find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Ramdhan Ul Mubarak Ke Fazail (Part 3)

Ramadhan ul Mubarak ke fazail

Part 3
Tehreer: Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullah
Romanised by: Umar Asari​
⓲ Roza baa’is e sifarish:*
عَنْ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ عَمْرٍو، أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ: الصِّيَامُ وَالْقُرْآنُ يَشْفَعَانِ لِلْعَبْدِ يَوْمَ الْقِيَامَةِ، يَقُولُ الصِّيَامُ: أَيْ رَبِّ، مَنَعْتُهُ الطَّعَامَ وَالشَّهَوَاتِ بِالنَّهَار، فَشَفِّعْنِي فِيهِ، وَيَقُولُ الْقُرْآنُ: مَنَعْتُهُ النَّوْمَ بِاللَّيْلِ، فَشَفِّعْنِي فِيهِ، قَالَ: فَيُشَفَّعَانِ​
Tarjumah:◈* Abdullah bin Amr Radhiallahu Anhuma se riwayat hai ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya: Roza aur Quran qiyamat ke din bande ki sifarish karenge. Roza kahega: Aye mere Rabb! Main ne is bande ko din ke waqt khaane (peene) se aur jinsi khwahishaat poori karne se rok diya tha, pas tu is ke baare mein meri sifarish qabool farma. Quran kahega: Main ne is ko raat ke waqt sone se rok diya tha, pas tu is ke baare mein meri sifarish qabool farma. Chunancha un dono ki sifarish qabool ki jaayegi.
(Musnad Ahmad: 6626, Mo’jam Tabarani Kabeer: 14672)
❗Allama Albani Rahimahullah ne sahih qarar diya hai.
*⓳ Roza ki koi barabari nahi.
عَنْ أَبِي أُمَامَةَ قَالَ: أَتَيْتُ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، فَقُلْتُ: مُرْنِي بِأَمْرٍ آخُذُهُ عَنْكَ. قَالَ: عَلَيْكَ بِالصَّوْمِ ؛ فَإِنَّهُ لَا مِثْلَ لَهُ​
*◈Tarjumah:◈* Abu Umamah Radhiallahu Anhu kehte hain ke main Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ke paas aaya aur kaha ke mujhe koi aisa hukm dijye jise main aap se baraah e raast akhz karun, Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya: Apne upar roza laazim kar lo kiunki us ke misl koi cheez nahi.
*(Nasai: 2220)*
❗Allama Albani Rahimahullah ne sahih qarar diya hai.
*⓴ Roza taqwa ka zariya:*
Allah Taala ka farmaan hai:
يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا كُتِبَ عَلَيْكُمُ الصِّيَامُ كَمَا كُتِبَ عَلَى الَّذِينَ مِنْ قَبْلِكُمْ لَعَلَّكُمْ تَتَّقُونَ​
*◈Tarjumah:◈* Aye imaan walo! Tum par roze farz kar diye gaye hain jis tarah tum se pehle logon par farz kiye gaye the, taake tum parhezgaar ban jaao.
*(Surah Al-Baqarah, Surah No: 2 Ayat No: 183)
*➋➊ Jahannam se doori:
Banda jis qadar roza rakhta hai Allah Taala us ke aur jahannam ke darmiyaan usi qadar doori badhaata hai. Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ka farmaan hai:
مَنْ صَامَ يَوْمًا فِي سَبِيلِ اللَّهِ بَعَّدَ اللَّهُ وَجْهَهُ عَنِ النَّارِ سَبْعِينَ خَرِيفًا​
*◈Tarjumah:◈* Jis ne Allah Taala ke raaste mein ek din roza rakha, to Allah Taala us ke chehre ko jahannam se sattar (70) saal (ki masafat ke qareeb) door kar dega.
*(Sahih Bukhari: 2840)*
*♼Sabeel-il-laah «سَبِيلِ اللَّهِ» se kya murad hai?♼*
Is se mutalliq ulama mein do raaye hain.
*⓵ Pehli raaye:* Jihaad hai is ke qaaileen mein Shaikh Ibn e Uthaimeen bhi hain.
*⓶ Doosri raaye:* Allah ki khushnodi hai is ke qaaileen mein Shaikh Ibn e Baz hain.
Waise «سَبِيلِ اللَّهِ» ka aam taur se itlaaq jihaad par hi hota hai saath hi kabhi kabhaar ita’at ke kamon par bhi is ka itlaaq hota hai is wajah se yahan aam ma’na yani Allah ki riza aur us ki khushnodi ke taur par murad lena ziyadah munasib maloom hota hai. Doosre alfaaz mein ikhlaas ke saath roza rakhna ma’na hoga.
Yeh ek din ka badla hai aur jab banda ek din roza rakhe aur ek din iftaar kare, ya somwaar (monday) aur jume’raat (thursday) ka roza rakhe, ya phir har maheene kam se kam teen roza rakhe to un ka kya haal hoga?
*➋➋ Ramadhan mein Umrah Hajj ke barabar:
Is maheene ki ek khasoosiyat yeh bhi hai ke is mein Umrah ka sawab Hajj ke barabar hota hai.
Hazrat Abdullah bin Abbas Radhiallahu Anhuma se riwayat hai ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne ek ansari khatoon ko farmaya:
فَإِذَا جَاءَ رَمَضَانُ فَاعْتَمِرِي، فَإِنَّ عُمْرَةً فِيهِ تَعْدِلُ حَجَّةً​
*◈Tarjumah:◈* Jab Ramadhan ka maheena aa jaaye to tum us mein Umrah kar lena kiunki us mein Umrah Hajj ke barabar hota hai.
*(Sahih Muslim: 1256)
Ek doosri riwayat mein Ramadhan mein Umrah karna Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ke saath Umrah karne ke barabar kaha gaya hai chunancha Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ka farmaan hai:
فَإِنَّ عُمْرَةً فِي رَمَضَانَ تَقْضِي حَجَّةً مَعِي​
*◈Tarjumah:◈* Ramadhan mein Umrah karna mere saath Hajj karne ke barabar hai.
*(Sahih Bukhari: 1863)
Yeh the kuch fazaail, Ramadhan aur roze se mutalliq ab mazmoon ke doosre hisse Ramadhan ul Mubarak Ke Kuch Ahkaam o Masaail ki taraf badhte hain.
Alhamdulillah Ramadhan ke fazail se mutalliq post mukammal hue.
Please Share with Our Muslims Brother and Sister.
-------------------
Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS