DOSTON KA INTEKHAAB SONCH SAMAJH KAR KARO
Tehreer : Hafiz Nadim Zahir
Hum aise muashre mein reh rahe hain jis ka har din pehle se ziyada pur fitn hota hai. Roz naye aur la-deeniyat ki taraf le jane wale asbaab ujaagar ho rahe hain aur yeh yaqeeni amr hai ke aadmi mahol ke rang mein ranga jata hai yani woh apne ird gird ke mahol se muta'ssir hue baghair nahi reh sakta.
_Aise mein islami talimaat ko apne liye Mashal e raah banana, apni Mehfilon aur majalis ko wahiyaat baaton se paak karna, Dilon aur Aqalo ko paak rakhna aur mohabbat o nafrat ka meyaar_ الحب للہ والبغض للہ '
_(yani Allah ke liye mohabbat karna aur Allah ke liye nafrat karna) rakhna sirat e mustaqeem ki janib ek ahem qadam hai ._
_(yani Allah ke liye mohabbat karna aur Allah ke liye nafrat karna) rakhna sirat e mustaqeem ki janib ek ahem qadam hai ._
_Mahol ko insaan kaise qubool karta hai iski misaal Rasool Allah sallallaho alaihi wasallam ne kuch yun bayan farmai ke *nek hum-nasheen aur bure hum-nasheen ki misaal khusbhoo wale ( itr ) aur Bhatti dhaunkaane wale ( lohaar) ki tarhan hai. Pas khusbhoo wala ya to tujhe kuch ( khusbhoo ) waise hi inayat kar dega ya to khud usse khareed lega warna usse umdah khusbhoo to payega hi aur Bhatti dhaunkaane wala ya to tere kapde jala dega ya phir to usse badboo to payega hi.*_
_Sahih Muslim, 2628_
_Sahih Muslim, 2628_
_Nabi sallallaho alaihi wasallam ki bayan kardah is hadees mein itne khoobsurat alfaazo mein ache aur bure hum-nasheen ki misaal bayan ki gayi hai ke is se behtar tamseel mumkin hi nahi aur Ibrat hai aise naujawanon ke liye jo fahaashi o behoodgi se labrez majalis mein shareek hote hain aur yeh tasawwur qayem kar lete hain ke hum kaun sa amlan hissa le rahe hain._
_*Ek mashhoor maqula(kahawat )hai :*_
_*▫▫Nek Sohbat tujhe nek aur buri sohbat tujhe bura bana degi.*_
_isliye bure sathiyon ka sath chhod kar ache hum-nasheenon ki rifaqat(dosti) apnani chahiye. Bure logon ki mahfhil tark kar ke nek logon ki majlis ikhtiyar karni chahiye. Achhe aur Saleh dost banane chahiye taake wo_
*امر بالمعروف اور نہی عن المنکر*
_(yani bhalai ka hukm dena aur burai se rokna) ke tehat hamari behtareen tarbiyat karen aur hum duniya o akhirat mein surkhuru hon._
*امر بالمعروف اور نہی عن المنکر*
_(yani bhalai ka hukm dena aur burai se rokna) ke tehat hamari behtareen tarbiyat karen aur hum duniya o akhirat mein surkhuru hon._
_Sunan abi Dawood mein hadees hai ke Nabi sallallaho alaihi wasallam ne farmaya :_
_*Tu sirf momin se dosti rakh aur tera khana sirf mut-taqi khaye .*_
_( Sunan Abi Dawood :4832 )Hasan-Al-Albaani_
_( Sunan Abi Dawood :4832 )Hasan-Al-Albaani_
_Isi tarhan Aap sallallaho alaihi ne farmaya:_
_*Aadmi apne dost ke deen par hota hai pas tum mein se har shakhs dekhe ke woh kisse dosti karta hai.*_
_( Sunan Abi Dawood :4833 Hasan-Al-Albaani )_
_*Aadmi apne dost ke deen par hota hai pas tum mein se har shakhs dekhe ke woh kisse dosti karta hai.*_
_( Sunan Abi Dawood :4833 Hasan-Al-Albaani )_
_*Dosti soch samajh kar karo kahin aisa na ho ke kisi bidati ya mushrik se dosti ho aur woh tumhe gumraahi ke darwaze par le jaye aur tumahra uske sath uthna baithna dunyawi o akharwi dono zindagiyon ki tabahi ka sabab ban jaye. Woh tum se khair o bhalai tark karwa kar tumhen shareer bana de masjid ka rasta chhudwa kar behayaai o fahaashi ki taraf le jaye padhai se dilchaspi khatam karwakar awaargi mein mubtala karde .*_
_Aksar yun hota hai ke padhne wale zaheen talbah par kuch nasamajh taalib ilm apni ghalat tarbiyat ka asar daal dete hain jisse mustaqbil mein qaum ka rehnuma banne wala apne gaaon basti walon ki tarbiyat karne wala, ek aawara shakhs ban jata hai, jis ki koi manzil nahi hoti, pas zururi hai ke hamara talluq sahih ul-aqidah muttaba sunnat aadmi se ho, jo waqt ki qadar karta ho jis ki batein sunne se Allah Ta'ala ki yaad taaza ho. Apne aqeede ki islaah aur apni zindagi ko sanwarne ka mauqa mile. Unhe dekh kar apne chehre ko bhi sunnat Nabwi se sajaane ki raghbat paida ho aur Nabi sallallaho alaihi wasallam ki na farmani karne se dil mein ghabrahat mehsoos ho lekin afsos! ke qeht alrjal(logon ke kam paya jaana) ke is daur mein aisi shaksiyaat ki kami hai. Aise nek aur achhe dost talaash karne ke bawajood agar kahin nazar na ayen to phir bhi buri sohbat bure hum-nasheen se behtar tanhai hai aur tanhai mein ghaflat o gumraah kun khayalat ke bajaye Allah Ta'ala ka zikar behtar hai._

_*Aaj awaargi ki ek ahem wajah waqt ki naqadri bhi hai. Sirf waqt guzaarne ke liye log aisi majliso ki talaash mein rehte hain ke jo jhoot, bohtan, chughli, gheebat aur tanz o mazah se raunaq e afroz hon. Tehseel e ilm aur zikar e ilahi ke bajaye taash, ludo aur snooker clubs waghaira mein subah se shaam tak waqt guzaar dete hain aur pata hi nahi chalta .
_Nabi sallallaho alaihi wasallam ne waqt ki ahmiyat ke bare mein farmaya :_
_*'' Do neymatain aisi hain ke aksar log unki qadar nahi karte, waqt aur sahet"
(Sahih Bukhari Bukhari :6413)
(Sahih Bukhari Bukhari :6413)
_Yaad rahe ke achhi sohbat ikhtiyar karna imaan aur aamaal Saleh ki mazbooti ka aur buri sohbat, imaan aur aamaal Saleha ki barbadi ka zariya hai .
_*Dua hai ke Allah Rab ul izzat suroor kaayenaat syedna Mohammad sallallaho alaihi wasallam ki ahadees se pyar karne unko seene se lagane aur apne jismon par nafiz karne ki taufeeq ataa farmaye.*_ ( آمین )
No comments:
Post a Comment