find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Ramzan Magfirat Ka Mahina Hai. (Part 04)

Roza Isliye Rakhte Hai Take Gareeb Logo Ke Khane Pine Ka Ehsas Ho Sake.
(Part 04)
1.Roza taqwa paida karta hai.
Allah ta'la ne farmaya :
Aye Imaan walo! Tum par roze farz kar diye gaye hain jis tarah ke tumse pahle logo par farz kiye gaye the taake tum taqwa ikhtiyar karo.
📒(Suratul Baqarah :183)
2. Nafsani khawhishaat (desires) ko qabu karta hai.
Abdullah bin masood (R. A) se marvi hai ke aap sallalahu alaihi wa sallam ne
farmaya agar koi saahibe taqat ho to use nikah kar lena chahiye kyunki nazar ko nichi rakhne aur sharmgaah ko badfe'li se mahfuz rakhne ka ye zariya hai aur kisi me nikah karne ki taqat na ho to use roze rakhna chahiye kyunke wo uski shahwat ko kuchal deta hai.
📒(Sahih Bukhari :1905)
3. Roza hame garibo ki bhuk pyaas ka ehsaas dilata hai.
Ramadhan ke rozo ki farziyat ke dalail.
Aye Imaan walo tum par roze farz kar diye gaye hain jis tarah tumse
pahle logon par farz kiye gaye the taake tum parhezgar ban jao.
📒Suratul Baqarah :183
ibn Umar (R.A) se marvi hai ke Allah ke Rasool sallallahu alaihi wa
sallam ne farmaya Islam ki buniyad 5 chizo par hai : is baat ki gawahi dena ki Allah ke siwa koi ma'abood e barhaq nahi hai aur Muhammad sallalahu alaihi wa sallam Allah ke Rasool hain, namaz qayem karna zakat Ada karna, hajj karna aur ramadhan ke roze rakhna.
📒(Saheeh Bukhari hadith no : 8, Saheeh Muslim hadith no: 16)
4. Allah ke Rasool sallallahu alaihi wa sallam ne farmaya: Ramadhan ka mahina tuhare pas aa gaya hai, Allah ne tumpar uske roze farz kar diye hain, usme aasman ke darwaze khol diye jaate hain aur jahannam ke darwaze band kar diye jaate hain , aur sarkash shayateen qaid kar diye jaate hain, Allah ne usme ek raat rakhi hai jo hazar (1000) mahine se behtar hai jo iski bhalai se mahroom raha wo sahi mano men mahroom hai.
📒(Musnad Ahmad, hadith no : 7148,
Sunnan Nisai, hadith no : 2106, Albaani rahimahullah ne ise Sahih kaha hai. Saheehul jame’ : 1/72 hadith no :55)

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS