find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Kaun Se Darakh Ki Shaan Musalmano Ke Jaisi Hai?

ILM KE LIYE SHARM SE KAAM LENA DURUST NAHI.
ROMAN ENGLISH
♦ Hazrat Abdullah Ibn-e-Umar r.a. se riwayat hai, Rasool Allah ﷺ ne farmaya : “Darakhton mein ek darakht aisa hai jiske patte nahi jharte. Uski shaan musalmaano ki tarah hai. Batao wo koun sa darakht hai ?” Yeh sunn kar logon ke khayalaat jungle ke darakhton ki taraf gayi, lekin mere zehan mein yeh aaya ke wo khajoor ka darakht hai. Hazrat Ibn-e-Umar farmate hain : (Lekin) Mujhe sharm geer ho gayi. Logon ne arz kiya : Ya Rasool Allah ! Aap hi bataiye wo koun sa darakht hai ? Aapne farmaya : “Wo khajoor ka darakht hai.” Hazrat Abdullah Ibn-e-Umar r.a. kahte hain : Maine Apne waalid-e-giraami (Harzat Umar r.a.) se wo baat bayaan ki jo mere dil mein aayi thi to unhone kaha : Kaash ! Tumne yeh baat kah di hoti to yeh mere liye badi daulat hoti.
URDU
درختوں میں سے ایک درخت ( ایسا ) ہے۔ جس کے پتے ( کبھی ) نہیں جھڑتے اور اس کی مثال مسلمان جیسی ہے۔ مجھے بتلاؤ وہ کیا ( درخت ) ہے؟ تو لوگ جنگلی درختوں ( کی سوچ ) میں پڑ گئے اور میرے دل میں آیا ( کہ میں بتلا دوں ) کہ وہ کھجور ( کا پیڑ ) ہے، عبداللہ کہتے ہیں کہ پھر مجھے شرم آ گئی ( اور میں چپ ہی رہا ) تب لوگوں نے عرض کیا یا رسول اللہ! آپ ہی ( خود ) اس کے بارہ میں بتلائیے، آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا، وہ کھجور ہے۔ عبداللہ کہتے ہیں کہ میرے جی میں جو بات تھی وہ میں نے اپنے والد ( عمر رضی اللہ عنہ ) کو بتلائی، وہ کہنے لگے کہ اگر تو ( اس وقت ) کہہ دیتا تو میرے لیے ایسے ایسے قیمتی سرمایہ سے زیادہ محبوب ہوتا۔
ENGLISH
♦ Narrated `Abdullah bin `Umar: Once Allah's Apostle said, Amongst the trees there is a tree, the leaves of which do not fall and is like a Muslim, tell me the name of that tree. Everybody started thinking about the trees of the desert areas and I thought of the date-palm tree but felt shy (to answer). The others asked, O Allah's Apostle! inform us of it. He replied, it is the date-palm tree. I told my father what had come to my mind and on that he said, Had you said it I would have preferred it to such and such a thing that I might possess.
📚REFERENCE : Sahih al-Bukhari, 131
✔Vol. 1, Book 3, Hadith 131.

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS