find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Musa Alaihe Salam ki 9 Nasihatein.

Hme Yahoodi Qatl Kar Denge.
Safwan bin 'Assal Al-Muradi raziyallahu anhu ne kaha ke:
Yahood me se ek yahodi ne dosre yahodi se kaha: us  Nabi ke paas muhje le chalo,ham chal kar unse (koch) puuchte hain,dosre ne kaha ke: uneh Nabi na kaho,agar uonhne sun liya ke tum uneh Nabi kehte ho to (mare khushi ke) unki chaar aankhen hojaye gi - phir wo dono Nabi (ﷺ) ke paas gai aur Aap se Allah ta ala ke us qaul (baat)

وَلَقَدْ آتَيْنَا مُوسَى تِسْعَ آيَاتٍ بَيِّنَاتٍ
Ham ne Musa (alaihissam) ko 9 nishaniyaan din. (17:101) ke bare me puucha ke wo nau nishaniyaan kya thi? Rasullulah (ﷺ) ne farmaya:
Allah ke saath kisi ko shariik na tehrau,zina na karo,Na haque (bila waja) kisi shaksh ka qatl na karo, chori na karo,jaadu na karo, kisi bari (be gunah) shaksh ko (mujrim banakar) Badshah ke saamne na lejau ke wo ose qatl karde, Suud (intrest) na khau, kisi Paak Daman Aurat par zina ki tuhmat (ilzaam) Na lagau, Dushman ki taraf badhte huwe bade lashkar se nikal kar na bhago - Shu'bah ko shak hogaya (ke Aap ne navvi cheez ye farmayi hai) aur tum khaas yahodiyon ko liye ye baat hai ke hafte ke din me ziyadati (ulat peyhr) na karo,(ye jawaab sunkar) un dono ne Aap ke haath Pair chume aur kaha: ham gawahi dete hain ke Aap Allah ke Nabi hain - Aap (ﷺ) ne farmaya: Phir tumeh islam Qabool kar lene se kya cheez rok rahi hai? Dono ne jawaab diya Dawud (Alaihissalam) ne dua ki thi ke unki aulaad me hamesha koi na koi Nabi hoga (Aur aap unki Aulaad me se nahi hain) Ab hame dar hai ke ham agar AAP par iimaan le aate hain to hame yahood qatl na karde.

English
Narrated Safwan bin 'Assal Al-Muradi:
"A Jew said to his companion: 'Accompany us to this Prophet.' So his companion said: 'Do not say: "Prophet," for if he hears you calling him a Prophet then he will be happy.' So they went to the Prophet (ﷺ) to question him about Allah, the Most High, saying: And indeed we gave Musa nine clear signs (17:101). So the Messenger of Allah (ﷺ) said to them: 'Do not associate anything with Allah, nor commit unlawful intercourse, nor take a life which Allah has made prohibited, except for what is required (in the law), nor steal, nor practice magic, nor hasten to damage the reputation of an innocent person in front of a ruler, so that he will be killed, nor consume Riba, nor falsely accuse the chaste woman, nor turn to flee on the day of the march (i.e. flee from war).' - Shu'bah was in doubt - 'and for you Jews particularly, to not violate the Sabbath.'" He said: "So they kissed his hands and his feet and they said: 'We bear witness that you are a Prophet.' So he said: 'Then what prevents you from accepting Islam?' They said: 'Because Dawud supplicated to his Lord, that his offspring never be devoid of Prophets, and we feared that if we follow you then the Jews will kill us.'"

Grade: Hasan (Darussalam)
[ Jami` at-Tirmidhi: 3144]
-------------------------------------------

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS