ALLAH ARSH PAR HAI (AQWAAL E SAHABA RA SE DALEEL) PART 3
Quran Aur Ahadees E Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam K Baad Hum Aqwaal E Sahaba Razi Allahu Anhum Ajmaeen Ki Taraf Aatey Hai
1. Abdullah Ibne Umar RA Kehte Hai "Rasool Allah SAW Ki Wafaat K Baad Rasool Allah SAW K Pehle Bila Fazl Khalifa Amirul Momineen Abu Bakr RA Allah K Rasool Allah SAW K Hujre Mai Aye Aur Jhuk Kar Aap Rasool Allah SAW Ki Maiyyat E Mubarak Ko Peshani Par Boosa Diya Aur Farmaya: Aap Par Mere Maa Baap Qurbaan Ho Aap Zindagi Mai Bhi Pakeeza They Aur Mar Kar Bhi Pakeeza Hai Aur Phir Bahar Tashreef Laye Aur Sahaba RA Se Khitab Farmate Hue Irshad Farmaya:
Ae Loogo Agar To Muhammad SAW Tumhare Mabood They Jin Ki Tum Ibadat Karte They To Phir Jaan Lo K Tumhare (Wo) Mabood Muhammad SAW Foout Ho Gye Hai, Aur Agar Tum Loogo Ka Mabood Wo Hai Jo Aasmano Par Hai To Phir Tumhara Mabood Nhi Mara".
(Imam Bukhari Ki Tarikhul Kabeer Hadees No. 623, Musannaf Ibne Abi Shaiba Hadees No. 37021, Imam Zahabi Aur Imam Sakhawi Ne Ise Sahih Kaha Hai)
2. Kaeis Rh Kehte Hai "Jab Amirul Momineen Hazrat E Umar RA Shaam Gaye To Apni Oothni (Camel) Par Sawar They, Loogo Ne Usne Kaha Agar Aap Ghode Par Sawar Hote To Accha Tha Kyunki Aap Se Milne K Liye Bade Bade Loog Aye Hai To Hazrat E Umar RA Ne Farmaya: Kya Mai Tum Loogo Ko Yaha Se Dikhai Nhi De Raha, Balke Fesley To Waha Se Hote Hai Aur Ye Kehte Hue Apni Ungli Se Aasman Ki Taraf Ishara Kiya".
(Musannaf Ibne Abi Shaiba Hadees No. 33844 Aur 34443 Al Albani Ne Kaha Is Ki Sanad Bukhari Aur Muslim Ki Shara'it K Mutabik Sahih Hai)
3. Hafiz Qaazi Abu Ahmad Bin Ahmad Isaal Al Subhaani Rh Ne Riwayat Ki K Abdullah Ibne Mas'ood RA Ne Kaha: Allah Paak Hai Aur Khalis Taareef Allah Hi K Liye Hai Aur Allah Sabse Bada Hai, To In Alfaaz Ko Lekar Ek Farishta Allah Azz Wa Jal Ki Taraf Chadhta Hai, Aur Jin Jin Farishto K Paas Se Wo Farishta Guzarta Hai Wo Farishte Ye Alfaaz Kehne Wale K Liye Magfirat Ki Dua Karte Hai Yaha Tak K In Alfaaz Se Rehman Ka Chehra Khush Ho Jata Hai. (Imam Shamsuddeen Zahabi Ne "Al Aluwul Alil Gaffar" Mai Kaha K Is Riwayat Ki Sanad Sahih Hai)
4. Imam Usman Bin Saeed Daarmi "Al Radd Alal Jahmiyah" Mai Sahih Sanad K Saath Abdullah Bin Mas'ood RA Ka Ye Qaul Nakal Kiya: Kabhi Kisi Bande Ko Tijarat Wa Haqoomat Ki Khawahish Hoti Hai Aur Jab Wo Kaam Uske Liye Asaan Hone Lage To Allah Ta'ala Uski Taraf Saato Aasmano K Uper Se Dekhta Hai Aur Farishto Se Kehta Hai: In Kaamo Ko Is Bande Se Door Kardo Agar Ye Kaam Mene Is K Liye Muhaiyya Kar Diye To Ye Kaam Ise Jahannam Mai Dakhil Karne Ka Sabab Ban Jayenge. (Imam Ibne Qayyim Rh Ne Bhi Al Jayoosh Al Islamiya Mai Is Riwayat Ki Sanad Ko Durust Karaar Diya)
5. Ibne Abi Mulaika Rh Se Riwayat Hai K Emaan Walo Ki Walida Mohtarma, Rasool Allah SAW Ki Pakeeza Aur Mehbooba Begam Hazrat E Aisha RA Ki Maut Ki Beemari K Waqt Abdullah Ibne Abbas RA Ne Unke Paas Aaney Ki Ijazat Talab Ki To Ummul Momineen Aisha RA Ne Farmaya "Mujhe Us Se Koi Kaam Nhi" To Abdur Rahman Bin Abu Bakr RA (Ummmul Momineen Aisha RA K Bade Bhai) Ne Kaha Ammi Jaan Ibne Abbas Aapke Neek Baito Mai Se Hai Aur Aap Ki Iyaadat K Liye Aya Hai, To Hazrat E Aisha RA Ne Abdullah Ibne Abbas RA Ko Aney Ki Ijazat Di, Abdullah Ibne Abbas RA Ne Aaney K Baad Aisha RA Ki Mijaaz Pursi Ki Aur Unki Hoosla Afzayi Karte Hue Kaha: Aur Aap (To Wo Hai Jis) Ki Pakeezagi (Ki Gawahi) Allah Ne 7 Aasmano K Uper Se Nazil Ki Jise Jibraeel AS Le Kar Aye. (Mustadrak E Hakim Hadees No. 6726, Musnad Ahmad Hadees No. 2496 Is Hadees Ko Imam Hakim Aur Imam Zahbi Ne Sahih Kaha)
6. Anas RA Ka Kehna Hai K (Emaan Walo Ki Walida Mohtarma) Zainab (Binte Jahash RA) Rasool Allah SAW Ki Dusri Begam Fakhr K Sath Kaha Karti Thi: Tum Loogo Ko Tumhare Khandaan Walo Ne Biyaha Hai Aur Meri Shadi Allah Ne 7 Aasmano K Uper Se Ki
Dusri Riwayat Mai Hai K Farmaya Karti Thi: Allah Ta'ala Ne Mera Nikah Aasman Par Kiya. (Sahih Bukhari Kitabut Tauheed Hadees No. 7420 Aur 7421)
Sahaba Razi Allahu Anhum Ajmaeen K Aqwaal Se Bhi Yahi Sabit Hua K Allah Arh Par Hai
Sahaba Razi Allahu Anhum Ajmaeen K Aqwaal E Mubaraka K Baad Ab Insha Allah Tabayi Aur Taba Tabayi Rahimahullah K Aqwaal Se Paish Karunga, Aur Inka Agaaz Ummat K 4 Bade Maroof Aur Marooj Mazahib K Imamo Rahimahullah Se Shuru Karunga
To Be Continued......
No comments:
Post a Comment