find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Yah Duniya imaan walo ke Liye Kaisa Hai?

Yah Duniya Momeen Ke Liye Qaidkhana Hai?

حَدَّثَنَا قُتَيْبَةُ بْنُ سَعِيدٍ حَدَّثَنَا عَبْدُ الْعَزِيزِ يَعْنِي الدَّرَاوَرْدِيَّ عَنْ الْعَلَاءِ عَنْ أَبِيهِ عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ الدُّنْيَا سِجْنُ الْمُؤْمِنِ وَجَنَّةُ الْكَافِرِ
नबी करीम ﷺ ने फ़रमाया: दुनिया मोमिनो के लिए कैद खाना (जेल) है और काफिरों के लिए जन्नत  (बाग वा बहार) है।
Nabi kareem ﷺ ne farmaya: Duniya momino ke liye qayed khana (jail) hai aur kafiron ke liye jannat (baag wa bahar) hai.
نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا،  دنیا مومن کے لیے قید خانہ ( جیل ) ہے اور کافر کے لیے جنت ( باغ و بہار ) ہے ۔
Allah's Apostle ﷺ said, ‘The world is a prison-house for a believer and Paradise for a non-believer.’
Wazahat: Mafhum ye hai ke jis tarah qaid khane ka qaidi jail ke qaede wa qanoon ka paband hota hai isi tarah ye duniya momino ke liye ek qaid khane ki misal hai, iss mein momin shahwat wa khwahishat nafs se bachta hua mominana wa muttaqiyana (parhezgar) ki zindagi guzarta hai, iske bar aqs (muqable) kafir har tarah se azad rah kar shahwaat wa khwahishat ki lazzato mein mast rehta hai goya  duniya uske liye jannat hai jab ki momin ke liye qaid khana hai. Allah swt ne farmaya "
"Logo! Allah Taalaa ka wada sacha hai tumhen zindaganiy-e-duniya dhokay mein na daal day aur na dhokay baaz shaitan tumhen ghaflat mein daal day" [Quran 35:5]. Nabi kareem ﷺ ne farmaya: duniya ki misaal akhirat ke muqable mein aisi hi hai jaise tum mein se koi apni ungli samudar mein daale, aur phir dekhe ke kitna paani uski ungli mein wapas ata hai (yaani jitna paani ungli mein laga wo duniya, baki samundar ki misal aakhirat hai) [ibne majah: 4108].
Sahih muslim: jild 6, kitab Az zuhd wa ar riqaq 55, hadith no. 7417..
     ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆
Aye imaan waalo Allah ki itaat karo aur uske Rasool ki itaat karo aur apne Amalo ko Baatil na karo
Jo Bhi Hadis Aapko Kam Samjh Me Aaye Aap Kisi  Hadis Talibe Aaalim Se Rabta Kare !
  JazakAllah  Khaira Kaseera



Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS