find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Islam Me Maa-Baap Ke Khidmat Karna Farz Hai?

Walidain ke huqooq 

                  ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ
Irshad e Bari tal'a hai
وَاعبدواللہ ولا تشرکو ا بہ شیٔاً وبالوالدین احسانا
Roman :- allah ﷻ  ki ibaadat karo aur us ke saath kisi Ko shareek na karo, aur (Apne) walidain se Ahsan (Nek sulook)karo.
Surah nissa  ayat no 36.
Aur 1 jagah allah ﷻ  ka Farmaan hai :-
ووصیناالإنسان بوالدیہ احسانا.
Roman :- aur ham ne Insan Ko Apne walidain ke saath Husn-E-Sulook (Nek sulook) ka huqm diya.
Rasool Allah ﷺ se poocha gaya ke Allah ﷻ ke nazdeek kon SA kaam sab se zyaada pasandida hai ? Nabi ﷺ ne farmaya  Namaaz Ko Awwal waqt me padhna.
Maine poocha (ya'ni Abdullah bin mas'ood r.a) fir Kon SA Amal ?
Walidain se neki karna.
Fir maine poocha us ke Baad ?
To ap ﷺ ne farmaya Allah ﷻ ke raste me jihaad karna.
Saheh bukhari :- 527 wa saheh muslim 85.
Allah ﷻ tal'a ka Irshad hai
وان جاھداک علی ان تشرک بی مالیس لک بہ علم فلا تطعھما وسا حبھما فی الدنیا معروفا.
Roman:- agar wo (tere walidain) mere saath shirk karne ke liye jis ka tere paas ilm nahi tujhe majboor kare , to in ki ita'at na kar aur duniya me in ke saath. Achhe tareeqe se rah.
Surah luqmaan ayat no 15.
Is ayat e mubarka se 3 mas'ale maloom hue :-
1:- Shirq karna haram hai.
2 :- Allah ﷻ  aur Rasool ﷺ ki Nafarmani me walidain ki koi ita'at nahi hai.
3:- jo bat Kitab wa sunnat ke khilaaf nahi hai  us  me walidain ki ita'at karni chahiye.
Nabi ﷺ ne Sayyadna Abdullah bin umro bin aas r.a  huqm diya tha ke :-
‘‘اطع أباک مادام حیاً ولا تعصہ.
Roman :- jab tak tumhara baap Zinda hai us ki ita'at karo aur us ki Nafarmani na karna.
Musnad Ahmad :- jild 2 safa 125 hadees no 2538. Sanad saheh.
In tamam dalail ke khilaaf munkreene e hadees parwez ( parweziyat ke baani ) sahab walidain ke huqooq ka mazak udaate hue likhte hain.
Tera Afsana maa baap ki ita'at
Farz hai isi Silsile me Afsana
Ye bhi hai ke Maa baap ki ita'at farz hai.
Aalamgeer afsane safa 18.
Parwez ki is bat ka batil hona har Musalman par waazeh hai Alhamdulillah.
Tambiya :- kitaab o sunnat  ki mukhtalif me walidain hon ya hukmraan ya koi bhi kisi ki bhi ita'at nahi karni chahiye.
Rasool Allah ﷺ  ne farmaya :-
لاطاعۃ فی معصیۃ اللہ، إنما الطاعۃ فی المعروف.
Allah ki Nafarmani me (kisi ki) koi ita'at nahi hai ita'at to ma'roof (kitaab o sunnat ke mutaabik) me  hai.
Saheh muslim:-4765 saheh Bukhari 7257.
1 riwaayat me Aya hai ke :-
رضی الرب فی رضی الوالدو وسخط الرب فی سخط الوالد.
Roman :- Rab ki raza walid ki Raza me hai aur rab ki naraazi Walid ki naraazi me hai.
Tirmizi :- 1899 saheh ibne hibban 2026.
1 admi ne Rasool Allah ﷺ se poocha ke me kis ke saath achha sulook Karun ?farmaya apni Maa ke saath  ap ﷺ ne 3 Baar farmaya fir Ravi ne poocha fir kis ke saath ap ﷺ  ne farmaya Apne baap ke saath.
Saheh bukhari :-5981 saheh muslim 2548.
Janna al salmi r.a Ko huqm diya ke فالزمھافإن الجنۃ تحت رجلیھا
Roman :- pas apni Maa ki khidmat laazim pakdo kyunki Jannat un ke kadmo ke neeche hai.
Sunan nisai :- 3104.
Maa baap ki  ma'roof neki ke kamo me ( kitaab o sunnat ke mutaabik baton me nafarmani kabeerah gunaah hai.
Anas r.a se riwaayat hai ke nabi ﷺ se kabeerah gunaaho ke bare me poocha Gaya to ap ﷺ ne farmaya :- Allah ke saath shirq karna walidain ke nafarmani karna kisi (begunaah ) Insan Ko qatl karna aur jhoothi Gawahi dena.
Saheh bukhari :- 2453 wa muslim 88.
Abi bin Malik al aamri r.a se riwaayat hai ke nabi ﷺ  farmaya :- jo shaqs Apne walidain ya in me se 1 (Walid ya walida) Ko Zinda paye phir us ke Baad (in ki khidmat na karne ki wajaah se) jahannam me Dakhil ho jaye to Allah ne use apni Rehmat se door kar diya aur wo us par naraaz hai.
Musnad Ahmad jild 4 safa 344 hadees no 19234.
Khulaasa e  tehreer :-   walidain ke saath husn e sulook aur ma'roof me ita'at farz hai Apne Rab Ko razi karne ke liye Apne walidain se Muhabbat karein jihaad Agar farz Ain na ho to chorha ja Sakta hai.   Wama Alaina illal balaagh.

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS