahe ki main Do rakat Namaz padhta hun is imaam ke peeche muh mera kabe shareef ki taraf kyun ki Niyyat dil ke irade ka Nam hai jis waqt wo dil me irada kar liye Namaz ka Phir us namaz  ke liye wazu bhi kiya Iske baad zuban se aisa kehna Biddat hai Ye Mal Nabi Kareem Sallallahu Alahiwa Sallam Se sabit bhi nahi hai
*Isee tarha Se koi shakhs Neki ka Irada karta hai phir usne wo Neki ki ho Ya nahi iska ajr o sawab Uske Naam e amal me likh diya jata hai.
      ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆
Aye imaan waalo Allah ki itaat karo aur uske Rasool ki itaat karo aur apne Amalo ko Baatil na karo
  JazakAllah  Khaira Kaseera
Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS