find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Shaban Mahine Me Har Jumerat Ko Do Rakaat Namaj Padhne Ki Haqeeqat.

Shabaan Ki Har Jumerat Ko Do Rakat Namaz Padhne Wali Hadith.
Alhamdulillah..
Kutub e Ahadees mein is hadees ka koi wujood nahi hai, zahir yahi hota hai ke yeh hadees shabaan mein namazon ki fazeelat ke liye ghadi gayi hai, kyun kay bahut si ahadees Aap ﷺ ki taraf nisf shabaan ki raat, maahe shabaan aur is maah mein namazon ki fazeelat par mansoob ki gayi hain, chunancha Allamah Ibn Hajr al-Haytami r.h. kahte hain ke:
"Nisf Shabaan Aur Rajab Ke Pahle Jume Ki Raat (The Night Of The First Thursday) Ke Baray Mein Jitni Bhi Ahadees Mashhoor Hain Sab Ki Sab Baatil, Man-ghadanat, Aur Be Bunyaad Hain, Agarche Unko Ghazali Jaise Bade Ulema E Karaam Ne "Ihya ‘uloom Ad-deen" Wagaira Mein Zikr Kiya Hai". End quote.
Al-Fatawa al-Fiqhiyyah al-Kubra, 1/184.

Shaykh Ash-Shawkani kahte hain:
"Haftay Mein Itwaar, Somwaar Aur Deegar Ayyaam Ke Baray Mein Bayan Ki Jane Wali Namazon Ka Hukum, Ilm Hadees Ki Maarfat Rakhne Wale Ulema E Karaam Ka Is Baat Par Ittafaq Hai Ke Yeh Tamam Ahadees Man-ghadant Hain, Aur Un Ayyaam Mein Kisi Bhi Aalim E Deen Ne Nafli Namazon Ko Mustahab Nahi Kaha". End quote.    Al-Fawaid al-Mawdoo‘iyyah, 1/74.
Chunanche is jhooti aur man-ghadant riwayat par amal karna bilkul bhi jaaiz nahi hai, jab ke Nabi ﷺ ka sachha taabe farmaan banne ke liye sahih ahadees ka zakheera kaafi hai.

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS