find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Ramzan Ka Mahina Magfirat Ka Mahina Hai. (Part 02)

Roza Qayamat Ke Din Bande Ki Sifarish Karega. (Part 02)
1. Roza magfirat ka sabab hai.
Allah ke Rasool ne farmaya:
Jis shakhs ne Imaan ke sath aur ajr ki umeed me Ramadhan ke roze rakhe uskepichhle gunah muaaf kar diye jayenge. (SAHIH BUKHARI :38, SAHIH MUSLIM :759)
2. Roze ka sawab behisab hai.
Allah ke Rasool ne farmaya:
"Allah azzawajal farmata hai ke roza khaalis mere liye hota hai aur
main hi uska badla deta hu. Banda apni shahwat , khana pina meri raza ke liye
chodta hai, roza gunaho se bachne ki dhaal hai aur rozedaar ke liye do khushiyan hain; us waqt jab woh iftaar karta hai aur ek khushi us waqt jab woh apne Rab se milega, aur rozedaar ke munh ki bu ,Allah ke nazdik mushk ki khusbhu se zyada pakeeza hai."
📒(SAHIH BUKHARI :7492 , SAHIH MUSLIM :1151)
3. Ek roza momin ko jahannam se 70 saal ki duri par kar deta hai.
Allah ke Rasool ne farmaya: Jisne Allah tala ke raaste me ek din bhi roza rakha Allah tala use jahannam se 70 saal ki masafat ki duri tak dur kar dega.
📒(SAHIHUL BUKHARI, HADITH NO :2840 , SAHEEH MUSLIM, HADITH NO:1153)
4. Roza Qiyamat ke din rozedaar ki sifarish karega.
Allah ke Rasool ne farmaya:
ROza aur QURAAN qayamat ke din bande ke liye sifarish karenge. Roza kahenga aye mere rabb maine is bande ko khane peene aur apni khwaishat (pure karne) se rokhe rakha lihaza iske bare me meri sifarish qabul farma.
Quraan kahega aye mere Rabb maine is bande ko raat me qiyaam ke liye sone se roke rakha lihaza iske bare me meri sifarish kabul farma chunanche ( lihaza ) dono ki sifarish kabul ki jayegi.
📒(MUSNAD AHMAD :6626, MUSTADRAK HAAKIM, HADITH : 2036 AUR ALBAANI RAHIMULLAH NE
SAHIHUT TARGEEB WA TARHEEB ME FARMAYA: YEH HADITH HASAN HAI, 1/579.)
5. Rozedaar jannat ke ek khaas darwaze se daakhil hoga jiska naam Rayyan hai.
Allah ke Rasool ne farmaya:
Jannat ka ek darwaza hai jise rayyan kahte hain, Qyamat ke din is darwaze se sirf rozedaar hi daakhil honge, Inke siwa aur koi isme se nahi dakhil hoga, pukara jayega ke rozedaar kahan hain ? Woh khade ho jayenge unke siwa is se aur koi nahi andar jaane payega aur jab yeh log andar chale jayenge to ye darwaza band kar diya jayega phir isse koi andar naa jaa sakega.
📒(SAHIH BUKHARI HADITH NO : 1896 , WA SAHEEH MUSLIM, HADITH NO :1152)

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS