find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Mobile Phone Sahi Istemal Ki Tarah Kare?

MOBILE PHONE ISTEMAL KARNE KE AADAB
1. Call receive karne wale ki Masrufiyat, Aaram aur Namazon ke aouqat ki ri’ayat rakhen, Albatta sakht Emergency ki surat Mustashna hai.
2. Phone karne wale aur receive karne wale Hello ke bajaye Assalamu Alaikum ya Waalikum Assalam se guftagu ki Ibteda karen.
3. Agar kisi Ajnabi ko phone karen to Salam ke baad apna Mukammal Ta’aruf karwayen.
4. 3 baar call karne ke bawajood Agar koi phone na uthaye to samajhlen ke us waqt ijazat nahi, kisi dusre waqt Call karen.
5. Masjid, aur Waz o Nasihat ki Majlison mein dakhil hone se pehle Mobile Phone band karden ya kum az kum Silent karden.
6. Ghar mein badon ke hote hue NawJwan bacchiyan hargiz phone na uthayen, Nez bilkul chote bacchon ko bhi phone na uthane den.

7. Mardon ki maojudgi mein Auratein phone na uthayen, Agar phone uthana bhi pade to Narm lehja ke bajaye sakhti aur rukhe pan se jawab den.

8. Mobile ka speaker sab ke samne ON kar dena khayanat hai, Ba’waqte zarurat phone karne wale se pehle ijazat len.

9. Phone karne wale ki guftagu us ki ijazat ke bagair Record karna zulm aur dhoka dahi mein shamil hai.

10. Apne bacche bacchiyon ki mobile phone sargarmiyon par kadi Nigah rakhen taa ke Mobile ke galat istemal ki rok tham ho sake.

Khawateen, Tohmat aur shak paida karne wali sar’garmiyon se bachte hue Mobile istemal kare, Mahireen ke mutabiq Mobile phone ki wajah se Talaq aur gharelu nachaqiyon ki sharah mein 70% izafa hua hai.
Mobile Phone ki dawat o Tableeg aur tazkeer o islah ka zariya banayen, Albatta sirf Mustannad o Mudallal (Authentic) paigamat hi aage bheja karen ..
     ───────────────

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS